Sunday, July 28, 2019

MISCELLANEOUS AHADEETH: 08

⭐️▶️JANNATH KI NAIMATIEN AUR USKA RASTA◀️⭐️ 

⭐️▶️JANNATH KAY OUSAAF QURAN-E-MAJEED MEIN IN MUQAMATH MEIN BAYAN KIYE GAE HAI:

▶️Sura Baqara:02:25
▶️Sura Yunus:10: 9-10
▶️Sura Zumar:39: 73-74
▶️Sura Hijr:15: 45-48
▶️Sura Hajj:22: 23
▶️Sura Duqan:44: 51-55
▶️Sura Suwaad:38: 49-55
▶️Sura Yaseen:36: 55-58
▶️Sura Muhammed(ﷺ): 15: 47
▶️Sura Waqiya:56: 11-40
▶️Sura Insaan:76: 12-22

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️SUBSE PHELE MUHAMMED (ﷺ) KAY LIYE JANNATH KA DARWAZA KHOLA JAEGA:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Qayamath kay din Adam(Alaihi Salaam) ki tamaam oulad mere Jhanday talay Jama hogi- aur Subse phele Shaqhs honga Jiskay liye Jannath ka Darwaza khola Jaega.

⭐️[Sahih Jamia: 6995]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️JANNATHI HUMESHA JAWAAN RAHINGAY:
📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jannath walay Jannath mein is Halath mein Daqil hongay kay Unkay Jismou per Baal nahi hongay, Bay Raish hongay, Surmgeen(Surma Lagi Ankhien) Ankhou walay hongay aur Unki Umar 30 ya 33 Saal ki hogi.

⭐️[Tirmidi: 2545]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️JANNATHI LOG:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jannath mein Momin ko bohath Ziyada Qout-e-Juma di jaegi- Kisi ne pucha kay Ae Allah kay Rasool ! Kiya eo Unki Taqath rakhega? Nabi(ﷺ) Farmaay, Ussay 100 Afrad ki taqath di jaegi.

⭐️[Sahih Jamia: 8106]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️JANNATHI YE HONGAY:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Beshak Jannath mein Aise Bala Khanay hai Jinka Baironi Manzar Andar se aur Androoni Manzar Bahar se Dekha Jasakhta hai, Unhay Allahtala ne Us Shaqhs kay liye Tayarvkiya hai Jo Khana Khilata ho, Baath Narmi se karta ho, Musasil Rozay rakhta ho, Aur Raath ko Us Waqt Namaaz Padhta ho jabh log Soey huay hote hai.

⭐️[Sahih Jamia: 2123]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️JANNATH KAY DARAQTH:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Beshak Jannath mein Ek Daraqth aisa hai Jiskay Saey mein Ek Umda, tez Raftaar Ghoda
Ek Saou Saal takh dodhta rahay toh Ussay taey na karsakhay.

⭐️[Tirmidi: 2525]


...................

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jannath mein har Daraqth ka tana Sonay ka hoga.

⭐️[Tirmidi: 3462]



⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️JANNATH MEIN JO DARAQTH LAGWANA CHAHAY WO IN KALIMATH KO PADHAY:

▶️Agar Aap bhi Chahay toh Jannath mein Apnay liye Ziyada Se Ziyada Daraqth aur Paouday lagasakhtay hai:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Mein Meraj ki raath Ibrahim(Alaihi Salaam) se mila toh Unho ne kaha:
Ae Muhammed (ﷺ) Apni Ummath ko meri tarf se Salaam Kahena aur Unhay Batana kay Jannath ki mithi bohath achi hai, Uska Pani metha hai aur Wo Ek Khali maidan ki Shakal mein hai.

SubhanAllahi Wal Handulillahi Wa lailaha Illallah Wallahu Akbar


Is Zikar kay Saath Jannath mein Shajarkaari ki jasakhti hai.

⭐️[Sahih Muslim: 2828]


..............

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Shaqhs SubhanAllahil Azeem Wa BiHamdihi
Kahay uskay liye Jannath mein khajoor ka Ek Daraqth laga diya Jata hai.

