Sunday, July 28, 2019

MISCELLANEOUS AHADEETH: 07

▶️⭐️ROZ-E-QAYAMATH AUR USKI NISHAANIYA AUR HOULNAAKIYA◀️⭐️

⭐️ILM PER AMAL NAHI KIYA JAEGA:

📣Hazrath Ziyad bin labaid(Raziyallahu anhu) bayan karte hai kay, Muhammed (ﷺ) ne ek Cheez ka zikar kiya aur phir Farmaaya ye us Waqt hoga Jabh ilm Chala jaega mein ne kaha; Ae Allah kay Rasool! ilm kaise chala jaega jabh kay hum khud bhi Quran-e-Kareem padhtay hai aur Ussay apne bachou ko bhi padhatay hai aur humare bachay Apnay bachou ko padhaengay aur ye silsila Qayamath takh Jaari rahega?
toh Nabi(ï·º) Farmaay, teri maa tujhe gum paey Ae Ziyad(Raziyallahu anhu) mein toh tujhe Madina kay Budhay samjhdar logou mein shumar karta tha- kiya ye yahudi aur Nasrani Tourath aur Enjeel ko nahi padhte? Lekin padhne kay Bawajud wo inper Amal nahi karte.

⭐️[Ibn Majah: 4048]


♦️Hazrath ibn Masood(Raziyallahu anhu) kahetay hai, Hafiz-e-Quran
Hurf-e-Quran kay Hafiz nahi hote Balkay Uski Hudood ko Khayam karnay se (Yani Uskay Ehekaam per Amal karne se) hota hai.
Aur Hazrath Ibadah bin Samat(raziyallahu anhu) kahetay hai, Subse phele logou se Khashoo ko Uthaya jaega, Ain mumkeen hai kay Ek Admi is masjid mein Daqil ho Jahan Namaaz Bajamaath padhi jati hai aur ussay us mein ek admi bhi khashoo wala nahi nazar aega.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️ISLAM KA MITNA AUR QURAN KA UTHALIYA JANA:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Islam is tarha mitjaega Jaise Kapde ka Ek Daag mitjata hai yahan takh kay ye bhi Maloom na hoga kay Namaaz kiya hai? Roza kiya hai? aur Qurbaani aur Sadqa kiya hai? Ek Raath aegi Jabh Kitaab Allah (Quran-e-Kareem) ko uthaliya Jaega Hatta kay Uski ek Aayaath bhi Zameen per Baqhi na rahegi(Aur ek Waqt aega Jabh) Badhi Umar kay Log Kahingay Apnay Abaaou Jaad se ye Kalma (Lailaha illallah) Sunna tha toh hum bhi Ussay padhte hai.
Hazrath Salah(raziyallahu anhu) ne Huzefah(Raziyallahu anhu) se kaha Unhay Mahez Kalma padhne se kiya Faida hoga Jabh kay wo Namaaz, Roza, Qurbaani aur Sadqa ko nahi Jantay hongay? toh Hazrath Huzefa(Raziyallahu anhu) ne mu pherliya aur ussay koi Jawab na diya.
Salah(Raziyallahu anhu) ne teen bar yehi Suwaal kiya aur har bar Huzefa(Raziyallahu anhu) ne mu pherliya aur Ussay koi Jawab na diya.
Phir Unho ne Kaha: Ae Salah(Raziyallahu anhu) ye Kalma Unhay Jahannum se najath dilaega(Unho ne teen bar yehi kaha).

⭐️[Ibn Majah: 4049]


♦️Ye Surath-e-Haal Isa(Alaihi Salaam) hi mout kay badh hogi.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


▶️⭐️QAYAMATH KAY BADHAY NISHAANIYA⭐️▶️

⭐️ALAMATH-E-KIBRA⭐️


1️⃣DAJJAL-E-ZAHOOR.


⭐️▶️DAJJAL KI HUQUMATH ZAMEEN MEIN 40 RAHEGI:

📣Muhammed Rasool (ï·º) Farmaay, “Iski Alamath ye hai kay wo Zameen mein 40 Din rahega (Is Douran) iski huqumath har ghaat takh pohanchegi- taham wo 4Masajid mein nahi Jasakhega, Khanay Kaba(Kabatullah) Masjid-e-Nabvi, Masjid-e-Aqsa, aur Jabal Tur.

