Sunday, July 14, 2019

MISCELLANEOUS AHADEETH: 03

⭐️▶️TAQWA KI EHMIYATH◀️⭐️

⭐️▶️Taqwa Kai Wajubath ki bina per Duniya O Akhirath ki Kamyaabi kay Ehemtareen Asbab Mein se hai, inme se Chand Wajubath(Reasons) Darj Zaiyl hai.

⭐️Allahtala ki tarf se Tamaam Ummathou ko taqwa ki Wasiyath:

▶️Taqwa ki Ehmiyath ka Andaza is baath se lagaya Jasakhta hai kay Allahtala ne tamaam Ummatou ko taqwa ki wasiyath farmaai hai Chunacha Allahtala ka Irshad.

1️⃣Aur Humne Unlogou ko Jinhay tumse phele kitaab di gai aur tumhe bhi Usi baath ka huqm diya hai kay Allahtala se darte raho aur agar kufr karogay toh bilashuba Allah hi kay liye jo Kuch Asmaanou mein hai aur Jo kuch Zameen mein hai aur Allahtala bohath Beniyaz aur Qabeel-e-tareef hai.

⭐️[Sura Nisa: 04:131]

♦️Is Aayaath se Maloom hua kay Allahtala ki tarf se taqwa ka huqm har Ummath kay liye tha aur Aayaath kay Dosre hessay mein unlogou kay liye Azab ki waeed hai Jo taqwa ko nahi Apnatay aur ussay Inkaar karte hai.

▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️

⭐️2️⃣TAQWA IQHTIYAR KARNE KA HUQM-E-ILLAHI:


▶️Allahtala Ne Quran-e-kareem ki Beshumar Aayaath Mein Apnay Bandou ko Taqwa Iqhtiyar karne ka huqm diya hai aur Ussay Wajib Qarar diya hai.

⭐️Aur Us Din se Daro Jisme tum Sub Allahtala ki tarf loutaey Jaougay, phir har Shaqhs ne Jo kuch kiya hoga Ussay uska pora pora Badla diya Jaega aur Unper Zulm nahi kiya jaega.

⭐️[Sura Baqara: 02:281]
........................................

⭐️Aur Us Din Se Daro Jabh koi Jaan kisi Jaan ko kuch Faida nahi desakhegi na Ussay Koi Sifarish Qubool ki Jaegi, na Ussay koi Ouz liya jaega aur na Unki Madad hi ki Jaegi.

⭐️[Sura Baqara: 02: 48]
........................................

⭐️Allahtala Ka Taqwa Iqhtiyar kari aur Jaan lo kay Yaqeenan Allahtala har Cheez ko khoob Jannay wala hai.

⭐️[Sura Baqara:02:231]

........................................

⭐️Ae log Apnay Rabse dato Jisne tumhe Ek Jaan se Paida kiya aur Usise Uska Joda Paida karkay Un Donou se Mard aur Aurtien Kasrath se Pheladiye aur Allah se dato Jiskay Wastay se tum Apus mein Suwaal karte ho, aur Rishte todhne se daro, Beshak Allah tumper nigraan hai.

⭐️[Sura Nisa :04:01]
..................................

⭐️Ae Imaan Walou Allahtala se Daro aur Har Shaqhs ye dekhay kay Usne Kal(Qayamath) Kay liye Agay kiya bheja hai, aur tum Allahtala se darte raho, Beshak Allahtala Khoob Jannay Wala hai jo tum Amal karte ho.

⭐️[Sura Hashar:49:18]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️TAQWA KA HUQOOM AHADEES-E-NABI(ﷺ) MEIN:

⭐️3️⃣📣Muhammed Rasool (ﷺ) Hajjatul Alvida kay Mouqe per khutba detay hua Farmaay,

Apnay Parwardigar Allahrabbul Izzath se daro, 5 Namaazien ada karo, Ramzaan kay Mahenay kay Rozay rakho, aur Apne Rab Ki Jannath mein Daqil hojou.

⭐️[Tirmidi: 616]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️2️⃣TAQWA:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, tum Jahan kahin bhi ho Allahtala se Darte raho aur Burai kay pichay naiki lagado toh us burai ko mitadegi aur logou se Achay Aqlaaq se paish aou.