⭐️[Sahih Jamia: 6429]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️JANNATH MEIN SUBSE BADHA AKRAAM(INAAM) ALLAHTALA KA DIDAR:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jannath Walay Jannath mein aur Jahannum walay Jahannum mein Chalrjaengay toh ilaan karne walay ilaan karingay, Ae Ahel-e-Jannath Beshak Allahtala ne tumper ek Wada kiya tha Jissay wo Abh pora karna Chahata hai, Wo kahingay wo kiya hai? Kiya Allahtala ne Humare tarazoo bhari nahi kiye? Aur kiya Usne Humare Chaherou ko Roshan nahi kiya? aur Kiya Usne Humay Jannath mein daqil aur kiya Usne Humay Jahannum se Najath nahi di (Yani Un Naimatou kay badh Abh aur kaunsa Wada Baqhi rahegaya hai?) phir Achanak Parda Hataya jaega - Chunacha Wo Alahtala ki tarf dekhingay.
Allah ki kasam Allahtala ne Unhay koi aisi cheez nahi di hogi Jo unhay Uskay didar se Ziyada mehboob hogi aur Jissay Unki Ankhou ko Ziyada Thandak Naseeb hogi aur Ussay Unki Ankhou ko Subse Ziyada thandak naseeb hogi.

⭐️[Sahih Jamia: 521]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️70 HAZAR LOG BINA HESAB O AZAB KAY JANNATH MEIN DAQIL KIYE JAENGAY:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Mere Rab ne Mjhse Wada Farmaaya hai kay Wo Meri Ummath se 70 Hazar Afrad ko Jannath mein Daqil karega Jinper na hesab hoga aur Na azab- Har Hazar kay saath 70 Hazar Afrad aur Hongay aur Uskay Elawa teen Chullu mere Rab ki Chulwoo me se.

⭐️[Al Mishkath: 5556]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️JANNAth MEIN LEJANAY WALAY AAMAAL:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, tum Sub Allahtala se Daro, 5 Namaazien ada karo, Maah-e-Ramzaan kay Roze rakho, Apnay Maaliu ki Zakaath Bakhubi ada karo aur Apnay Huqmraan ki Ataat karo, Is Tarha tum Sub Apnay Rab ki Jannath me Daqil hojaougay.

⭐️[Sahih Jamia: 109]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️  


⭐️▶️JAHANNUM AUR USKA AZAB◀️


⭐️▶️JANNATH KAY LIYE DUA MANGNA AUR JAHANNUM KAY AZAB SE PANHA KAY LIYE BHI:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Shaqhs Allahtala se teen martaba Jannath ka Suwaal kare toh Jannath kaheti hai: Ae Allah! Ussay Jannath mein Daqil kardien aur Jo Admi Jahannum se teen martaba panha talab kare toh Jahannum kaheti hai: Ae Allah Issay Jahannum se panha dien.

⭐️[Sahih Jamia: 6275]


♦️Jabh Jahannum kay Azab se Allahtala ki Panha talab karna Allahtala kay Bandou ki Ek Siffath hai- Muhammed (ﷺ) ne bhi Apni ummath ko bhi usi baath ki taleem di hai Aur Aap(ﷺ) khud bhi Aksar o baishtar Jahannum se panha talab karte the toh phir humay bhi Awal hi Jahannum kay azab se Allahtala ki panha talab karni chaheye.

⭐️Allahumma inni ouzubika - minan naar/ min Jahannum.


♦️Ae Allah mjhe jahannum se panha dien.


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️ZULM AUR TAKABBOOR KA WABAAL:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Zulm se bachou kyunkay Qayamath kay roz Zulm ki Wajhese (Zalim) Andherou mein dobjaengay.

⭐️[Sahih Jamia Sageerah Albani: 101]


...................

📣Nabi (ﷺ) Farmaay Wo Shaqhs Jannath mein Daqil nahi hoga jiskay Dil mein Zara barabar takabboor hoga.