⭐️[Musanand Ahmed: 364/5]


♦️Is Hadees se sabith hota hai kay Dajjal Zameen per 40Din Rahega, Jabhkay Ek aur Riwayath kay mutabiq in 40din mein ek din Saal Kay barabar , Dosra din Ek Maah kay baraber aur Tesra Din Ek Hafte kay baraber hoga aur Baqhi din Aam dinou kay barabar hongay.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


2️⃣ZAHOOR IMAM MAHEDI:

⭐️▶️ZAHOOR-E-IMAAM MAHEDI:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Qayamath khayam na hogi yahan takh kay mere Ahel Bait se taluq rakhne walay Ek Shaqhs Jiska naam mere Naam jaisa hoga Arab ka Hakim banjaega.

⭐️[Tirmidi: 2230]

....................


📣Sunan Abu Dawood mein hai kay Imaam Mahedi kay walid ka naam bhi Nabi(ﷺ) kay Walid jaisa hoga Isi tarha isme ye bhi hai kay Wo Zameen ko Adl wo Insaaf se bhardingay Jaise kay (Unse phele) Zulm o Ziyadati se bhari padhi thi.

⭐️[Abu Dawood: 8242]

............

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Beshak meri Ummath mein Ek Mahedi Aega Jo Zahoor kay badh 5 ya 7 ya 9 saal takh rahega.

⭐️[Tirmidi: 2232]


♦️Iskay Elawa kai aur Ahadees kay Kutub mein Moujud hai Ahadees-e-Nabvi Jinse Sabith hota hai kay Imaam Mahedi ka Zahoor Qayamath ki Badhi Nishaani mein se hai aur unka Zahoor us waqt hoga Jabh roi Zameen per har tarf Fitnay wo Fasad barpa hoga, Inka Naam Muhammed (ï·º) Jaisa aur Inkay Walid ka Naam Nabi(ï·º) kay Walid kay naam jaisa hoga, Wo Ahel-e-Bait mein se hongay aur unkay dour mein Har tarha ki khair o Barakath hogi.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️NUZOOL-E-ISA(ALAI SALAAM)

⭐️▶️NUZOOL-E-ISA(ALAI SALAAM):

♦️Badhi Qayamath ki Nishaaniyou mein se Subse Ehem Alamath Isa(Alai Salaam) ka Nuzool hai Jinkay Baray mein Ahel-e-Sunnath Wal Jamath ka Aqeedah ye hai kay Allah rabbul Izzath ne Unhay Asmaan ki tarf Uthaliya tha phir Allahtala Unhay Qayamath kay Khareeb Damshaq Ki Jama Masjid kay minar per Nazil Farmaaega Aur Wo Nuzool kay badh Sharaiyath
Muhammed (ï·º) ki tabligh karingay aur log Tezi se Unki Dawath Qubool Karingay Jissay Zameen per Aman wo Amaan Khayam hoga aur Deen Islam ka bol Bola Hoga.

📣Abu Hurera(Raziyallahu anhu) se riwayath hai kay Muhammed (ﷺ) Farmaay, Allah ki Kasam! Ibn Maryam(Hazrath Isa(Alaihi Salaam) Zaroor Bil Zaroor hongay- wo Ek Adil Huqoomraan hongay- wo yaqeenan Salaib ko todhdalingay aur Bilashuba Qhinzir(pigs) ko Qatl Kardalingay- wo yaqeenan Jizya Khayam kardingay aur (Unkay Ahad mein) Jawan aur Umda Ountou ko Chodhiya jaega aur (Kasrath maal ki wajhese) koi Unhay Hasil karnay ki Koshish nahi karega aur Bahaim Keena, Hasd, yaqeenan khatam hojaega- wo yaqeenan logou ko maal lenay kay liye Bulaengay lekin (Maal bohath hone ki wajhese) koi Ussay Qubool karnay wala nahi hoga.

⭐️[Sahih Muslim: 155]


.............

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, tumhara us waqt kiya haal hoga jabh Isa bin Maryam(Alaihi Salaam) tum mein Nazil hongay aur tumhare imaam tum mein se hoga.

⭐️[Sahih Buqhari: 3449]

.............

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, phir log 7saal takh is tarha rahingay kay 2 admiyou kay darmiyaan koi Dushmaani nahi hogi, phir Allahtala sham ki janib se thandi hawa bhejega.