⭐️[Tirmidi: 1987]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️3️⃣TAQWA:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) se kaha gaya kay Aap Humay Wasiyath kijiye toh Nabi(ﷺ) Farmaay, tumhe Allahtala kay Taqwa aur Sami O Ataat ki Wasiyath karta hoon.

⭐️[Abu Dawood: 4590]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️4️⃣TAQWA:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Jabh kisi Lashkar ya Sarya ka koi Ameer Banatay toh Ussay Khoosusi tour per Allahtala kay Taqwa ki Wasiyath Farmaatay aur Jo Musalmaan Iskay saath hote Unhay Bhalai ki Wasiyath Farmaatay.

⭐️[Tirmidi: 2676]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️TAQWA KI EHMIYATH HI KAY PAISH NAZAR MUHAMMED (ﷺ) KI APNI DUA MEIN APNE RAB SE TAQWA KA SUWAAL KIYE:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Dua Farmaay, Ae Allah mein Tujhse Hidayath, Taqwa, paak Damani aur Beniyaazi ka Suwaal Karta hoon.

“Allahumma Inni Asalukal Huda Wattuqa”

⭐️[Sahih Muslim: 6566]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️JANNATH MEIN DAQILA KA SUBSE BADHA ZARIYA TAQWA HAI:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) se Suwaal kiya gaya kay Ya Rasool Allah Subse Ziyada Wo Kausi Cheez hai Jo logou Ko Jannath mein Daqil karegi? Nabi(ﷺ) Farmaay, Allahtala Ka “Taqwa” aur “Husn Aqlaaq”.
Nabi(ﷺ) se pucha gaya kay Subse Ziyada logou ko Kaunsi Cheez Jahannum mein daqil karegi? Nabi(ﷺ) Farmaay, Mu(Zuban/Bad aqlaaqi) aur Sharmgaah(Baadkaari).

⭐️[Tirmidi: 2004]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️GUNAAHOU KAY KHATARNAAK NATAIJ◀️⭐️


⭐️▶️GUNAAH KARNE KI WAJHESE DIL PER SIYAHI CHAAJAATI HAI:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Momin Jabh Gunaah karta hai Uskay Dil per Ek Siya Nuqhta padhjata hai- phir agar wo Tawba karlete hai aur us Gunaah ko Chodhkar Maafi Manglete hai toh Uske Dil Dhodiya jata hai- aur agar wo Gunaah per Gunaah karta chala jata hai toh Siyahi bhi Badhti Chaali Jati hai yahan takh kay Uskay Dil per Chaajati hai.

⭐️[Tirmidi: 3334]

♦️Yehi Wo Zang hai Jsika Zikar Allahtala ne Quran-e-Majeed me Farmaay, Allahtala Aur Rasool ki Nafarmaaniyou aur Gunaahou ki Wajhese Dil per tariki Chaajati hai- aur Jabh koi Shaqhs Ba Kasrath Gunaah karta hai aur Allahtala se Maafi na mangta ho toh Uskay dil per Chahi hui Taariki aur Siyaahi Nihayath Gaheti Hojati hai aur Badhtay Badhtay Uskay Chaheray Per bhi Namya lagti hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️GUNAAH KAY NATAIYJ:


📣Abdullah bin Abbas(r) Kahetay hai kay, Naiki ki Wajhese Chaheray per Roshni ajati hai Dil Munawar hojata hai, Rizq milta hai, Jismaani taqath mein Izafa hita hai aur logou kay Dilou mein Issay Mohabbath paida hojati hai- aur Butai ki Wajhese Chaheray per Siyahi ajati hai, Dil per tariki Chaajati hai, Jisme Kamzor padhjata hai, Rizq mein Kami ajati hai aur Logou kay Dilou mein Issay Nafrath paida hojati hai.

⭐️[Ibn Majah: 4244]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️GUNAAH KARNE WALOU SE ALLAHTALA NARAZ RAHETE HAI:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, tum Nafarmaani se bacho kyun kay nafarmaani ki Wajhese Allahtala ki Narazgi ajati hai.