⭐️[Sahih Muslim: 91]


♦️In Ahadees ki Rooh se humper ye lazim hai kay har Khism kay Zulm aur Usi tarha Badhai, Takabboor aur Faqar se Apnay apko bachaey takay Allahtala hum Subko Azab-e-Jahannum se mehfooz rakhay.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️SUBSE PHELE JAHANNUM KI AAG INLOGOU KAY LIYE BHADKAIY JAEGI:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Qayamath kay Din Subse phele Jis Shaqhs ka Faisla kiya jaega wo Ek Shaheed hoga- ▶️Chunacha Ussay Laya jaega Allahtala Ussay Apni naimatien Yadh dilaengay aur wo unhay yadh karlega yani Iqhraar karlega- phir Allahtala Ussay puchega un naimatou mein tum ne kiya Amal kiya tha? Wo Jawab dega : mein tere raste mein Qatal karte karte Shaheed hogaya tha- Allahtala kahega tu Jhoot bolta hai, tu ne toh Qatal sirf isiliye kiya tha kay tujhe Jurrath Mand kaha jaey- Chunacha Aisa hi kaha gaya - phir Allahtala Uskay Mutaliq huqm dega aur Ussay Chaheray kay Bal Ghasitkar Jahannum mein phenk diya jaega.

▶️Phir Ek Shaqhs laya jaega Jisne Ilm Hadil kiya tha aur Usne Logou ko taleem di thi aur wo Quran ka Qari tha, Allahtala Ussay Apni Naimatien yadh dilaega aur Wo Unhay yadh karlega- phir Allahtala ussay puchega: Un naimatou mein tum ne kiya Amal kiya tha? Wo Jawab dega: mein ne Ilm Hasil kiya phir logou ko taleem di aur teri raza kay khateer Quran ko padha- Allahtala kahega : tu Jhoot bolta hai tu ne Ilm sirf Isiliye Hasil kiya tha kay Tujhe Aalim Kaha jaey aur Quran isiliye padha tha kay tujhe Qari kaha jaey- Chunacha aise hi kiya gaya Phir Allahtala Uskay mutaliq huqm dega aur Ussay bhi Chaheray kay bal ghasitkar Jahannum mein phenk diya jaega.

▶️Phir Ek Shaqhs laya jaega Jissay Allahtala ne Nawaza tha aur Ussay har Khism ka maal ata kiya tha- Allahtala Ussay bhi Apni naimatien yadh dilaega aur wo Unhay yadh karlega- phir Allahtala Ussay puchega: Un naimatou mein tum ne kiya Amal kiya tha? Wo Jawab dega : Jahan kahin kharch karna tujhe pasand tha wahan mein ne Mahez teri Raza kay khateer kharch kiya aur Aisi koi Jaga mein ne nahi chodhi- Allahtala kahega tu Jhoot bolta hai, tu ne toh Mahez Usliye kharch kiya tha kay tujhe Saqi kaha jaey- Chunacha aisa hi kiya gaya- Phir Allahtala Uskay mutaliq huqm dega aur Ussay bhi Chaheray kay Bal Ghasitkar Jahannum mein phenk diya jaega.

⭐️[Sahih Muslim: 1905]

................

📣Abu Hurera(Raziyallahu Anhu) Bayan Farmaay kay Muhammed (ﷺ) ne yahan takh Hadees Bayan karnay kay Badh mere Ghutnay per Martay huay Farmaaya, Ae Abh Hurera(Raziyallahu anhu) Ye Teenou Afrad Allahtala ki Wo Awalien(Pheli) Maqhluq hai Jinkay Saath Qayamath kay din Jahannum ki aag Bhadkai jaegi.

⭐️[Tirmidi: 2382]


♦️Is Hadees se ye Baath Wazay hai kay Hum Apni tamaam Ibadath ko Riyakaari se, logou se tareef Sunnay ki Khahish ya Kisi Duniyavi Garz O Gabath aur Maqsad se bachaey aur Naik Kaam ko Sirf aur sirf Allahtala ki Raza kay liye Khalis kare.
Kyun kay Riyakaari Shirk Azghara hai, aur Jis Amal mein riya paya jata ho Ussay wo Zayan kardeta hai aur wo kisi kaam ka nahi raheta jaise kay Hum is Hadees kay Hawalay se Janchukay hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️RIYAKAARI SHIRK AZGHARA HAI:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Beshak Mjhe tum per Subse Ziyada Khouf Shirk Azghara ka hai- Sahaba ikram(Raziyallahu majmaeen) ne Kaha Ae Allah kay Rasool ! Shirk Azghara kiya hai? Toh Nabi(ﷺ) Farmaay, Riyakaari, Beshak Allahtala Us Din Jabhkay Bandou ko Unkay Aamaal ka Badla diya jaega Farmaega: tum unkay paas Chalejaou Jinkay liye tum Duniya mein Apnay Aamaal kay Zariye Riyakaari karte the- phir Dekho kay kiya tumhe Unka koi badla milta hai.