⭐️[Sahih Muslim: 2940]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


4️⃣⭐️YAJOOJ MAJOOJ KA NIKALNA:

⭐️▶️YAJOOJ MAJOOJ KA NIKALNA:

▶️Isi tarha Alamath-e-Kibra mein se Ek Alamath Yajooj Majooj ka nikalna hai.

⭐️Allahtala ka Farmaan:
Yahan takh kay Yajooj Majooj kholdiye jaengay aur Wo Har Bulandi se Dodhtay huay aengay.

⭐️[Sura Ambiya: 21: 96]

...............

📣Abu Hurera(Raziyallahu anhu) bayan karte hai, 📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Beshak yajooj Majooj har Roz khudai karte hai yahan takh kay Jabh wo Suraj ki Shaeey dekhne kay khareeb hotay hai toh unka nigraan unse kahete hai: abh lout jaou, kal tum phir khudai karogay- toh (Aglay roz) takh Allahtala Ussay pheli Halath mein louta deta hai (Us tarha wo Bad Satur Uski khudai karte rahingay) Hatta kay Jabh unki Muddath pori. hojaegi aur Allahtala unhay logou per musalath karnay ka irada Farmaalega toh wo khudai karingay yahan takh kay jabh wo suraj ki Shuaaeey dekhne kay khareeb hongay toh unka nigraan Unse kahega: abh loutjaou kal tum* In shaa allah* phir khudai karogay toh aglay roz Jabh wo khudai karnay aengay toh us (Deewar) ko usi Halath mein dekhingay Jisper wo ussay kal chodhkar gae the, isiliye wo iski khudai karkay Bahar logou per Musalath hojaengay- Wo Pani khush kardingay aur log unkay Shar se Bachne kay liye Qila band hojaengay Lehaza Wo Asmaan ki janib teer phenkingayJo Khoon Aluda hokar Wapis loutaengay- wo kahengay Hum Ahel-e-Zameen per bhi galib agae aur Ahel Asmaan per bhi- phir Allahtala Unki guddiyou mein Ek Kida paida kardega Jo unhay Qatal kardega.
Nabi(ï·º) Farmaay, Jis Zaath ki kasam Jiskay Haath mein meri Jaan hai(Yajooj Majooj is Qadar Fasad phelaengay aur Janwaarou ka gosht khaengay kay Zameen kay Janwaar takh (Unkay marnay kay Badh) Shukar karingay.

⭐️[Tirmidi: 3153]

..................

📣Muhammed (ﷺ) Farmaay Yajooj Majooj ka Zahoor Hazrath Isa(Alaihi Salaam) kay dour mein hoga.

⭐️[Sahih Muslim: 2937]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


5️⃣⭐️JANWAR KA NIKALNA:

⭐️▶️JANWAR KA NIKALNA:

▶️Qayamath ki Badhay Nishaaniyou mein se ye bhi ek badhi Alamath hai (Dabbatul Arz) Zameen Kay Janwar ka nikalna hai Jaise kay Allahtala ka Farmaan hai:
⭐️Aur Jabh Unper Azab ka Wada Sabith hojaega toh Hum Zameen se Unkay liye Ek Janwar nikalingay Jo unse batien karta hoga kay log humari aayaatou per yaqeen nahi karte the.

⭐️[Sura Naml: 27: 82]


♦️Yani unki nafarmaani, Sarkaashi aur Allahtala ki Aayaath Se unkay Aaraaz(Inkaar) ki Bena per Allahtala kay azab ka Wada Unper Sabith hojaega aur Ek Aisa Janwar Zahir hoga Jo unse batien karega takay unhay yaqeen hojaey kay ye Janwar Allahtala ki nishaani hai.


................

▶️Hazrath Ibn Umar(Raziyallahu anhu) bayan karte hai kay ye Janwar Makkah mein Jubail-e-Safa se niklega- yapahad phat jaega aur Ussay ye Janwar Baramad hoga- ye is Waqt hoga jabh Zameen per khair o Bhalai ka wajood nahi hoga, na koi naiki ka huqoom denay wala hoga- na koi burai se rokhne wala aur na koi tawba karne wala hoga- Is Janwar se koi shaqhs nahi bachsakhega- agar koi Momin baqhi hoga toh ye Janwar ussay sunghkar Uskay Chaheray ko roshan kardega aur Uski ankhou kay darmiyaan(Momin) ka lafz likhdega aur Kafir ko Sunghkar Uskay Chaheray ko Kala Siya kardega aur Uski Ankhou kay Darmiyaan (Kafir) ka lafz likh dega- aur ye logou se Baiqaida baath cheet karega uski ye bhi ek baath hogi kay Khabardaar Zalimou per Allah ki lanath hai.

