Sunday, July 28, 2019

MISCELLANEOUS AHADEETH: 06

⭐️▶️MOUT EK ATAL HAQEEQATH HAI◀️⭐️

⭐️▶️MOUT KO ZIYADA SE ZIYADA YADH KARO:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Lazatou ko Khatam kardenay waali Cheez yani mout ko Ziyada se Ziyada yadh kiya karo, kyun kay Jo Shaqhs bhi Ussay tang Haali mein yadh karta hai Allahtala Ussay Khush Haal banadeta hai.

⭐️[Sahih Jamia Albani: 1211]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️SUBSE AQAL MAND WO HAI JO MOUT KAY BADH ANAY WALAY MARAHAIL KI TAYARI KARTE HAI:
📣Abdullah Bin Umar(r) bayan karte hai kay Mein Muhammed(ﷺ) Kay Saath tha kay Achanak Ek Ansari aya, Usne Muhammed(ﷺ) ko Salam kaha aur phir kahene laga?
Ae Allah Kay Rasool(ﷺ) Mominou mein subse Afzal kayn hai?
Nabi(ﷺ) Farmaay, inme se Jo Subse Achay Aqlaaq wala ho.
Usne Phir Pucha! Mominou mein Subse Ziyada Aqal mand kaun hai? Nabi(ﷺ) Farmaay, Unme Jo subse Ziyada Mout ko Yadh karnay wala ho aur Jo Mout kay Badh anay Walay Marahaik kay liye Subse Ziyada tayari Karnay walay ho Wohi Log Ziyada Aqal mand hai.

⭐️Ibn Majah: 4259]


♦️Jo Shaqhs Mout ko Ziyada Yadh karta hai Uski Teen tarha se Khateer ki jaati hai.


1️⃣Ussay Jaldi Tawba karnay ki Toufeeq miljati hai.
2️⃣Jitna Milta hai (yani Allahtala Jo kuch ata kare usper) utne per Khanaat naseeb hoti hai.
3️⃣Ussay Ibadath mein Lazath aur Nishath mehsoos hoti hai.

🔹Aur Jo Shaqhs Mout ko bhula deta hai Ussay teen tarha se Saza di jaati hai.


▶️Ussay Jaldi Tawba karne ki toufeeq nahi milti.
▶️Ussay Jitna Ata kiya Jata hai Usper ussay Khanaat naseeb nahi hoti.
▶️Ibadath mein Susti aur Bedili Mehsoos hoti hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️NAIK INSAAN AUR BAD INSAAN KI MOUT MEIN FARQ:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, (Jabh Rooh Qabz ki jaati hai toh us waqt) Farishtay hazir hotay hai aur phir agar Marne wala naik ho toh Farishtay kahetay hai kay, Ae Paak Rooh Jo Paak Jism mein thi nikal, tu Qabeel-e-sataish halath mein nikal aur tujhe Aram aur Umda rozi ki khush khabri hai aur Is baath ki kay Allahtala tujhe per Razi hai, Farishtay Ye batien Ussay bar bar kahetay rahetay hai yahan takh kay Uski Rooh Nikaljati hai.


▶️Phir Ussay Asmaan per lejaya jata hai toh pucha jata hai kay ye kaun hai? toh Farishtay kahetay hai ye Fulah Bin Fulah hai, toh kaha jata hai Is Paak rooh ko Khush amadid Jo Paak Jism mein thi, Qabeel-e-Sataish halath mein Ander ajaou- aur tumhe aram aur Umda rozi ki Khush khabri ho aur is baath ki kay Allahtala tum per Razi hai Fatishtay ussay ye baath Bar bar Sunatay rahetay hai yahan takh kay wo us asmaan per pohanchjati hai Jahan per Allahtala hai (yani illieen mein) .

▶️Aur Agar Marne Wala Bura ho toh Fatishtay kahetay hai:
Ae Wo Napaak Rooh jo Napaak Jism mein thi nikal, tu Qabeel-e-Mazamath Halath mein nikal, aur tujhe Jahannum aur peep aur tarha tarha kay Azab ki Khush Khabri ho aur phir ussay ye baath Bar bar kahi jati hai yahan takh kay Uski rooh nikal jaati hai.


▶️Phir Ussay Asmaan per lejaya jata hai aur Uskay liye Jabh Asmaan ka Darwaza khulaya jata hai toh Ussay Kaha jata hai: Is Napaak Rooh ko koi Khush Amadid nahi Jo Napaak Jism mein thi, tum Qabeel-e-Mazamath halath mein Wapis palat jaou aur tumhare liye Asmaan kay Darwaze nahi khole Jasakhtay, phir Ussay Wapis bhejdiya jata hai aur wo wapis Qaber mein Ajati hai.

⭐️[Ibn Majah: 4262]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️MOUT KI KAIFIYATH KAY MUTALIQ HAZRATH BARA(r) KI MASHOOR HADEES:

▶️MOMIN/NAIK BANDE KI MOUT KI KAIFIYATH◀️

📣Hazrath Bara Bin Aazib(r) bayan karte hai kay Hum Nabi(ﷺ) kay Saath Ek Ansaari ka Janaza lekar niklay, Hum Qabristaan mein pohanchay toh abhi uskay liye Lahad tayar nahi ki gae thi,
Chunacha Nabi(ﷺ) Qiblay ruqh hokar baith gai aur hum bhi Aap(ﷺ) kay ird gird yu pur Sukoon hokar baithgae Jaise humare sarou per parinday baithay hai.
Nabi(ﷺ) kay Haath mein ek lakdi thi Jissay Aap(ﷺ) Zameen mein kuch Kuraidrai the, is douran Aap(ﷺ) kabhi Asmaan ki tarf dekhtay aur kabhi Zameen per dekhtay, isi tarha Aap(ﷺ) teen martaba Uppar nechay dekhay phir Farmaanay lagay tum Azab-e-Qaber se Allahtala Se Panha Talab kiya karo, yehi teen bar Aap Farmaay aur phir ye Dua Padhi:

“Allahumma inni ouzubika Min Azabil Qaber”
▪️Meaning: Ae Allah mein Apki panha Mangta hoon Azab-e-Qaber se.
▶️Phir Nabi(ﷺ) Farmaay, Beshak Jabh Momin Banda Duniya se Manqatta hokar Aqhirath ki tarf Janay lagta hai toh Asmaan se Safed Chaheray walay Farishtay uski tarf Nazil hote hai- Unkay Chaheray Suraj ki tarha Roshan hote hai Unkay Saath Jannath kay Kafanou mein se Ek Kafan aur Jannath ki Khusboo mein se ek khushboo hoti hai, Wo issay Had-e-Nigaah takh Dur baithjatay hai, phir Malik-ul-mout atay hai aur Uskay Sar kay Paas Baithkar kahetay hai, Ae Paak Rooh tu Allah ki Maghfirath aur aur Uski Raza ki tarf nikal,
Nabi(ﷺ) Farmaay, Uski rooh yu nikalti hai jaise Mashkizay se Ek pani ka khatra bahay nikalta hai- Phir wo (Farishtay) Ussay Wasool karletay hai.
▶️Ek aur Riwayath mein hai kay Jabh Uski rooh nikalti hai toh Zameen o Asmaan kay Darmiyaan aur Usi tarha Asmaan per Farishtay Uski Namaaz-E-Janaza Padhtay hai.Asmaan kay Darwazay Uskay liye Kholdiye Jatay hai aur Har Darwazay per Mattaeen Farishtay Uskay Liye Allahtala se Dua karte hai kay Uski rooh ko inkay Raste se Uppar lejaya jaey]
Phir Jabh Malik ul Mout Uski Rooh ko Qabz karleta hai toh wo Farishtay Jo Asmaan se Jannath ka kafan aur khushboo lekar atay hai aur dur baithtay hai wo Palak jhapaktay hi uskay Paas Ajatay hai aur Malik ul Mout se Uski rooh ko leletay hai aur Ussay Jannath kay Kafan aur Khushboo mein lapet detay hai- Yehi Maine hai Allahtala Kay Is Farmaan kay
“Yani Uski Rooh Humare Bhejay huay Farishtay Qabz karletay hai aur wo Zara kotahi nahi karte.”

▪️[Sura Anam:06: 61]▪️
.....................................


Phir Uski Rooh se Zameen per Paiy Janay wali Kasroori ki Subse Achi Khushboo phoot nikalti hai.
▶️Nabi(ﷺ) Farmaay, phir Wo ussay lekar (Asmaan ki) tarf Uppar jatay hai aur Wo jitnay Farishtou kay paas se guzarte hai Sub kahetay hai: yeKitni Paakiza rooh hai ! Toh Wo Jawab detay hai : yeFulah bin Fulah hai- wo ussay Subse Achay Naam kay Saath Zikar karte hai Jiskay saath wo Duniya mein Tazkerah karte the yahan takh kay wo ussay lekar Asmaan Duniya (phele Asmaan) per pohanchtay hai, Farishtay Uskay liye Darwaza kholte hai Chunacha unkay liye Darwaza kholdiya jata hai- phir Har Asmaan per Allahtala kay Subse muqareeb Farishtay Ussay Alvida kahenay kay liye DosreAsmaan takh uskay saath jatay hai yahan takh kay wo ussay Saatou Asmaan takh lejatay hai: toh Allahtala Farmaata hai:
“Mere Banday ki Kitaab Illieen mein likhdo.”
“Tujhe Kiya Pata kay Illieen kiya hai- Wo toh likhi hui Kitaab hai Muqareeb Farishtay uska Mashshaheda karte hai.

▪️[Sura Muttafeen: 83: 19-21]▪️
.....................
Lehaza Iski Kitaab Illieen mein likhdi jaati hai- phir Kahajata hai Ussay Zameen ki tarf loutado kyun kay Mein ne Unse Wada kiya hai kay me ne unhay ussi se paida kiya hai, mein unhay usi me loutaounga aur ek bar phir unhay ussi se uthaounga.
♦️♦️♦️♦️♦️♦️♦️♦️♦️♦️


⭐️KAFIR/GUNAANGAAR BANDE KI MOUT KI KAIFIYATH:
▶️Phir Nabi(ﷺ) Farmaay, Kafir Banda (Ek Riwayath mein Fajir ka Lafz hai) Jabh Duniya se Manqatta hijar Aqhirath ki tarf Janay lagta hai toh Asmaan se Saqth Dil aur Mazbooth aur Siya Chaherou walay farishtay Uski tarf nazil hote hai- Unkay Saath Jahannum ka Rk Taat hota hai aur beo Ussay Had-e-Nigaah takh dur baithjatay hai- phir Malik ul Mout ata hai aur Unkay Sar kay paas baithkar kaheta hai: Ae Na Paak rooh tu Allahtala ki narazgi aur uskay Azab ki tarf nikal,
Nabi(ﷺ) Farmaay Uski rooh uskay jism mein idhar idhar jati hai toh Malik ul mout Ussay yu khechta hai jaise Gosht Bhunnay waali Saiq ko Oun Se khecha Jaey- Ussay Uski Ragien aur Antiya Tukday tukday hojati hai- phir Zameen o Asmaan kay darmiyaan aur usi tarha Asmaan per Jitne Farishtay hote hai Sub usper Lanath bhejtay hai aur Asmaan kay Darwazay uskay liye Band kardiye Jatay hai, Aur Har Darwazay per Mattaeen Farsihtay Dua karte hai Allahtala se kay Uski rooh ko unkay raste se uppar na lejaya jaey- Phir Jabh Malik ul Mout Uski rooh ko Qabz karleta hai toh wo farishtay jo Uskay liye Jahannum se taat lekar atay hai aur Dur baithay hote hai wo palak Jhapaktay hi uskay paas ajatay hai aur Malik ul Mout se Uski rooh ko leletay hai aur Ussay us taat mein lapet detay hai, Uski rooh se Zameen per paiy janay wali kisi Murda Janwaar ki Subse Gandi badboo phoit nikalti hai- phir Wo Ussay lekar (Asmaan ki tarf) Uppar jatay hai: ye kitni na paak Rooh hai! toh wo Jawab detay hai, ye Fulah Bin Fulah hai.
Wo Ussay Subse Bure Naam kay Saath zikar karte hai Jiskay Saath uska Duniya Mein Tazkerah kiya jata tha yahan takh kay wo Ussay lekar Asmaan-e-Duniya (phele Asmaan) per pohanchjatay haitoh Farishtay uskay liye Darwaza kholte hai lekin Uskay liye Darwaza nahi khola jata, phir Nabi(ﷺ) ye Aayaath ki tilawath Farmaay:

“Yani Unkay liye Asmaan kay Darwazay nahi kholay Jatay aur Wo Hargees Jannath mein Daqil nahi hongay yahan takh kay Ount Sui kay Suraq mein Daqil Hojaey.

⭐️[Sura Araf:07: 40]
......................
Chunacha Allahtala Farmaata hai: Iski Kitaab Sijeen(Subse Nichli Zameen) mein likhdo phir Kaha Jata hai Ussy Zameen ki tarf loutado kyun kay Mein ne Unse Wada kiya hai kay mein ne unhay usise paida kiya hai mein unhay usi mein loutaounga aur ek bar phir unhay usise uthaounga- toh Uski Rooh ko Asmaan se Zameen ki tarf phenj diya jata hai yahan takh kay wo Iskay Jism mein Wapis Ajati hai.
Phir Nabi(ﷺ) ye Aayaath ki tilawath Farmaay:
“Aur Allahtala Kay Saath Sharik karne Walay Asmaaan se Gir padhay abh ya toh ussay parinday Uchaklejaey ya Hawa kisi Dur daraz jaga per phenk dien.

▪️[Sura Hajj:22: 31]▪️
⭐️[Sahih Jamia Albani: 1676]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️KHATEMA JIS AMAL PER HOGA USI PER QAYAMATH KAY DIN UTHAYA JAEGA:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jis Amal per Insaan ka khatema hota hai Usiper Allahtala Ussay Roz-e-Qayamath) Uthaega.

⭐️[Sahih Al Jamia: 6543]


♦️Amal Ka Daromadar Khateme per hai Ussay Maqsood ye hai kay Jis Amal per insaan ka khatema hota hai mout kay badh usi kay mutabiq Ussay Saluk kiya jata hai, Uski Qaber ko Jannath kay Bagh banadiye jatay haiaur Roz-e-Qayamath Ussay Imaan aur Amal-e-Saleh per hi uthaya jaega.
Aur Agar Uska Khatema (Nouzbillah) Kufr ya Fasq o Fujoor per hota hai toh Qaber mein Ussay Acha Saluk nahi kiya Jata hai Balkay Uski Qaber ko Jahannum ka Ek Gada Banadiya Jata hai aur Roz-e-Qayamath Ussay kufr ya Fasq o Fujoor per hi Uthaya jaega jaise kay Is Hadees mein irshad hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️



⭐️▶️JANNATH MEIN DAQILAY KI SHARTH:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jis Shaqhs ka Aqhri Kalma “Lailaha illallah” hoga Wo Jannath mein Daqil hoga.

⭐️[Abu Dawood: 3116]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️JANNATH KA RASTA:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jis Shaqhs ne Mahez Allahtala ko Razi karne kay liye “Lailaha illallah” kaha aur usi per Uska khatima hogaya toh wo Jannath mein Daqil hoga.
Aur Jis Shaqhs ne Sirf Allahtala ki Raza kay khateer Ek Din ka Roza rakha aur usi per uska khatema hogaya toh wo Jannath mein Daqil hoga aur Jis Shaqhs ne sirf Allahtala ki Raza kay liye sadqa kiya aur usi per uska khatema hogaya toh wo bhi Jannath mein daqil hoga.

⭐️[Sahih Targeeb: 985; Musand Ahmed: 23324; 350/38]

♦️Aur Yehi Wajhe hai kay Muhammed (ﷺ) humesha Ataat wo Farmabardaari aur
Aml-e-Saleh per Sabith Qadmi ki Dua karte rahetay the, Jaise kay Ayesha(r) se Riwayath hai kay Nabi(ﷺ) Humesha ye Dua Farmaaya karte the.

⭐️Ya Muqallibal Qulubi Sabbit Qalbi Ala Deenik”


▪️Meaning: Ae Dilou ko phernay walay Mere Dil ko Apni ataat aur Sabit Qadmi per rakhna.


....................

▶️📣Ayesha(r) ne kaha Ya Rasool Allah(ﷺ) Aap Aksar ye Dua Farmaaya karte hai, kiya apko koi Shak hai?
Nabi(ﷺ) Jawab mein Farmaay, Ae Ayesha(r) mjhe kaunsi Cheez Beqouf karsakhti hai Jabh kay Bandou kay Dil Allahtala kay Do Ungliyou kay bech mein hai aur Jabh Wo Kisi kay Dil ko pherna Chahata hai toh pherdeta hai.