⭐️[Musand Ahmad: 429]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️RIYAKAAR LOGOU KA THEKANA:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, tum Sub Ghum Walay Kuway se Allahtala ki panha takab kare, Sahaba ne Kaha: Ae Allah kay Rasool(ﷺ) ! Ghum Wala Kuwa kiya hai? Nabi(ﷺ) Farmaay, wo Jahannum ki Ek Wadi hai Jissay Khud Jahannum din mein 400 Martaba Panha talab karti hai-
phir Sahaba ne pucha: Isme kaun daqil hoga?
Nabi(ﷺ) Farmaay, Ussay Un Qura kay liye tayyar kiya gaya hai Jo Apnay Aamaal se Riyakaari ki niyyath karte hai- aur Allahtala kay Nazdik Subse Napasandida Qura wo hai jo (Zalim) Hukumraanou kay paas atay jatay hai.

⭐️[Tirmidi: 2383]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️AATISH-E-JAHANNUM KI ANKHIEN, GARDAN, ZUBAN AUR USKAY KAAN:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Qayamath Kay Din Ek Gardan Jahannum ki aag se niklegi , Uski Do Ankhien hongi Jin se Wo Dekhegi , 2 kaan hongay Jinse wo Sunnegi aur Ek Zuban hogi Jissay wo baath karegi aur Wo kahegi: Mjhe teen Afrad Sopay gae hai- Har Zalim Wo Sarkash, Har Wo Shaqhs Jisne Allahtala kay Saath kisi aur Mabood ko pukara aur Tasveer Bananay walay.


⭐️[Sahih Jamia: 8051]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️AATISH-E-JAHANNUM KA RANG:
📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Aatish-e-Jahannum ko Ek Hazar Saal Jalaya gaya yahan takh kay wo Surq hogae- Phir Ussay Mazeed Ek Hazar Saal Jalagayayahan takh kay wo Safed hogae- phir Ussay Ek Hazar Saal Jalaya gaya yahan takh kay wo Siya hogae- Chunacha Wo Abh Siya aur Tarik hai.

⭐️[Ibn Majah: 4320]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️JAHANNUM KAY ZAQOOM KAY DARAQTH :

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Agar Zaqoom ka ek khatra Duniya mein girjaey toh Ahel-e-Duniya ki Poray Mata’e Hayath(Zindagi ki Jama punji/Doulath) ko Bigadkar rakh dien- Pus Us Shaqhs ka kiya haal hoga Jiska Khana hi ye Daraqth hoga.

⭐️[Sahih Jamia: 5250]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️SHARAB NOSHI KI SAZA:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo admi Sharab peta hai Allahtala Ussay 40 Raathou takh Razi nahi hota- agar wo Us Douraan margaya toh Uski mout Kafir ki mout hogi- phir agar wo Dobara Sharab noshinkarta hai toh Allahtala Ussay Zaroor ‘Tainatul Khabal’ se pani pilaega- Nabi(ﷺ) se pucha gaya kay ‘Tainatul Khabal’ kiya hai? toh Nabi(ﷺ) Farmaay, Ahel-e-Jahannum ki peep.

⭐️[Sahih Jamia: 6312]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️JAHANNUMI LOG KA HAAL:


📣Hazrath Abdullah bin Umar bin Al Aas(Raziyallahu anhu) bayan karte hai kay Jahannum Walay ‘Malik’ (Jahannum kay nigraan Farishtay) Ko Pukaringay toh wo Unhay 40 Saal takh Jawab nahi dega- phir Kahega: Tumko Bus Yahin rahena hai- Phir wo Apnay Rab ko pukaringayaur Kahingay: Ae Humare Rab! Humay Issay nikal dien- agar humne Dobara Gunaah kiya toh Yaqeenan Hum Zalim hongay- toh wo bhi Unhay Duniya Kay Ayam kay barabar Muddath Guzarnay takh koi Jawab nahi dega- phir kahega: Dafa hojou aur mjhse baath hi na karo- phir wo Mayus hojaengay- Uskay badh Sivae Cheeq wo pukar aur ronay kay aur kuch na hoga- Unki Awazien Gadhou ki Awazou se milti Julti hongi.