⭐️[Tafseer ul Qartabi wa ibn Kaseer]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


6️⃣⭐️SURAJ KA MAGRIB SE TULOO HONA:

⭐️▶️SURAJ KA MAGRIB SE TULOO HONA:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Magrib mein tawba ka ek darwaza khula hua hai Jiski Chodhai 70 Saal ki Musafath hai aur us waqt takh band nahi hoga Jabh takh udhar se suraj tulo nahi hota.

⭐️[Tirmidi: 3535]


♦️In Tamaam nishaaniyou mein se Subse pheli nishaani ye hai kay Qoumou ko Zameen mein Dhansaya jaega, iskay badh Dajjal ka Kharuj higa, phir
Isa(Alaihi Salaam) ka nuzool phir yajooj majooj ka zahoor, phir Janwar ka nikalna aur phir Suraj ka magrib se tulo hona.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️SURAJ KA MAGRIB SE TULO HONA:

▶️Qayamath ki badhi nishaaniyou mein se yebhi ek Badhi Alamath hai Jiskay Badh tawba kay Darwazay band hojaengay.

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Teen Cheezien jabh niklingi toh us waqt kisi aise shaqhs ka Imaan kaam na aega Jo phele se imaan nahi rakhte the ya unse Apnay imaan mein koi naik amal na kiye tha.
▶️Ek Suraj ka Magrib se tulo hona.
▶️Dosra Dajjal ka Zahoor.
▶️Tesra Zameen kay Janwar ka nikalna.

⭐️[Sahih Muslim: 158] 


 ⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️QAYAMATH KI HOULNAAKIYA

⭐️▶️MAYYATH PER MATAM KARNA JAHALIYATH KA KAAM HAI:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Mayyath per Matam Karna Jahaliyath Kay Kamiu mein se hai- aur Matam karnay wali Aurath Agar Tawba kiye bagair marjaey toh Ussay Qayamath kay roz is haal mein uthaya Jaega kay Usper gandhak ka libas hoga, phir uskay uppar ussay aag kay Sholou ki khamees pinhai jaegi.

⭐️[Ibn Majah: 1582]


♦️Is hadees se humay ye baath maloom hojana chaheye kay Aqhirath mein kamyaabi ka daronadar Insaan kay khateme aur Uskay Aqhri Amal per hai Jisper humari mout aegi.
Lehaza hum tamaam musalmaanou per lazim hai kay Gunaahou per fouran Bila taqeer Sachi tawba karte huay Apnay Amal ki islaah karne ki Koshish kare aur Aqeedah touheed aur naik Amal per Sabith Qadam rahay takay humara khatema is haal mein ho kay humara Rab humse Razi ho.


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️  


⭐️▶️JISM KAY AAZAA QAYAMATH KAY DIN GAWAAHI DINGAY:
📣Muhammed Rasool (ﷺ) ne Sham ki tarf Ishara karte huay Farmaaya, tumhe idhar jama kiya jarga (3 bar Farmaaya) aur tumhare teen girou hongay, Sawarou ka girou, Paidal Chalne walou ka girou, aur unka girou Jinhay ondhay mu ghasita jaega.. aur Jabh tum Allahtala kay Samne paish kiye jaougay toh tumhare mu Band kiye gae hongay (Yani Unhay bolne se Manaa kardiya jaega) aur Subse phele tum me se kisi ek kay baray mein Uski Raan(Thigh) bayan degi.

⭐️[Musand Ahmad: 214/33]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️QAYAMATH KAY DIN INSAAN SIRF APNI FIKAR MEIN HOGA:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, tumhe nangay paou, nangay Badan aur Gair Maqhtoon halath mein Jama kiya Jaega.
Ek Aurath ne kaha: kiya hum ek Dosre ki Sharmgaah ko dekhrahay hongay, toh Nabi(ï·º) Farmaay, Ae Fulana inme Se Har ek ko Us din aisi Fikar daman gair hogi Jo Uskay liye kafi hogi.