⭐️[Musand Ahmed: 151/41; 24604]


♦️Ae Musalmaanou , Jabh Humare Pyare Nabi(ﷺ) ko khouf tha toh humay Subse phele. qouf hona Chaheye khususan humay Khateme se Darte Rahena Chaheye.
Kyunkay Jo Darta hai wohi Humesha Apni Islaah ki Koshish karte raheta hai aur Iskay Saath Saath Allahtala Se Hidayath aur siratal Mustaqeem per Sabit Qadam rahenay ki Dua bhi karte rahetay hai toh Allahtala Bhi Ussay Amal-e-Saleh per Khayam rahenay ki toufeeq deta hai aur Husn Khatema Naseeb Farmaata hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️JISSAY ALLAHTALA SE KHOUF RAHETA WOHI NAIKI KI KOSHISH KARTA HAI:

⭐️▶️Muhammed (ﷺ) Farmaay, Jo Shaqhs ko khouf hota hai wo Raath bhar Chalta raheta hai aur Jo Admi Raath bhar Chalta raheta hai wo Manzil per pohanchjata hai, Khabardar Allahtala Ka Sauda Mahenga hai aur Allahtala Ka Sauda Jannath hai.

⭐️[Tirmidi: 2450]


♦️Allah Rabbul Izzath Humare Dilou ko Apni Farmaabardaari per Sabit rakhay, Allahtala Hi Hum subkay Liye Kafi hai aur Bahetreen Karsaaz hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️



▶️⭐️QABER AQHIRATH KI SUBSE PHELI MANZIL◀️⭐️


⭐️▶️USMAAN BIN AFWAM(R) KA KHOUF QABAR KAY MUTALIQ:

📣Hazrath Usmaan bin Afwan(Raziyallahu anhu) kay Ghulam Hani Bayan Karte hai hai kay Hazrath Usmaan(r) Jabh Qabar per khaday hote toh itna rotay kay Apki Dadhi mubarak tar hojati hai- Aapse pucha gaya kay Jabh Jannath wo Dozaq ka tazkerah kiya jata hai toh Aap itna nahi rote jitna Qabar per khaday hokar tote hai?
toh Usmaan(r) Ne Jawab me Farmaay Mein ne Muhammed (ﷺ) Se Sunna kay Aap(ﷺ) Farmaay, Beshak Qabar Aqhirath ki Manzilou mein se pheli manzil hai, agar insaan isme Najath pagaya toh Badh mein Anay waali manzilien issay ziyada Asaan hongi- aur agar wo isme najath na pasakha toh Badh mein anay waali manzilou se ziyada saqth hongi.

⭐️[Tirmidi: 2308]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️QABAR KA MAYYATH KO DABOCHNA AGARCHAY MAYYATH NAIK KYUN NA HO:

▶️Tadfeen kay Badh Mayyath ko Uski Qabar Dabati hai Chahay wo Naik aur Saleh kyun na ho- Jaise kay Abdullah bin Umar(Raziyallahu anhu) se riwayath hai kay

📣1️⃣Muhammed(ﷺ) ne Syed bin Maaz(Raziyallahu anhu) kay Mutaliq Farmaaya:

Ye Jiskay liye Rahemaan(Allah rabbul Izzath) ka Arsh Harkath mein agaya- Jiskay liye Asmaan kay Darwazay kholdiye gaye aur Uskay Janazay mein 70 Hazar Fatishtou ne shirkath ki Ussay Qabar mein Dabocha gaya, phir Ussay Chodiya gaya.

⭐️[Sunan Nisai: 2055]


....................

📣2️⃣Muhammed (ﷺ) Farmaay, Beshak qabar Mayyath ko Dabichti hai, agar Ussay koi Mehfooz raheta toh Sayed Bin Maaz(r) Zaroor Mehfooz rahetay.

⭐️[Saheehya tul Albani: 1695]


......................

📣3️⃣Qabar har ek Ko Dabichti hai lekin Musalmaan aur Kafir mein farq ye hai kay Kafir ko Humesha ussay Dochaar hona padhta hai aur momin ko Jabh Qabar mein Dafnaya jata hai toh ussay Qabar dabichti hai, phir wo uskay liye khuli hojati hai.

⭐️Sunan Nisai: 234-235]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️QABAR MEIN MAYYATH SE FARISHTOU KAY SUWALAATH:

(NAIK INSAAN KAY MAMLATH)

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Beshak Mayyath ko Qabar mein rakha jata hai aur Naik admi ko uski qabar mein Bekhouf wo qatr Butha kar ussay pucha jata hai :
▶️Tum Kis Halath mein the?
Wo Kaheta hai “Mein Islam ki Halath mein tha.
▶️Ussay Kaha jata hai: ye kaun Shaqhs hai?
Wo kaheta hai Muhammed (ﷺ) Jo kay Allahtala Kay Rasool hai.
Aur Aap Humare paas Allahtala ki Nishaaniya lekar ae toh humne uski tasdeeq ki.
▶️Ussay Kaha Jata hai: Kiya tumne Allahtala ko dekha hai?
Wo kaheta hai: yeto kisi kay layeq nahi kay Allahtala ko dekhay.
Phir Jahannum ki aag ki tarf ek chota sa suraq kiya jata hai toh wo Jahannum ki tarf dekhegaJiskay Sholay ek Dosre ko kharai hai- Ussay kaha jata hai Dekho tumhe Allahtala ne kaise Bachaliya hai.
phir Jannath ki tarf Chita Sa suraq kiya jata hai toh wo uski tarf dekhta hai- phir Ussay kaha Jata hai : Ye Tumhara Thekana hai kyun kay tum Imaan per the- usi per tumhari mout ae aur usiper tumhe uthaya Jaega
In Shaa Allah .


⭐️[Ibn Majah: 4268]
⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️QABAR MEIN MAYYATH SE FARISHTOU KAY SUWALAATH:

(BURA/GUNAAHGAAR ADMI KAY MAMLATH)

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Buray Admi ko Uski Qabar mein Khouf aur Ro’b ki halath mein bithaya jata hai- phir Ussay Pucha Jata hai:
▶️Tum kis Halath mein the?
Wo kaheta hai: mjhe kuch pata nahi.
▶️Phir Ussay Pucha Jata hai: Ye Shaqhs kaun hai?
Wo kaheta hai: mein Ne Logou se sunna, Jo wo kahetay the mein ne bhi wohi kaha.
Phir Uskay liye Jannath ki tarf ek Chota suraq kiya jata hai toh wo Jannath ki Shadabi aur Uski naimatou ko Dekhta hai-
Phir Ussay Kaha Jata hai: Dekho Allahtala ne tumko issay pherdiya(Mehrum kardiya).
Uskay Badh Jahannum ki aag ki tarf Uskay liye Ek Chota Sa suraq kiya Jata hai- chunacha Jo Jahannum ki tarf dekhta hai Jiskay Sholay Ek Dosre ko kharahay hotay hai- toh Ussay Kahajata hai : ye tumhara thekana hai, tum shak per the aur Usiper tumhari mout ae aur usi per tumhe In shaa allah Uthaya jaega.

⭐️[Ibn Majah: 4268]
⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️QABAR KAY LIYE TAYARI KARNE KA HUQM:

📣Hazrath Bara(r) kahetay hai kay Hum ek Janazay mein Muhammed Rasool (ﷺ) kay Saath the- Aap(ﷺ) Qabar kay Kinare per baithay roraihay the aur itna roay kay Aapkay Aansuou se Aap(ﷺ) kay nechay ki Mithi tar hogae- phir Aap(ﷺ) Farmaay kay “Mere Bhaiyou, Is Din kay liye tum bhi tayari karlo”.

⭐️[Ibn Majah: 4195]


♦️Is Hadees mein bataya Gaya hai kay tadfeen mayyath kay mouqay per Muhammed (ﷺ) Qabar per baithay roraihay the aur is Qadar roay kay Aapkay Aansuou se Aap(ﷺ) kay nechay ki Mithi tar hogae-
Issay sabit hai kay Qabar Muqam-e-Ibrath hai- isiliye Nabi(ﷺ) Bar Bar Qabristaan Mein jaya Karte the aur Aap(ﷺ) ne Apni Ummath ko bhi yehi huqm diya hai kay Wo Qabristaan mein jaya kare, kyun kay Ussay Aqhirath yadh ati hai.

phir Nabi(ﷺ) ka ye Farmaan kay isi tarha kay Din kay liye Tayari karlo- is baath ki daleel hai kay humay Qabar ki Zindagi kay liye tayari karni chaheye aur Uski tayari Imaan wo Aml-e-Saleh kay Saath hi hosakhti hai kyun kay Qabar mein insaan kay saath sirf Uskay Amal hongay aur Uskay Amal kay mutabiq hi Uskay saath Saluk kiya Jaega.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️AZAB-E-QABAR BAR HAQ HAI:

▶️Ahle Al Sunnath ul Jamath ka Aqeeda hai kay Qabar mein Saleh Momin ko Jannath ki naimatien ata ki jati hai aur Fasiq o Fujoor aur Kafir wo Munafiq ko Qabar mein Azab mein mubtelah kiya jata hai.

▶️Quran o Sunnath mein Uskay Moutedal Dalaiyl Moujud hai:

📣Allahtala Ka Farmaan hai:
Aag hai jiskay Samne ye har Subha wo Sham laey jati hai- Aur Jis Din Qayamath khayam hogi (Farmaan hoga kah) Al-e-Firon ko Saqth tareen Azab mein daldo.

⭐️[Sura Momin: 40:46]


♦️Is Aayaath mein Do Azabou ka Zikar kiya gaya hai, Ek Qayamath se phele aur Dosra Qayamath kay roz- toh Qayamath se phele Jis Azab mein unhay mubtelah kiya jata hai Ussay yaqeeni tour per Azab-e-Barhaq hi murad hai- Is Aayaath ki Tafseer mein Hafiz Ibn Kaseer(rh) kahetay hai:

Is Aayaath mein Qabarou mein Azab-e-Barzaq per Ahlul Sunnath ki bohath badhi daleel hai.

⭐️[Tafseer Ibn Kaseer: 4/82]


............

📣Muhammed (ﷺ) ne Allahtala kay Is Farmaan kay mutaliq Farmaay:
ye Aayaath Azab-e-Qabar kay baray mein nazil hui hai- chunacha Mayyath se Kaha jata hai:
Tumhara rab kaun hai? toh wo kaheta hai: mera Rab Allah hai aur mere Nabi Muhammed (ﷺ) hai.

⭐️[Sahih Buqhari: 1369]


................

📣Ibn Abbas(Raziyallahu anhu) se riwayath hai kay Muhammed (ﷺ) Do Qaberou kay paas se guzre toh Aap(ﷺ) Farmaay:
In Dono ko Azab diya jaraha haiaur unko ye Azab (Unkay khayal kay mutabiq) kisi badhay gunaah ki wajhese nahi diya jara hai jabhkay Haqeeqath ye hai kay inka gunaah badha hai- inme se ek toh chugal khori kiya karta tha aur dosra Apna pishab ki Etiyath nahi karta tha.

⭐️[Sahih Buqhari: 1378]


♦️Is Hadees mein Jahan Azab-e-Qabar ka Asbath hai Wahan Uskay Do Asbab bhi batadiya gaya hai: Chugal khori karna yani Do bhaiyou ko ladhanay kay liye Unme se har ek ki baath ko Dosray takh pohanchana aur pishab se na bachna.

📣Is Aqhri Sabab kay Mutaliq Muhammed (ﷺ) ka ek aur Itshad hai kay:
“Aksar Azab-e-Qabar paishab (Se na bachnay ki Wajhe) se hota hai.

⭐️[Ibn Majah: 348]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️AZAB-E-QABAR BAR HAQ HAI:

📣Ibn Masood(r) se Riwayath hai kay Muhammed (ﷺ) Farmaay, Beshak Murdou ko Unki Qaberou mein Azab diya Jata hai hatta kay Chou paye Janwar bhi unki Awazien Suntay hai.

⭐️Tibraani: 3548]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️AZAB-E-QABAR BAR HAQ HAI:

📣Ibn Masood(r) se Riwayath hai kay Muhammed (ﷺ) Farmaay, Beshak Murdou ko Unki Qaberou mein Azab diya Jata hai hatta kay Chou paye Janwar bhi unki Awazien Suntay hai.

⭐️Tibraani: 3548]


♦️Azab-e-Qabar Ussay diya jata hai Jo uska Mustahaiq ho aur ye baath maloom honi chaheye kay Azab-e-Qabar se murad Azab-e-Bar

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️QABER MEIN JAHANNUM KI AAG KA BISTAR, JAHANNUM KI AAG KA LIBAS, JAHANNUM KI TARF DARWAZAY KA KHOLA JANA, QABAR KO TANG KARDENAY, LOHAY KI SHEEQ SE MARNA AUR MAYYATH KO AQHIRATH KAY SHADEED AZAB KI DHAMKI:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, phir Is kafir ki rooh ko Asmaan se Zameen ki tarf phenk diya Jata hai yahan takh kay wo iskay Jism mein wapis ajati hai
phir Nabi(ﷺ) is Aayaath ki Tilawath Farmaay,

⭐️Aur Allahtala Kay Saath Sharik karne walay goya Asmaan se gir padhay, abh ya toh Ussay parinday Uchak lejaey ya hawa kahin dur Daraaz phenk degi.

⭐️[Sura Hajj: 22:31]


.......................................

Chunacha Uski Rooh ko Uskay Jism me louta diya Jata hai toh uskay Saathi jabh Ussay Dafan kare Badh wapis Palat rahay hote hai Mayyath Unkay Jutou ki ahat sunrai hote hai phir Uskay paas Do Farishtay atay hai jo Ussay Jhidak kar bitha detay hai aur Ussay Suwaal karte hai:
?Tumhara Rab kaun hai?
Wo Jawab deta hai Haii Musibath Hai Musibath Mein Nahi Janta.
Phir puchta Jata hai?
Tumhara Deen kiya hai? Wo Kaheta hai , Hai Musibath Hai musibath Mein Nahi Janta,
phir Pucha Jata hai?
Wo Admi Kaun hai Jissay tum mein Nabi Banakar Bheja gaya?
toh Ussay Nabi(ﷺ) Ka Naam Yadh nahi ata , Chunacha Farishtay Yadh dilanay ussay Naam kaheta hai Muhammed (ﷺ) ka, toh Wo kaheta hai Hai Musibath Hai Musibath Mein nahi Janta- me ne logou se Sunna tha log Nabi(ﷺ) ka tazkera karre the, (Jabh Mayyath koi Jawab nahi depata Suwaalaath ka toh)

Ussay Kahete hai Farishtay tumne Na maloom kiya aur na Quran padha, phir Asmaan se Ek Nada aati hai Kay Usne Jhoot bola hai, Lehaza Uskay liye Jahannum ka Bistar Bichado aur Uskay liye Jahannum ka Ek Darwaza kholdo.

....................................


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Chunacha Ussay Jahannum ki Badbo aur Garam hawa ati aur Uski Qaber ko itna tang kardiya Jata hai kay Uski dono tarf ki phansliya Bahaim Miljati hai- Uskay paas ek Bad Surath Shaqhs ata hai Jiska Libas intehai Badnuma hota hai aur ussay bohath gandi badboo phoot rahi hoti hai.
Wo kaheta hai tumhe is Cheez ki Khush khabri ho Jo tumhare liye buri hai.
yehi Wo din hai Jiska tumse Wada kiya Jata tha toh wo kaheta hai? aur tumhe bhi Allahtala Baddi ki khush khabri dedien-
tum kaun hai? tumhara Chahera toh wo chahera hai jo Shar hi ko Lata hai.
Wo Jawab deta hai Mein tumhara Bura Amal hoon aur Allahtala ki Kasam mein ne tumhe humesha is halath mein Dekha kay tum naiki kay Kaam mein dair kiya karte the aur Allahtala ki Nafarmaani bohath Jaldi karte the so tumhe Allahtala bura Badla dien.
phir Usper Ek Andhay, Bahetay, aur Gungay ki Duty lagadi Jaati hai Jiskay haath mein ek Lohay ki Salaq hoti hai- agar wo ussay Ek Pahad per maray toh wo mithi hojaey.
phir Wo Uskay Saath Ussay marta hai Jissay Wo Aisi Cheeq marta hai kay Jissay Jinn wo Ins kay Siva Kainath ki har Cheez Sunti hai, Badh Uskay liye Jahannum ka Darwaza kholdiya Jata hai aur Jahannum hi ka Bistar Uskay liye bichadiya Jata hai.
Toh Wo Dua Karta hai, Ae Rab Qayamath khayam na kar.

⭐️[Abu Dawood: 4753]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️TANBAY KAY NAQOONOU SE CHAHERAY AUR SEENAY KO NOCHNA:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jabh mjhe Meraj karaya gaya toh mein ne Chand log aise dekhay Jinhay tanbay kay naqoon diye gai the aur wo Apnay Chaheray aur Seenou ko noch rahay the, Mein ne pucha ye Kaun hai? toh Jibraeel(as) ne kaha ye wo hai Jo logou ka gosht khatay the (Unki Geebath karte the) aur Unki Izzath per Hamla karte the.

⭐️[Abu Dawood: 4878]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️QABER MEIN MOMIN KO KAUNSI KAUNSI NAIMATIEN ATA KI JAATI HAI:

♦️Naik Amal ki Wajhese Andheri Qaber mein Momin kay liye Noor Uska Saathi Hoti hai Jaise kay :


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, phir Momin ki Rooh ko Zameen ki tarf loutakar Usko Uskay Jism mein Wapis Kardiya Jata hai- aur Uskay Saathi Jabh ussay Dafan karnay kay badh wapis palath rahay hotay hai toh Wo unkay Jutou ki Ahat sun raha hota hai phir Uskay paas 2 Farishtay atay hai Jo Ussay Jhidak kar bitha detay hai aur Ussay Suwaal karte hai:
Tumhara Rab kaun hai?
Wo Jawab deta hai: Mera Rab Allah hai.
phir Wo puchtay hai tumhara Deen kiya hai?
Wo Kaheta hai Mera Deen Islam hai.
phir wo kahetay hai wo admi kaun hai Jissay tum mein Nabi Banakar Bheja hai?
Wo Kaheta hai Muhammed(ﷺ) hai.
phir Wo kahetay hai Tumha kaise pata chala?
Wo kaheta hai mein Allahtala ki kitaab ko padha toh Usper imaan le aya aur Uski tasdiq ki.

Farishtay Phir Ussay Jhidak kar kahetay hai: Tumahar rab kaun hai? Tumhara Deen kiya hai? Nabi kaun hai?
Aur Momin ki ye Aqhri Azmaish hoti hai.

Isi Kay Mutaliq Allahtala Ka Farmaan hai:

⭐️Imaan Walou ko Allahtala Paaki baath kay Saath Mazbooth rakhta hai Duniya ki Zindagi mein aur Aqhirath ki Zindagi mein bhi.

⭐️[Sura Ibrahim: 14: 27]


Chunacha Wo kaheta hai Mera Rab Allah hai , Mera Deen Islam hai, Mere Nabi Muhammed(ﷺ)
hai.

Chunacha Asmaan se Ek Nada Ati hai Kay mere Banday ne sach kaha hai lehaza Uskay liye Janath ka Ek Bistar Bichado, Ussay Jannath ka Libas Pinhado, aur Uskay liye Ek Jannath Ka Darwaza kholdo.

Muhammed(ﷺ) Farmaay, Chunacha uskay Paas Jannath ki khushboo aur Uski Naimatien ati hai aur uski Qaber ko Jahan takh nazar jaey wahan takh Waasi kardiya Jata hai, phir uskay paas Ek Khubsurath Shaqhs ata hai jiska libas Intehai umda hota hai aur ussay bohath achi khushboo phoot rai hoti hai wo kaheta hai tumhe Allah ki raza aur Un jannath ki jinme wo humesha rahene waali Naimatien hai.
Aur yehi wo din hai Jiska tumse Wada kiya gaya tha toh wo kaheta hai: Aur tumhe bhi Allahtala khair ki khush khabri dien, tum kaun ho? wo kaheta hai tumhara chahera toh wo Chahera hai jo khair hi ko lata hai.
Wo Jawab deta hai mein tumhara naik amal hoon aur Allahtala ki kasam tumhe mein ne humesha is halaath mein dekha kay tum naiki kay kaam mein jaldi kiya karte the aur Allahtala ki nafarmaani mein bohath dair lagatay the.
Lehaza Allahtala tumhe Jazai khair dien- phir uskay liye ek darwaza Jannath ki tarf aur ek darwaza Jahannum ki tarf khola jata hai aur Ussay kaha jata hai agar tum Allahtala kay nafarmaan hote toh ye Jahannum tumhara thekana hoti, lekin Allahtala ne tumhe iskay badle mein Jannath ka ye thrkana dedeiya hai, toh wo jananth ki naimatou ko dekhkar kaheta hai : Ae mere rab Qayamath Jaldi khayam karta kay mein Apnay ghar waalou mein aur maal mein lout jaou- toh ussay jawab diya jata hai : abh tumko yahin rahena hai.

⭐️[Abu Dawood: 4753]


♦️Is Hadees mein digar batou kay elawa is baath ka bhi saboot hai kay Qaber mein momin aur naik insaan ko naimatou se nawaza jata hai aur Uskay liye Jannath ka Darwaza bhi kholdiya jata hai, phir ussay Jannath ka Bistar aur Jannath ka libas muhiya kiya jata hai aur uski Qaber ko khulla kardiya jata hai.


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️TADFEEN KAY BADH KAY MAMLATH MOMIN MAYYATH KAY SAATH:

📣Abu Hurera(Raziyallahu anhu) se riwayath hai kay Muhammed(ﷺ) Farmaay, Jabh mayyath ko Uski Qaber mein rakha Jata hai Beshak wo Unkay Jutou ki Awaz ko Sun Raha hota hai Jabhkay Wo Ussay Dafnananay kay badh Apnay Apnay gharou ko Wapi loutre hote aur agar wo Momin hota toh Namaaz Uskay Sar kay paas Ajati hai, Rozay Uskay Daey Janib, Zakaath Uskay Baey Janib aur Dosri naikiya Masalan: Sadqath, Nafil Namaaz aur Logou per Ehsaan wagerah Uskay paou kay Paas ajati hai toh Uskay Chaarou atraf se Ussay naikiya gherleti hai aur Uskay paas kisi cheez ko anay nahi detay- phir Ussay Kaha Jata hai baithjaou toh wo Uthkar baithjata hai- Uskay Samne Suraj ata hai aur Wo yu mehsoos karta hai kay Jaise Suraj guroob hi hone wala hai toh Ussay pucha jata hai: Jo Shaqhs tumhari tarf Maboos kiya gaya tha tum uskay baray mein kiya kahetay ho? aur tum Uskay mutaliq kiya gawaahi detay ho? wo kaheta hai: mjhe Chodhdo Mein Namaaz padhlo , wo kahetay hai tum namaaz toh padhlingay phele humare Suwaal ka jawab do.
Wo Jawab deta hai: Mein Muhammed(ﷺ) kay mutaliq Gawaahi deta hoon kay wo Allah kay Rasool hai aur Allah ki tarf se haq lekar ae.

Toh Ussay kaha Jata hai: tum Ussi baath per Zinda rahay aur tumhari mout bhi usi pe ae aur Usi per tumhay In shaa allah Uthaya jaega, phir Uskay liye Jannath ka rk Darwaza kholdiya jata hai aur ussay kaha jata hai yehi tumhara thekana hai aur isme Allahtala ne jo naimatien tayyar rakhi hai wo bhi tumhari hai chunacha uski khushi aur suroor mein aur izafa hojata hai.

Phir Jahannum ka ek Darwaza ussay kholkar kaha jata hai, ye tumhara thekana hota agar tum Allahtala ki nafarmaani karteusper uski khushi mein aur izafa hojata hai, phir Uski Qaber ko 70Haath takh Wasi kardiya jata haiaur Uskay liye Munawar(Roshan) kardiya jata hai aur Uskay jism ko us cheez ki tarf louta diya jata hai jissay usko shuru kiya gaya tha , phir Uski Rooh ko Un Paakiza parindou kay ander pohancha diya jata hai jo Jannath kay Daraqhtou se khatay hai.

⭐️[Sahih Targeeb: 3561]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️MOMIN KI QABER KUSHADA AUR ROSHAN KARDI JAATI HAI:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Beshak Momin apni Qaber mein Ek Sarzab wo shadab bagichay mein hote hai- Uski Qaber ko uskay liye 70Haath takh kushada kardiya jata hai aur usme Chodvi raath kay Chand ki tarha roshni kardi jati hai.

⭐️[Sahih Targeeb: 3552]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️NAIK MAYYATH KO ARAM KI NEEND SULHA DIYA JATA HAI QAYAMATH TAKH :

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jabh Mayyath ko Qaber mein Dafan kardiya jata hai toh uskay paas Do Kalay aur Nilay rang kay Farishtay atay hai- Unme se Ek ko Munkir aur Dosre ko Nakir kaha jata hai- Wo Dono Ussay puchtay hai, tum is Shaqhs kay baray mein kiya kaha karte the? toh wo Uskay baray mein wohi Jawab deta hai Jo wo Duniya mein kaha karta tha kay Wo Allahtala kay Banday aur Rasool hai, phir wo kahetay hai Mein Gawaahi deta hoon kay Allahtala kay Sivae koi mabood Bar haq nahi aur Muhammed(ﷺ) Allahtala kay Banday aur Rasool haiWo Dono Farishtay kahetay hai, Humay Maloom tha kay tum yehi jawab dogay.
Phir Uski Qaber ko 70Haath Kushada Kardiya jata hai phir Ussay roshan kardiya jata hai phir Ussay kaha jata hai Jaise kay Wo Dulha Sota hai Jissay uskay ghar walou mein se sirf wohi jagasakhtay hai Jo Ussay Subse Ziyada mehboob ho.
Phir Wo Sojata hai yahan takh kay Allahtala Ussay Allahtala Qayamath kay roz uthaega.

⭐️[Tirmidi: 1071]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️SHAHADATH PER MILNE WALAY INAMAATH:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Shaheed kay liye Allahtala kay paas (Khusoosi tour per) 6 Inamaath hai:
▶️Phele Qatre Khoon per Uski Maghfirath kardi jaati hai aur Jannath mein ussay uska thekana dikha diya jata hai,
▶️Ussay Azab-e-Qaber se mehfooz rakha jata hai aur
▶️Wo badhi ghabrahath se mehfooz raheta hai
▶️Uskay Sar per Taj-e-wa Qadar rakha jata hai Jiska Rk moti Duniya se aur Duniya kay ander jo kuch hai Ussay bahetar hai .
▶️Ussay Moti Ankhou Waali Hoorou mein se Bahatar(72) Buwiyou se Shadi ki jaegi.
▶️Ussay Uskay 70 Rishtedarou kay baray mein Sifarish Qubool ki jaegi.

⭐️[Tirmidi: 1663]


♦️Is Hadees mein Jis Shaheed kay Fazaiyl zikar kiye gae hai ye wo Shaheed hai Jisme
Shuda-e-Ahad ki Sharaiyath ho aur wo ye hai:

Wo Musalmaan Sipay Salar kay Jhanday talay Jama hojar Ladhnay Waali fouj mein Allahtala ka Kalma Buland karnay kay khateer Kufar se Qatl karte huay marajaey.
Wo Maidan-e-Qatl mein Zakhmi hokar Mara ho.
uskay Warees ne uski Shahadaath kay badlay mein koi Maali Muaweza na liya ho.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️SURA MULK KI TILAWATH SE AZAB-E-QABER SE NAJATH:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Beshak Quran mein Ek Surath hai Jiski 30 Aayaatien hai Ek admi kay haq mein Sifarish ki yahan takh kay Uski Baqshish kardi gae aur Wo “Sura Mulk” hai.

⭐️[Ibn Majah: 3786]


................

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, jo Shaqhs har raath “Sura Mulk” ki tilawath karta hai Ussay Allahtala Azab-e-Qaber se mehfooz rakhega.

⭐️[Sunan Nisai: 1475]


.................

📣Muhammed Rasool (ﷺ) “Sura Sajda” aur “Sura Mulk” ki har Raath tilawath Farmaaya karte the.

⭐️[Tirmidi: 2892]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️PAIT KAY MARZ MEIN MARNE WALAY KO AZAB-E-QABER NAHI HOGA:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jissay Pait ki Bemari mardien Ussay Qaber mein Azab Hargees nahi diya Jaega.

⭐️[Tirmidi: 1064]



⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

2 comments:

  1. Qabar momim ko b dubaati ha kitna dubati ha shidat kya hiti ha

    ReplyDelete
  2. your post is best but I believe this is best book to understand to Azaab e Al-Qabar.
    Rooh Azabe Qabar Sama e Mota

    ReplyDelete