⭐️[Sahih Targeeb: 3691]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️JAHANNUMIYOU KA RONA:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Beshak Jahannum Walay Zaroor roengay Yahan takh kay agar Unkay Ansou mein Kashtiya Chalaey Jaengi toh wo Yaqeenan unme Chal sakhingay.

⭐️[Saheeha: 1679]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️UNLOG KI SAZA JO QURAN PER AMAL NA KARTE AUR DOSROU KO TOH NAIKI KA HUQM DETAY LEKIN KHUD AMAL NA KARTE :

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Mjhe Meraj Waali raath kuch aise logou kay paas laya gaya Jinkay Hount Aatish-e-Jahannum ki khainchiyou se kata Jarahay the- Ek Martaba Unhay Kata jata, phir unhay wapis louta diya Jata aur phir kata jata- Usi tarha unhay Azab diya Jaraha tha- Mein ne kaha: Ae Jibraeel(Alaihi Salaam) ye kaun hai? toh unho ne kaha: ye Apki Ummath kay Wo Khutba hai Jo Aisi batou ka huqm detay the Jinper khud amal na karte the aur Kitaab Allah ko Padha karte the lekin Usper Amal na kiya karte the.

⭐️[Sahih Jamia: 129]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️JAHANNUMI MUSALMAAN KA FIDYA:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Beshak ye Ummath Aisi Ummath hai Jisper rahem kiya gaya hai aur Uska Azab (Duniya mein) Khud usi kay haathou mein hai (Yani Us Ummath kay Baaz logou kay Zariye Azab diya jaega) Phir Jabh Qayamath ka Din aega toh Har Musalmaan ko Ek Mushrik Admi diya jaega aur Ussay Kaha jaega ye hai Jahannum se tumhara fidya.

⭐️[Ibn Majah: 4292; Sahih Jamia: 2261]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️  


▶️⭐️JAHANNUM SE AZAADI KAY ASBAAB⭐️◀️

▶️⭐️JAHANNUM SE AZAADI KA SUBSE EHEM SABAB:

📣Hazrath Umar Bin Abdullah(Raziyallahu anhu) Bayan Farmaatay hai kay, Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Mein Ek Aisa Kalma Janta Hoon kay Jisko Koi Banda Sache Dil kay Saath padhay aur Usi per Uski Mout Ajaey toh Ussay Allahtala Jahannum Ki Aag per Haraam Kardeta hai.

⭐️[Mustadark Hakim: 143]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️JANNATH KAY LIYE DUA AUR JAHANNUM SE PANHA TALAB KARNE KAY LIYE DUA KARNE KI FAZILATH:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Shaqhs Allahtala se teen martaba Jannath ka Suwaal kare toh Jannath kaheti hai: Ae Allah Issay Jannath mein Daqil Kardien .
Aur Jo Admi Jahannum se Tren martaba Panha talab kare toh Jahannum Kaheti hai: Ae Allah issay Jahannum se Panha dien.

⭐️[Sahih Jamia: 6275]

♦️Lehaza Rahemaan kay Bandou ko Chaheye kay Wo Jahannum kay Azab se Najath Hasil karne kay liye Allahtala se Dua karte rahay- Aur Iski Fazilath is Qadar ziyada hai Jo Hadees Mein moujud hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️JANNATH AUR JAHANNUM MEIN POHANCHNE KAY WAJUHAATH:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Se Pucha gaya kay Logou ko Subse Ziyada Kaunsi Cheez Jannath mein Pohanchaegi? Toh Nabi(ﷺ) Farmaay Allahtala Ka Dar(Taqwa) aur Achay Aqlaaq.
phir Nabi(ﷺ) Se pucha gaya kay logou ko Subse Ziyada kaunsi Cheez Jahannum Mein pohanchaegi? toh Nabi(ﷺ) Farmaay, Mu(Zuban) Aur Sharmgaah.

⭐️[Tirmidi: 2004]

♦️Kyun Kay Ziyadataar Gunaah in Dono Aazaa se hote hai (Mu Aur Sharmgaah) Jhooth, BadAqlaaqi , Tohmath Lagana, Geebath, Takleef Dena, Zuban ki Batou se Zulm ka Karna, Gali galoj, Fahesh goi, Chugal khori, Fitna Fasad, aur Mu Se Surf Halaal Khaey.
Ye Do Aazaa Qarar diye hai.
Lehaza Jahannum se Najath Hasil karnay kay Liye Zaroori hai kay in Dono Aazaa ki khaas tour per Hifazath kare aur Unkay Zariye Allahtala ki Nafarmaani na kare.