⭐️[Tirmidi: 3332]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️QAYAMATH KAY DIN TEEN TARHA SE LOG PAISH KIYE JAENGAY:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Logou ko Qayamath kay din teen tarha se paish kiye jaega- pheli Do paishiyou mein mubahesa hoga aur Hujjath Khayam ki Jaegi jabhkay tesri paishi kay badh Haathou Mein Aamaal Namay Pakdai jaengay Koi Apne Daey haath se pakdega aur koi Baey haath se.

 
⭐️[Tirmidi: 2425]

 
♦️Al Hakeem Tirmidi ne is hadees ki Sharaah mein likhe hai kay Jhagday se murad ye hai kay Khahish parasti karnay walay log Allahtala se Jhagda karingay kyunkay wo apnay Rab ko nahi pahechaningay aur wo ye Guman kar baithingay kay Agar wo Allahtala se Jhagda karingay toh is tarha Unki Jaan Choot jaegi aur Unki Hujjath ko Qubool karliya jaega.
Aur Jahan takh mominou ki Paishi ka taluq hai toh Allahtala Unhay khilwath (Tanhai) mein Bulaega aur khilwath mein Jissay Dantna hoga Dantega aur Is Waqt mominou ki halath ye hogi kay wo Allahtala se Sharm kay maray Paseenay mein Dobrai hongay phir Allahtala Unki Maghfirath Farmaakay Unhay Jannath mein bhejdega.

🔷Lehaza Zara Tasawur karna Chaheye Hum Tamaam Musalmaanou ko Jabh Allahtala kay Samne Khaday hongay, Humare Haath mein Humara Aamaal Nama hoga jissay padhrai hongay aur Apkay Samne aur Apkay pichay Qayamath ki Houlnaakiya hi houlnaakiya hongi aur Kitni aisi Buraiya hongi Jinhay Hum Duniya mein Bhulchukay the lekin aj Aap unhay Apne Samne Dekhkar dang rahenaengay, aur kitne Amal aise hongay Jinkay baray mein Apkay wahaim o guman mein bhi ye baath na thi kay ye Qayamath kay din Mere Samne Ajaengi- kiya hoga is Din ki Hasrath o Paishaymaani aur kiya hogi us din ki nadamath aur Sharmindagi.


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️QAYAMATH KAY DIN SUWAAL HOGA TANDRUSTI AUR PANI KAY BARAY MEIN:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Beshak Banday se Qayamath kay Din Naimatou mein se Subse phele Us Naimath ka Suwaal kiya jaega kay kiya Humne tumhe tandrusti nahi di thi? aur kiya humne tumhe thanday pani se sairab nahi kiya tha?

⭐️[Tirmidi: 3358; Sahih Jamia: 2022]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️QAYAMATH KAY DIN YE 5 SUWALAATH KIYE JAENGAY ZAROOR:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Qayamath kay Din 5 Cheezou kah Baray mein Suwalath se phele kisi Banday kay Qadam Apnay Rab kay paas se Hil Nahi Sakhingay.

1️⃣Umar kay Baray mein kay Issay Kis Cheez mein Guzara?

2️⃣Jawaani Kay Baray mein Issay Kis Cheez mein Gawaya?

▶️Maal Kay Baray mein 2 Suwaal Hongay:
3️⃣kay Maal Kahan Se Kamaya?

4️⃣Aur Kahan per Kharch kiya?

5️⃣Aur Ilm kay Baray mein kay Isne Isper Kitna Amal kiya?

⭐️[Tirmidi: 2416]


♦️Ae Logou Qayamath kay Din jabh Humse Suwaal hoga kay Apni Jawaani ki Tawuni ko akin Kin Amal Me Khapaya tha?
kay Hum adin aur Raath ka Baishtar hessa kis kis kay saath kiya kiya karte huay guzarte the?
Hum Jabh Tanhai mein hote toh kiya kiya (TV) per dekhtay the?
kiya kiya Sunte the?
kiya kiya Padhte the?
aur Farigh Ouqath mein Kiya kiya karte the?
Hum Sub ko Sochlena chaheye kay Qayamath kay Fin hum in Suwalaath kay kiya Jawab dingay.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️QAYAMATH MEIN NAIKIYOU SE CHUKANA HOGA DUNIYA KA BAQAYA LOG KA:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Shaqhs is Halath mein Margaya kay Usper kisi kay Dinar aur Dirham the(Baqhi) toh (Qayamath kay din) Uski Naikiyou se Uska Haq ada kiya jaega kyun kay Wahan dinar aur dirham nahi hongay.

⭐️[Ibn Majah: 2415]



♦️Zara Gaour Farmaey kay is dour mein Kaiy log Dosray logou ki Izzathou ko khelona Banakar aur Unkay maal lout kar kitna khush o khuram raa rahay hai Jabhkay Qayamath kay roz Unki Hasrath wo Nadamath ki inteha hogi Jabh Zalim wo Mazlum Sub Allahtala ki Adalath Insaaf mein khaday hongay aur Allahtala Zalimou ki Naikiya lekar Mazloomou mein bantdega agar unkay yahan naikiya nahi hongi ya Hongi magar pori nahi hongi toh Allahtala mazloomou kay gunaah lekar unki gardanou mein daldega, Isiliye
▶️ Umar(Raziyallahu anhu) kaha karte the:

“Tum Apna Mubahesa Khud hi karlo Ussay phele kay tumhara mubahesa kiya jaey aur Apnay Apko khud hi toul lo Ussay phele kay tumhe toula jaey”

🔷⭐️Yahan Mubahesa se murad ye hai kay Aj hi Tawba karlo aur Allahtala kay Huqooq ki adaigi kay saath saath Bandou kay huqooq bhi poray karlo.


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️QAYAMATH KAY DIN SUBSE PHELE UMMATH-E-MUHAMMED (ï·º) KA HESAB HOGA:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Hum Ummathou mein Aqhri Ummath hai lekin Hesab Subse phele Humari Ummath ka hoga, Kaha Jaega: kahan hai Ummi Ummath aur Uska Nabi? toh hum Agarchay Aqhir mein hai lekin (Qayamath kay din) Subse agay hongay.

⭐️[Ibn Majah: 4290]


........................

▶️📣Muhammed Rasool (ï·º) Farmaay, Ummathien Humare raste se hatjaengay lehaza hum agay badhjaengay aur Wadu kay nishanaath ki Wajhese humare Haath Paou Chamak rahay hongay- chunacha Ummathien kahingi: Qareen tha kay is Ummath kay tamaam log Ambiya hote.

⭐️Musand Ahmed: 2546]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️SUBSE PHELE NAMAAZ KA HESAB LIYA JAEGA :

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Subse phele Banday se Namaaz ka hesab liya jaega aur logou kay Darmiyaan subse phele Khoonou ka Faisla kiya Jaega.

⭐️[Sunan Nisai: 3991]


♦️Is Hadees kay Mutaliq Ulema Imram ka kahena hai kay Qayamath kay Roz Subse phele Ibadath ka Namaaz ka Hesab liya haega aur Mamlath mein Khoon ka hesab hoga- issay hum is baath ka Andaza karsakhtay hai kay Ibadath mein Namaaz kis Qadar Ehem hai.
Isiliye Nabi(ï·º) ne Namaaz ko Deen ka satoon Qarar diya hai aur Banda momin aur Kafir kay Darmiyaan Farq karnay wali Cheez bhi Yehi Namaaz batary gai hai.
Quran-e-Majeed aur Ahadees-e-Nabvi mein bar bar Namaaz ki takeed ki gae hai Balkay Nabi(ï·º) ne Apni Waffath se Chand lamhaath phele Aqhri Wasiyath yehi Namaaz ki thi: Logou Namaaz ka Khayal rakhna aur Apnay Matahait logou kay Huqooq ka khayal rakhna, isiliye Hum Tamaam musalmaanou ko 5 Waqt ki Farz Namaazou ki Pabandi Karni chaheye aur Is silsilay mein Kisi Khism ki Gafkath ya Susti nahi baratni chaheye.


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️QAYAMATH KAY DIN NAMAAZ KA HESAB THEEK NIKLA TOH KAMYAABI HOGI:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Qayamath kay Din Subse phele Namaaz ka hesab liya jaega, agar hesab mein Namaaz theek nikli toh wo kamyaab o kamraan hoga aur agar Namaaz Fasid nikli toh wo Zaleel o Khasara panay wala hoga aur agar Farz Namaaz mein koi nuqs paya gaya toh Allahtala kahega Dekho kiya mere Banday mein koi Nafil Namaaz padhi thi? Chunacha Nafil kay Zariye Farz Namaazou ka nuqs pora kardiya jaega phir tamaam Aamaal ka hesab usi tarha liya jaega.