⭐️[Musand Ahmad:

♦️Jabh Kisi Banday Se Allahtala Naraz hota hai toh Uska Allahtala kay yahan Koi Muqam wo Martaba nahi raheta Balkay Wo Allahtala ki Nazrou mein Girhata hai aur uski koi Izzath nahi hoti aur Jiski Allahtala kay yahan Koi izzath nahi hoti Ussay kisi aur ki tarf se Izzath nahi Milsakhti.

⭐️Allahtala ka Farmaan:
Aur Jis Shaqhs ko Allahtala Zaleel Kardien toh Ussay koi Izzath denay wala nahi.

⭐️[Sura Hajj: 22: 18]
⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️BEHAYAI GUNAAH HAI:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jabh Tum Behaya Hojou toh Jo Chaho karo.

⭐️[Mutafiq Alaiy]

♦️Nafarmaaniyou ki Nahudath Ek ye hai kay Allahtala aur Uskay Rasool ka Nafarmaan Sharm Wo Haya se mehrum hojata hai- Chunacha wo Khulam Khula Gunaahou karta hai aur Ussay Zara bhi Sharm nehsoos nahi hoti, na Allahtala se aur Na hi logou se.
phir Baath yahin takh nahi raheti Balkay Butaiyou kay nataiyj mein wo Us Qadr Sharm wo Haya se Aari hojata hai kay agar Biwi ya beti Beparda hokar Bazarou mein ya kahin apni Husn ki Numaish karti rahay ya Gair Mehrum mardou se gupchup karti rahay toh wo ussay Aam se baath Samjhta haiaur usme koi Shram mehsoos nahi karta isi tarha Uskay ghar mein Fahesh Ganay, Fitnay aur Haya Baqhta Program Chalte rahay, Uski Biwi Betay Betiya aur Digar Afrad Khana unhay Dekhtay aur Suntay rahay toh Usper Bhi Koi Sharm wo Haya mehsoos nahi hoti.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️GUNAAHOU KI WAJHESE SE RIZQ SE MEHRUM KARDIYA JATA:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Admi ko Uskay Kisi Gunaah ki Wajhese Rizq se Mehrum Kardiya Jata hai.

⭐️[Ibn Majah: 90]

♦️Gunaahou aur buraiyou ki Wajhese Insaan rizq se Mehrum hojata hai Baaz Ouqath Insaan ko Aisa lagta hai kay abh Ussay Rizq milnay hi wala hai, Fulah Jaga ya Fulah Deal se itnay itnay Paise milne walay hai lekin Achanak wo Kisi Burai Karta hai Jiskay Nataij mein Wo Mutaqaa tour per Naseeb honay Wala Rizq se mehrum hojata hai.

🔹Umuman Ye Dekhne aur Sunnay mein ata hai kay Ek Admi Acha Khasa Maaldaar aur Badha hi Khush haal hota hai- magar heras aur Lalach ki wajhese wo Moujuda maal wo Doulath per Ektafa nahi karta Balkay Ussay badhanay kay liye Najayez Wasaiyl iqhtiyar karleta hai- Maslan Sood lain Dain, Sharab ka Nahatez Karobar aur Insurance, prize Bonds aur Cerificates kay Zariye Raathou raath Crore pati Bannay ki khaahish aur Jabh wo is tarha kay Haraam wasaiyl Iqhtiyar karta hai toh usi waqt se uski Khush Haali Bad haali mein Badalne lagti hai phir Aqhirkar Uska mukamil tour per karobar tabha wo Barbad hojata hai yu Gunaah Uskay liye Rizq se mehrum ka Sabab Banjata hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️GUNAAHOU KI WAJHESE ILM SE MEHRUMI HOJATI HAI:

📣Gunaahou Ki Wajhese Ek Saheb-e-Ilm Hasil karda Ilm se Mehrum hojata hai, Kyun kay Ilm Allahtala ki Tarf se Noor hota hai aur Gunaah Us Noor ko Buja dete hai.