Isi Tarha Sharmgaah ki Shahuwath ko Jayez aur Halaal tareeqay se pora kare.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️ROZAY RAKHNA BHI JAHANNUM SE AZAADI KA EK SABAB HAI:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Shaqhs Allahtala kay raste mein Ek Din ka Roza rakhay- Allahtala Uskay aur Jahannum kay Darmiyaan ek Aisi Khandaq Banadeta hai Jo itni Lambi hoti hai Jitni Zameen wo Asmaan kay Darmiyaan ki Musafath hai.

⭐️[Tirmidi: 1624]

♦️Rozay Gunaahou ko Mitadetay hai, Jabh Insaan kay gunaah mitjatay hai toh Insaan Allahtala kay Fazal wo Karam se Jahannum se Azaadi hasil karnay kay layaq hojata hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️40 DIN TAKBEER AWALI KAY SAATH BAJAMATH NAMAZ ADA KARNA:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Shaqhs Allahtala ki Raza kay liye 40 Din is Tarha Bajamath Namaaz padhay kay Takbeer Awali(Pheli Takbeer kay saath) bhi fout na ho toh (Allahtala ki tarf se) Uskay liye Do Cheezou se Burath(Bari hai wo) likhdi Jaati hai Jahannum ki aag se aur Nifaaq se.

⭐️[Tirmidi: 241]

♦️Musalsil 40 Dinou mein Har Namaaz Takbeer Awali kay Saath Bajamath ada karna bohath Badha Amal hai Is Arsay Ki Namaazien 200 Hoti hai Yu Samjhlien kay ye 200 Qadam hai Jannath ki tarf! kiya ye Sauda mahenga hai?
Nahi Hargees Nahi Agar 200 Namaazien Takbeer Awali kay saath Bajamath ada karne se Jahannum se Azaadi ka parwana miljaey toh ye Sauda Hargees mahinga nahi, Lehaza Allahtala se Madad Talab karte huay Kamar Basta hojaey aur pakka irada karlien kay ye Amal In Shaa Allah Zaroor karingay.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️ZUHR SE PHELE AUR USKAY BADH 4 RAKAATH HUMESHA PADHTE RAHENA:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Admi Zuhr se Phele 4Rakaath aur Uskay Badh bhi 4Rakaath humesha padhta raheta hai toh Ussay Allahtala Jahannum ki aag per Haraam kardeta hai.

⭐️[Tirmidi: 427]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️TEEN KHISM KAY LOGOU KI ANKHIEN JAHANNUM KO NAHI DEKHINGI:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, teen khism kay logou ki Ankhien Jahannum ko Nahi Dekhegi:
1️⃣Ek Wo Ankh Jissay Allahtala kay Dar ki Wajhese Ansu Bahr niklay.
2️⃣Dosre Wo Ankh Jisne Allahtala ki Raah mein Pahera diya aur
3️⃣Tesri Wo Jo Allah ki Haraam karda Cheezou ko Dekhne se Mehfooz rahi.

⭐️[Silsilatus Saheeha: 2673]

♦️Khouf-e-ilahi ki Bina Apni Ankhou se Ansu Bahanay Wala Musalmaan Qayamath kay roz Un Khush Naseebou me Shamil hoga jinhe Allahtala Apnay Arsh kay Saye talay Jaga dega aur Us Din Arsh kay Saye kay Elawa Koi Aur Saya Na hoga.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️ALLAH KAY RASTE MEIN CHALNE SE JAHANNUM SE BACHOU:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jis Shaqhs kay Dono Qadam Allahtala kay raste mein Gubbar aluda ho toh wo dono Jahannum per Haraam hojatay hai.

⭐️[Tirmidi: 1632]

♦️Allahtala kay Raste se murad Buniyaadi tour per toh Jihaad Fi Sabillillah hai taham Usme toh wo Tamaam Aamaal Khair Shamil hai jinhay Allahtala ki raza kay liye Sar anjam denay kay khateer karta hai Unme Juma ki Namaaz kay liye chalkar ana bhi Shamil hai Jaise kay Hadees-e-Nabvi mein hai.

........................