⭐️[Sahih Jamia: 2020]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️
 
 
 
 


⭐️▶️HAR AMAL KAY LIYE QAYAMATH KAY DIN GAWAAH MOUJUD HONGAY:

📣Ek Sahabi ne Dosre Sahabi ko Nasiyath ki kay Jabh tum kisi Jungle/Sahera mein ho aur Azan kaho toh Ounchi Awaz se kaho kyun kay mein ne Muhammed Rasool (ﷺ) se sunna tha kay,
Jo Jinn, Jo insaan, aur Jo Daraqth aur Jo Pathar Azan Sunta hai wo Mouzan kay haq mein (Qayamath kay din) Gawaahi dega.

⭐️[Ibn Majah: 723]


♦️Lehaza Hum Musalmaanou ko Sochna Chaheye, is baath per gour kare kay Humare har amal kay mutaliq Gawaah moujud hai Jo Qayamath kay Din Allahtala ki Adalath mein Gawaahi dingay aur Subse Badha Gawaah khud Allah rabbul Izzath hai Jissay koi Cheez Maqfi nahi.


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️AMBIYA(ALAIHI SALAAM) SE ALLAHTALA KA SUWAAL AUR UMMATH-E-MUHAMMEDIA KI UNKAY HAQ MEIN GAWAAHI:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Qayamath kay Din Ek Nabi aega aur Unkay Saath sirf ek admi hoga, Dosra Nabi Aega aur Unkay Saath Sirf Do Admi hongay, aur Ek Nabi Aega unkay Saath Teen Afrad hongay, Isi tarha aur Ambiya Aengay aur Unkay Saath Ussay Ziyada Afrad hongay ya kum- Chunacha Har Nabi se Kaha Jaega kiya tumne Apni Qoum takh Allahtala ka piagham pohancha diya tha?
Wo Jawab dingay Ji Haan, phir Unki Qoum ko Bulaya Jaega aur Unse Pucha Jaega , Kiya Usne tumhe Allahtala ka paigham pohancha diya tha? Wo Kahingay: Nahi toh Nabi se kaha Jaega tumhare gawaah kaun hai?
Nabi Kahingau Muhammed(ï·º) aur Unki Ummath phir Ummath-e-Muhammedia(ï·º) ko bulaya jaega aur Ussay suwaal kiya jaega kay kiya Is Nabi ne Apni Qoum ko Allahtala ka paigham pihancha diya tha? Wo Kahingay: Ji Haan.
Allahtala Puchigay tumhe Is baath ka Kaise Pata chala?
Wo Kahingay Humare Nabi Muhammed (ï·º) ne hume Is Baath ki khabar di thi kay Unse phele Tamaam Ambiya(Alaihi Salaam) ne Apni Apni Qoum takh Allahtala ka paigham pohancha diya tha toh Humne Nabi(ï·º) ki tasdeeq ki.

Phir Muhammed (ï·º) Is Aayaath ki tilawath Farmaay:

⭐️Humne tumhe isi tarha Adil Ummath Banaya hai takay tum logou per Gawaah hojaou aur Muhammed (ï·º) tum per Gawaah hojaey.

⭐️[Ibn Majah: 4284]



⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️AABAY KAUSAR:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Kausar Jannath mein Ek Naher hai Jiskay kinaray Sone kay aur Uskay Bahenay kay Raste Motiyou aur Yaqoot kay hai iski Mithi Kastoori se Ziyada Achi hai aur Iska Pani Shahed Se Ziyada mitha aur Barf se Ziyada Safed hai.

⭐️[Tirmidi: 3361]



⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️QAYAMATH KAY DIN TARAZOO KHAYAM KI JAEGI HESAB KAY LIYE:

📣Ayesha(Raziyallahu anha) se Riwayath hai kay Ek Shaqhs aya aur Muhammed Rasool (ﷺ) kay Samne Baithkar , Nabi(ﷺ) se kaha: Ae Allah kay Rasool Mere Kuch Ghulam hai Jo mjhse Jhoot bolte hai, Mere Maal mein Khayanath karte hai aur Meri Nafarmaani karte hai Mein Unhay galiya deta hoon aur Marta bhi hoon - toh Unkay Mutaliq mere Saath kiya Saluk kiya jaega?
Muhammed Rasool (ï·º) Farmaay, Unki Khayanath, Nafarmaani, aur Unho ne jo tujhse jhoot bola aur Jitni tune Unhay Saza di, Us Subka Hesab kiya jaega- Agar teri Saza unki galtiyou kay Baqadar hui toh Mamla barabar hojaega- Na ussay tumhe koi faida hogaaur na Nuqsaanaur Agar teri Saza Unkay galtiyou kay muqablay mein kum hui toh tujhe Unper Fazilath hasil hogi- aur agar teri Saza Unkay Galtiyou se Ziyada nikli toh tujhse ziyadati ka badla liya jaega.
Ye Shaqhs Ek Tarf hokar rone laga toh Nabi(ï·º) Farmaay:
Kiya tune Kitaab Allah mein Ye Aayaath nahi padhi:
⭐️Qayamath kay Din hum theek theek tolne walay tarazoo Rakhingay, phir Kisi per kuch bhi Sulm na kiya jaega.

⭐️[Sura Ambiya: 21: 47]


◾️Is Shaqhs ne Kaha: Allah ki Kasam Ae Allahtala kay Rasool! mere Khayal mein mere aur Unkay liye yehi bahetar hai kay mein unhay Chodho, Mein Apko Gawaah banakar kaheta hoon kay Aj kay badh ye Sub Azad hai.

⭐️[Tirmidhi: 3165]



⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️KALMA-E-TOUHEED KI FAZILATH:
MEEZAN MEIN SUBSE WAZNI


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Beshak Allahtala Meri Ummath kay Ek Admi ko Qayamath kay din Tamaam logou kay Samne Bulaengay (Ibn Majah ki Riwayath mein hai kay Onchi Awaz kay Saath Uska Naam pukara jaega aur phir Uskay Samne 99 Register kholdiye Jaengay aur Unme se Har Register Hadd-e-Nigaah takh phela hua hoga, phir Allahtala Ussay puchega: kiya tum Un Gunaahou mein se Kisi ka Inkaar karsakhtay ho?
Kiya meri tarf se Muqadar kiye huay tumhare Aamaal ko likhne walay nigraanou ne tujh per zulm kiya hai? Wo kahega: Nahi Ae mere Rab! Allahtala kahingay kiya tumhare paas koi Azar hai? Wo kahega Nahi Ae Mere Rab! Allahtala Kahega kyun Nahi-
Humare Paas teri Ek Naiki moujud hai Jiski Wajhese Aj tujhper zulm nahi Kiya jaega- phir Uskay liye Ek Card nikala Jaega Jisme Likha hoga:
* Ashaduan Lailaha illallahu Muhammadan Abduhu Wa rasooluhu
Phir Allahtala Kahega Aou Aj Apnay Amal Ka Wazan Dekhlo, Wo kahega : Ae Mere rab! ye Card Un Registerou kay muqablay mein kiya Hasiyath rakhta hai? kaha jaega: tujhper Zulm nahi kiya jaega phir registarou ko tarazoo kay Ek Palday mein rakha jaega aur Card ko Dosre Palday mein chunacha registarou wala palda uppar uthjaega aur card Wala palda nechay jhuk jaega- Usliye kay Allahtala Kay Naam kay Muqablay mein koi Cheez Ziyada Wazani nahi hosakhti.

⭐️[Tirmidi: 2639]


♦️Usne 99 Register bharnay takh Kufr o Shirk aur Gunaahou ki Zindagi Guzari, phir Aqhir mein Kalma-e-Touheed padhkar Waffath pae- Jo Uski Maghfirath Ka Sabab Bangaya.


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️MEEZAN KO BHARI KARNE WALAY AAMAAL MEIN ACHAY AQLAAQ BHI EK AMAL HAI:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Roz-e-Qayamath Meezan mein Subse bhari Achay Aqlaaq hongay.

⭐️[Ibn Hibban: 481]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 


⭐️▶️MEEZAN MEIN BOHATH BHARI HAI YE 2 KALME:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, 2 Kalme Allahtala ko Intehai Ziyada Mehboob hai- Wo Zuban per Halkay aur Meezan mein Bohath Bhari hai- aur wo ye hai.
SubhanAllahi Wa Bi Handihi
Subhan Allahil Azeem

⭐️[Sahih Buqhari: 7563]



⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️
 


     

No comments:

Post a Comment