▶️Yehi Wajhe hai kay Jabh Imam Shafai(rh) Apne Ustad Imaam Malik(rh) kay Samne Dozanou hokar baithay tih Ustaad Sahab Apnay Is Layeq aur Bi Salahiyath Shagird ki Zahanath(Qabiliyath) wo Fatanath per Badhay Hairaan huay aur Kaha: Allahtala ki Kasam Mein Dekh raha hoon kay Allahtala ne Apkay Dil mein Noor Paida kardiya hai, Lehaza Aap Is Noor ko Asyan wo Nafarmaani ki Tariki kay Zariye na Bujhana.

▶️Imam Shafai(rh) Kahetay hai kay Mein ne Waki(rh) Se Shikayath ki kay meti Qout Hafiza Kamzor Hogaya hai toh Unho ne Fatmaaya, Gunaah Chodh Do, kyun kay Ilm Allahtala ka Fazal hai aur Ye Kisi Nafarmaan ko Nahi Diya Jata.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️GUNAAHOU KI WAJHESE NAIKIYA ZAYAAN HOJATI HAI:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Mein Yaqeenan Apni Ummath kay Aise Logou ko Janta hoon Jo Qayamath kay Roz Aisi Naikiya lekar Aengay Jo Tahmankay Pahadou ki manind roshan hongi lekin Allahtala Unki Un Naikiyou ko Hawa mein Udhatay huay Chote Chote Zarath ki Manind Udhadega.
Hazrath Soban(r) Ne Kaha: Ae Allah Kay Rasool(ﷺ) Aap Unlogou kay Baray mein Khulkar Bayan kardijiye takay hum La ilmi mein Aise logou mein Shamil n



a hojaey.
Nabi(ﷺ) Farmaay, Khabardar Wo tumhare Bhai aur tumhari Qoum se hi hongay wo Raath ko Usi tarha Qiyam karingay Jaise kay tum karte ho lekin Wo Aise log hongay kau Jabh khatut(Tanhai) mein Unhay Allahtala ki Haraam karda cheezien Milingi toh wo unse Apna Daman nahi Bachaengay.

⭐️[Ibn Majah: 4245]

♦️Gunaahou ki Nahusath Ek ye hai kay Unki Wajhese Naikiya Zaya hojati hai Khaas tour per Khalut(tanhai) mein jo Apna Daman Gunaaou se nahi Bachatay toh ye Amal naikiyou kay liye nihayath tabha kun hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️HAQARATH-E-DUNIYA⭐️◀️

⭐️▶️HAQARATH-E-DUNIYA:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Agar Duniya Allahtala kay Nazdik Ek Machar kay par kay barabar bhi hoti toh Wo Kafir ko pani ka ek ghunt bhi na pilata.

⭐️[Tirmidi: 2320]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️MUHAMMED (ﷺ) KI DUNIYAVI ZINDAGI SE BERUQI:

📣Abdullah Bin Masood(r) Bayan Farmaay, kay Muhammed(ﷺ) Ek Chaatai per Soi, phir uthay toh Nabi(ﷺ) kay pahelo per Uskay nishanaath padhay huay the,
toh Hum ne Kaha Ya Rasool Allah agar hum Apkay liye Ek Bistar tayar karwadien toh kaisa?
toh Nabi(ﷺ) Farmaay, mera Duniya se kiya taluq hai, mein toh Duniya mein Ek Sawar (Musafir) ki tarha hoon Jo Ek Daraqthbkay nechay Aram karta hai, Phir Ussay Chodhkar agay ko Chal deta hai.

⭐️[Tirmidi: 2377]


♦️Yani Nabi(ﷺ) ki murad thi, Mjhe Duniya se koi Ulfat wo Mihabbath nahi hai, aur Duniya mein meri Hasiyath musafir ki si hai Jo Chaltay Chaltay Jabh Thakjata hai toh Ek Daraqth kay Saye mein kuch Dair kay liye Aram karlete hai, Phir Ussay Chaifhkar Chal deta hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️DUNIYAVI ZINDAGI KAY PICHAY NA BHAGAY KAY AQHIRATH KO HI BHULJAEY:

📣Abu Waiyl bayan karte hai kay Muawiya(r) Abu Hashim bin Atiba ki iyyadath kay liye gae (Toh Dekha kay Wo rorahay hai) toh unho ne kaha :
Mammu Jaan! Kyun rorahay hai? Dard ki Wajhese ya Duniya ki Lalach ki wajhese? toh unho ne kaha (Duniya ki lalach ki Wajhese toh hargees nahi) Balkay Baath ye hai kay mjhse Nabi(ﷺ) ne Ek Ahad liya tha aur Mein Samjhta hoon kay mein ne Us Ahad ki Paas daari nahi ki, Mjhse Nabi(ﷺ) ne Ahad liya tha kay tumhe piray Maal mein Sirf Ek Qadim aur Allahtala kay Raste mein Jihaad kay liye Ek Sawari kafi hai- Jabh kay mein Aj Mehsoos kar raha hoon kay Mein ne Ussay Ziyada Maal Jama karliya hai.

⭐️[Tirmidi: 2327]


♦️Is Hadees se bhi isi baath ki Daleel hai kay Duniya se Insaan kum lien aur Aqhirath kay liye Sochay aur Usi kay liye Amal kare- aur Duniya mein Is Qadar Magan na ho kay Wo Iskay Fitnay mein Mubtelah hojaey aur Aqhirath se Bilkul hi Gafil hojaey.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️DUNIYAVI ZINDAGI MEIN DIL NA LAGAEY:

▶️Imam Novi(rh) is Hadees ka Mafhoom Bayan karte huay Farmaatay hai kay:
▪️Tum Duniya ki tarf Math jhuko aur Na hi Ussay Apna Watan banaou- aur na usme Baqhi rahenay ka socho aur na uski kisi aisi Cheez se Dil lagaou Jissay koi Ajnabi apnay watan se Bahar dil nahi lagata.

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, tum Jaidad Wagerah math banana kay phir Duniya mein hi dil lagakay baith jaou.

⭐️[Tirmidi: 2328]


♦️Yani tum Bagath, Zar-o-Zameen, Factories aur Tijaraati Zaraiy Wagerah na Banana kay phir Unhi mein Mashghul hokar rahejaou aur tumhe Duniyavi Kamou se muhalath hi na milaey- aur tum Mukamil tour per Deen Se Gafil hojou aur Uski koi Parwa na karo.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️DUNIYA MEIN EK MUSAFIR KI TARHA ZINDAGI BASAR KARE:

▶️Musand Ahmed wagerah mein Hadees kay Alfaz yu hai:

📣Duniya mein Ek Ajnabi ya Ek Musafir ki tarha rahi aur Apnay Apko Qaber waliu mein Shumar kari.
Ek Ajnabi insaan ka koi ghar nahi hota Jisme wo Mustaqil(Permanent) tour per panha lesakhay, Usi tarha musafir bhi Douran-e-Safar Be ghar hota hai, Wo agar kahin thairta bhi hai toh Ussay Sukoon naseeb nahi hota kyun kay Ussay Manzil maqsood per Pohanchne ki fikar daman gir hiti hai- Chunachay wo Kuch Waqt kay liye Aram karne kay badh agay ko rawana hojata hai.

⭐️[Saheeha Albani: 1157]


♦️Isi Tarha duniya mein har Insaan ko ek Ajnabi aur Musafir ki tarha hi rahena Chaheye kay wo Ussay Aoni mustaqil Raheshgaah na Samjhay, Balkay Musafir ki tarha Ussay Apni Arzi Guzargaah samjhna aur usme Aqhirath kay liye Amal kare aur Allahtala jitni Zindagi dien Ussay Allahtala ki mansha kay mutabiq Guzaray.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️RIZQ MEIN BARAKATH KAY ASBAAB◀️⭐️

⭐️▶️TAWAKKUL ALLAH KI FAZILATH:
📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Agar tum Allahtala per is tarha Bharosa karo Jis tarha Bharosa karnay ka haq hai toh wo tumhe Aise hi Rizq dega Jaise wo Parindoubko Rizq deta hai Jo Subha kay Waqt khali pait nikaltay hai aur Sham kay Waqt pait bharkar Wapis atay hai.

⭐️[Tirmidi: 2344]
♦️Rizq mein Barakath kay Asbab mein se Ek aur Ehem sabab hai, Allahtala per Tawakkul aur Bharosa karna yani Insaan Rizq Halaal kay liye Jo bhi Jayez Waseelay iqhtiyar kare Usper Bharosa na kare, Balkay Allahtala per Bharosa kare toh Zaroor Allahtala Ussay Rizq dega aur Usme Barakath bhi Naseeb Farmaaega.
⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️SUBHA KAY BABARSKATH WAQT MEIN RIZQ HALAAL KAY LIYE KOSHISH KARNA:

▶️Rizq mein Barakath Kay Asbab mein se Ek Badha Sabab ye hai kay Aap Rozana Fajr ki Namaaz BaJamaath ada kare, Uskay Badh Subha kay Babarakath Waqt ko Ganimath Tasaeur kare aur Usme Rizq Halaal kay liye Sai aur
Jad-o-Jaid kare- Ussay Yaqeenan Apki Kamai mein Barakath aegi.


▶️Kyun kay 📣Muhammed Rasool (ﷺ) ne Apni Ummath kay liye Subha Kay Waqt mein Barakath ki Dua Farmaai thi:

⭐️”Allahumma Barik li Ummati Fi Bukuriha”


Meaning: Ae Allah Meri Ummath kay Subha Kay Ouqath mein Barakath dien.

⭐️[Abu Dawood: 2606; Tirmidi: 1212]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️KHARIDH O FAROUQATH MEIN SACH BOLNA UR JHOOT SE PARHEZ KARNA:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Allahtala Farmaata hai, mein Do Sharikou ka Tesra Hota hoon, Jabh takh unme se koi Ek Apnay Saathi ki Khayanath na kare phir agar koi Khayanath kare toh mein Unkay Bech me se nikaljata hoon.

⭐️[Abu Dawood: 3383]


♦️Kharid o Faroqath mein Sach bolne ki bina per Allahtala Rizq mein Barakath deta hai aur Jhoot bolne ki bina per Barakath mitadeta hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️LALACH SE DEEN KA NUQSAAN:

♦️Rizq mein Barakath kay Asbab mein se Ek Ahem Sabab ye hai kay Allahtala Apko Jo kuch ata kare Ussay aap khush Dili se Qubool kare aur Mazeed Maal ki Lalach se bachay.

▶️Maal ka Lalach is Qadar khatarnaak hai aur Ussay itna Nuqsaan hota hai Jitna Do Bhukay Bhediyou ko Bakriyou kay raid mein Azad chodhne se nahi hota.

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Aise Bhukay Do Bhediya Jissay Bakriyou mein Chodhay jaey wo inme itni kharaabi nahi karte, Jitni Kharaabi Maal ki Lalach ki Wajhese Uskay Deen Mein hoti hai.

⭐️[Tirmidi: 2376]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️WALIDAIN AUR RISTEDAROU SE ACHA SALUK KARE:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jis Shaqhs ko ye baathAchi lagti ho kay Uski Umar Lambi kardi Jaey aur Uskay Rizq mein Izafa kardiya jaey toh Walidain se Acha Bartou kare aur Apnay Rishtedarou se Sila Rahemi kare.

⭐️[Musanad Ahmad: 13425; Sahih Targeeb: 2488]


♦️Yani Walidain se Acha Saluk karna aur Rishtedarou se Khush Gawar taluqath khayam karna Uskay Zariye bhi Allahtala Rizq mein Batakath Deta hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️KHANAAT:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, tumme se Jo Shaqhs Subha kay Waqt tabdrust ho Apne Apme per Aman ho aur Uskay Paas ek din ki Khurak moujud hotoh goya Uskay liye pori Duniya ko Jama kardiya gaya hai.

⭐️[Tirmidi: 2346]


♦️In Naimatou mein se Teen Naimatien aisi hai Jiskay paas Moujud ho toh Ussay ye Samjhna Chaheye kay Goya Allahtala ne Uskay liye Pori Duniya Jama Kardi hai aur Wo hai Sahet, Aman, aur Ek Din ki Khurak.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️HALAAL KAMAI:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, tumhare Khanay Ko Subse Achi Cheez wo hai Jissay tum khud Kamou.

⭐️[Jamia Tirmidi: 1385]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

No comments:

Post a Comment