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jis Shaqhs ne Juma kay roz Ghusl karaya aur Khud Ghusl kiya aur Namaaz kay Awal Waqt mein aya aur Khutba Juma Shuru se Suna aur Chalkar aya aur Sawar nahi hua- aur Imaam kay khareeb baithkar khutba gour se Sunna aur Us douran koi lagwa harkath nahi ki toh Ussayhar Qadm per Ek Saal kay rozou aur Ek Saal kay Qiyam ka ajar milega.

⭐️[Abu Dawood: 345; Ibn Majah: 1087]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️MUSALMAAN BHAI KI IZZATH KA DIFA KARNE SE JAHANNUM SE BACHOU:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Shaqhs Apnay bhai ki Izzath ka gaibana Difa kare toh Allahtala par Uska ye Haq hai kay Ussay Jahannum se Azad kardien.

⭐️[Sahih Jamia: 6240]

♦️Lehaza Jabh kisi kay Samne Koi Shaqhs Apnay Musalmaan bhai ka koi aib Bayan kare ya usper Taan Andaazi ya ilzam tarashi kare toh Ussay Apnay Bhai ka Difa karte huay Taan andaazi ya ilzaam tarashi karnay Walay ka mu band karna aur Uski Housla Shikni karni chaheye Na ye kay Wo Ussay Mutasir hokar uskay khilaf Mazeed propoganda karna ya uskay Aibou ki Uchalna Shuru kardien- Is tarha ka
tarz-e-Amal yaqeenan Afsoos naak hai aur Qabeel-e-Mazamath bhi.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️MUSALMAAN KO AZAAD KARNE SE JAHANNUM SE AZAADI:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Kisi Musalmaan ko Azaad kare toh Wohi Jahannum se Uski Azaadi ka Sabab banjaega- Uska Har Aazaa Uskay har aazaa ko Azaad kardega- aur Jo Shaqhs 2 Musalmaan Aurtou ko Azad kare toh Wo Dono Jahannum se Azaadi dilaengay, Un Dono ka Har Aazaa Uskay har Aazaa ki Azaadi ka sabab banega- aur Jo Musalmaan Aurath kisi Musalmaan Aurath ko Azaad kare toh wo Jahannum se Uski Azaadi ka sabab banaegi aur Uska har Aazaa iskay har Aazaa ko Azaad kardega.

⭐️[Tirmidi: 1547]

♦️Agar Koi Musalmaan kisi Kafir ki Qaid mein ho ya ussay Najayez tour per paband Salasal kardiya gaya ho toh Ussay Qaid se Aazaadi dilana itna Azeem Amal hai kay Allahtala iski Wajhese Azaadi dilanay walay ko Jahannum se Azad kardeta hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️HUSN AQLAAQ SE JAHANNUM SE MEHFOOZI:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Shaqhs Asaan, Naram dil aur (Musalmaanou se) khareeb ho usko Allahtala ne Jahannum per Haraam kardiya hai.

⭐️[Sahih Targeeb: 1745]

♦️Husn Aqlaaq bhi Jahannum se Azaadi hasil karnay kay asbab mein se ek Ehem sabab hai.

.......................

📣Muhammed Rasool (ﷺ) ne Husn Aqlaaq ki Ehmiyath aur uski Qadar wo manzilath Bayan karte huay Farmaay, Tarazoo mein Rakhi Janay waali Subse Ziyada Wazni Cheez Achay Aqlaaq kay Siva kuch nahi aur Achay Aqlaaq wala insaan us Shaqhs kay Darjay ko pohanch jata hai jo Soum wo Salath ka paband ho.

⭐️[Tirmidi: 2003]

♦️Lehaza har Musalmaan ko Chaheye kay Wo Apnay Aqlaaq ko Acha Banaey Ur Bad Aqlaaqi se Parhez kare takay wo Jahannum se azaadi hasil karsakhtay hai- Allahtala Humsub ko Jahannum se mehfooz rakhay aur Jannath ul Firdous meib Jaga Ata Farmaay,
Aameeen ya rabbul alameeen.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️ZILLE ARSH-E-ILLAHI KAY HAQDAR
▶️⭐️


▶️⭐️ALLAHTALA KAY MAHEMAAN HOTE HAI WO JO MASJID MEIN ATAY HAI:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Shaqhs Wadu kare aur Masjid ki tarf ae toh Allahtala ka mahemaan hai- aur Maizbaan (Allahtala) per ye haq hai kay wo mahemaan ka ikraam kare.

⭐️[Silsilatus Saheeha: 1169]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️ALLAHTALA APNE IS MAHEMAAN KI MAHEMAANI JANNATH MEIN TAYYAR KARTA HAI:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Shaqhs Subha kay Waqt Ya Sham kay Waqt Masjid mein Jaey toh Allahtala Uskay liye Jannath mein Mahemaan Nawaazi tayar karta hai wo Jabhi jaey Subha ko ya Sham ko.

⭐️[Sahih Buqhari: 662]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️ANDHERAY MEIN MASJID KI TARF CHALKAR JANAY WALOU KO QAYAMATH KAY DIN MUKAMIL NOOR NASEEB HOGA:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Andherou mein Masajid ki tarf Chalkar Janay walaou ko Basharath dedijiye Kay Unhay Qayamath kay roz Mukamil Noor Naseeb hoga.

⭐️[Abu Dawood: 561]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️ALLAH TABARAKTALA KI RAZA KAY LIYE EK DOSRE SE MOHABBATH RAKHNE KI FAZILATH:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Allah tabarakallah Farmaata hai: meri Mohabbath unlogou kay liye Wajib hojati hai Jo Meri Raza kay liye Ek Dosre se Mohabbath karte- Ek Dosre se mil baithtay, Ek Dosre ki Ziyarath karte aur Ek Dosre per Kharch karte hai.

⭐️[Sahih Targeeb: 3018]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️CHUPAKAR SADQA KARNE KI FAZILATH:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Khufiya tour per (Chupakar) Sadqa Allahtala kay Gazab ko Bujha deta hai.

⭐️[Silsilatus Saheeha: 1908]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️SADQA EK AISA AMAL HAI JISKA APNA BHI QAYAMATH KAY ROZ SAYA HOGA:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Logou kay Darmiyaan Faisla honay takh har admi Apnay Sadqe kay Saye talay hoga.

⭐️[Sahih Jamia targeeb: 4510]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️SADQA EK AISA AMAL HAI JISKA APNA BHI QAYAMATH KAY ROZ SAYA HOGA:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Logou kay Darmiyaan Faisla honay takh har admi Apnay Sadqe kay Saye talay hoga.

⭐️[Sahih Jamia targeeb: 4510]

♦️Iska Matlab ye hai kay Khufiya tour per Sadqa Karne Wala Shaqhs Apnay Sadqe kay saye talay bhi hoga aur Uskay elawa Arsh-e-Baritala kay saye talay jama honay walay logou mein bhi Shamil hoga.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️JAHANNUM SE MEHFOOZI IN DO KHISM KAY LOGOU KAY LIYE:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, 2 Ankhien aisi hai jinhay Jahannum ki aag nahi chuegi- Ek wo Ankh Jo Allahtala kay dar ki Wajhese roi- Dosri wo Ankh Jo Allahtala kay raste mein raath ko pahera deti rahay.

⭐️[Sahih Jamia Sageerah: 4113]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️TANGDAST KO MUHALATH DENI KI YA MAAF KARDENAY KI FAZILATH:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jis Shaqhs ne kisi tabgdast ko muhalath di ya Ussay Maaf kardiya toh Ussay Allahtala Qayamath kay roz Apnay Arsh kay Saye talay saya naseeb karega, Jabhkay Us Din Allahtala kay arsh kay Saye kay sivae koi aur Saya na hoga.

⭐️[Sahih Jamia Sageerah: 6107]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️TANGDAST KO MUHALATH DENI KI YA MAAF KARDENAY KI FAZILATH:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jis Shaqhs ne kisi tabgdast ko muhalath di ya Ussay Maaf kardiya toh Ussay Allahtala Qayamath kay roz Apnay Arsh kay Saye talay saya naseeb karega, Jabhkay Us Din Allahtala kay arsh kay Saye kay sivae koi aur Saya na hoga.

⭐️[Sahih Jamia Sageerah: 6107]

.......................

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jis Shaqhs ko ye Acha lagay kay Ussay Allahtala Qayamath kay din Ki Houlnaakiyou se mehfooz rakhay aur Ussay Apnay Arsh ka Saya naseeb kare toh Wo Tangdast ko Muhalath dien.

⭐️[Sahih Targeeb: 903]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

1 comment: