Sunday, July 14, 2019

MISCELLANEOUS AHADEETH: 02

⭐️▶️CHOTE AAMAAL AUR BADHA AJAR O SAWAB◀️⭐️

1️⃣▶️⭐️QIYAM AUR ROZAY KAY BARABER SAWAB WALAY AMAL◀️⭐️


⭐️▶️NAMAZ-E-FAJR AUR ISHA KI ADAI SE SAARI RAATH QIYAM KA SAWAB:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jisne Isha ki Namaaz Jamath kay Saath padhi Uskay liye Adhi Raath kay Qiyam ka Sawab hai aur Jisne (Isha kay Saath) Fajr ki Namaaz bhi Jamaath kay Saath ada ki wo aisa hi hai Jaise usne Saari raath Allahtala kay Huzoor khaday hokar qiyam kiya.

⭐️[Sahih Buqhari: 1055]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️ZUHR KAY 4RAKAATH KI FAZILATH:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Zuhr Se phele 4 Rakaath padhna Saheri kay Waqt(Tahajud) Namaaz padhne kay baraber hai.

⭐️[Sunan Baihaqi: 1103]


♦️In 4rakaath ka ek Faida ye bhi hai kay Unkay padhne se Asmaan kay Darwazay khuljatay hai.

⭐️♦️Abu Ayub Ansari(r) se marvi hai.

⭐️[Ibn Majah: 1157]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️BA JAMATH NAMAAZ-E-TARAVI PADHNE KI FAZILATH:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Namaaz-e-Taraweeh Ba Jamath Padhne se Saari raath kay Qiyam kay Baraber Sawab milta hai.

⭐️[Abu Dawood: 1370]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️HAR RAATH 100
QURAN-E-KAREEM KAY AAYAATH KI TILAWATH KARNE KI FAZILATH:


📣1️⃣Muhammed Rasool (ï·º) Farmaay, Jo Shaqhs Ek Raath mein 100 Aayaath Padhlien Uskay liye Saari raath Qiyam (Ibadath) ka Sawab likha jaega.

⭐️[Musanad Ahmed: 103]


................................................

⭐️2️⃣AUR EK FAZILATH HASIL KI JASAKHTI HAI ISKAY SAATH AZAB-E-QABER SE CHUTKARA:


⭐️2️⃣Muhammed Rasool (ï·º) Farmaay, Quran-e-Kareem mein Ek Surath hai Jisme 30 Aayaath hai, Wo Apni tilawath karnay Walay ki Us waqt takh Sifarish karti rahegi Jabh takh Uski Baqshish nahi hojati.
“Sura Mulk: 67”

⭐️[Ibn Majah: 3786]


♦️Aur Agar Apme se Koi ye Tilawath raath ko na karsakhay toh Subha aur Zuhr ki Namaaz kay Darmiyaani Waqt mein karsakhtay hai In shaa allah Ajar Palingay.

...............................................

⭐️3️⃣Kyun Kay Umar Bin Khatab(r) kahetay hai kay Muhammed Rasool (ï·º) Farmaay, Jis Kisi ka Hazb (Wuran Ka Ek ya 7th wa hessa Jo Umuman ek raath kay Qiyam kay douran padhajata hai) Ya Uska kuch Hessa Soye Rahejanay ki Wajhese rahegaya ho aur Usne Ussay Namaaz-Fajr aur
Namaz-e-Zuhr kay Darmiyaan padhliya Uskay haq mein ye likha Jaega Jaise usne Usko Raath hi ko padha.

⭐️[Sahih Muslim: 1629]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️SURA BAQARA KAY AQHIR DO AAYAATH KI TILAWATH KI FAZILATH:

📣Abdullah bin Masood(r) kahetay hai kay Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Shaqhs Sura Baqara ki Aqhir 2 Aayaath (Raath ko) Padhlien toh Wo Uskay liye Kafi hai.
“Sura Baqara:02: 285-286”

⭐️[Sahih Buqhari: 5009]

♦️Imam Novi(rh) kahetay hai kay, Kaha gaya hai kay “kafi hai” ka Matlab Qiyam ul laiyl se ye 2Aayaath kifayath karjaegi aur ye bhi kaha gaya hai kay Afat se kafi hojaegi ye bhi Ehtemal hai kay Sub cheezou se kafi hojaegi.
Ye Do aayaath Nihayath asaan hai har Musalmaan ko chaheye kay itni badhi Fazilath hasil karne kay liye in 2 Aayaathou ko Hifz kare aur Sonay se phele inko Padhna Apna mamool(Adath) banalien.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️ACHAY AQLAAQ SE TAHAJJUD AUR ROZOU KA SAWAB:

Muhammed Rasool (ï·º) Farmaay, Yaqeenan Momin Apnay Aalaa Aqlaaq (Unda Adath) se Rozedar aur Tahajjud guzar ka(Ajar) Hasil karleta hai.

⭐️[Abu Dawood: 4780]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️BAIWA, YATEEM, KI KHAIR GOI KARNE PER TAHAJJUD, JIHAAD, AUR ROZEDAR JAISA SAWAB:

1️⃣📣Muhammed Rasool (ï·º) Farmaay, Baiwa aurtou aur Miskeenou kay liye koshish karnay wala Allahtala kay raste mein Jihaad karne wala ki tarha (Sawab ka haqdar) hai aur (Allahtala kay Samne) us Qiyam karnay walay ki tarha hai kay Jo na Waqfa karta hai na thakta hai aur Rozedar ki tarha hai jo kay Roza nahi chodhta.

⭐️[Sahih Muslim: 7108]


♦️Hum bhi Kisi Baiwa ki kidmath karkay is ajar o sawab kay mustahaiq bansakhtay hai, Baiwa ki Zaruriyath muhiya karna (pori karna) koi mushkil kaam nahi hai.
Hum Zara nazar Dodaien toh humay Apnay tishtedarou mein Baaz Khawateen milini Jo kay Baiwa ho unki kidmath karkay aur unki hajath o Zarurath ka saman muhiya karkay Hum Jihaad, Roze aur Raath kay Qiyam ka sawab hasil karsakhtay hai Iskay saath hum Sila rahemi kay ajar kay bhi Mustahaiq hojarngay
In shaa allah !.

..................................................


⭐️2️⃣Muhammed Rasool (ï·º) Farmaay, Jissay Ye Pasand ho kay Uskay Rizq mein Kushadgi (Wusat, Asaani, aur Batakath) ki jaey aur Uski mout ko dur kiya jaey (Yani uski Umar Darazi kardi jaey) toh Usko Chaheye kay
“Sila Rahemi kare” (Yani Rishtedaari Jodhay).

⭐️[Sahih Muslim: 6202]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️



⭐️▶️JUMAH KAY ZARIYE HAR QADAM PER SAAL BHAR KAY ROZOU AUR QIYAM-UL-LAIYL KA SAWAB:

⭐️1️⃣Muhammed Rasool (ï·º) Farmaay, Jisne Jumah kay Din Sar Dhoya aur Ghusl kiya aur (Masjid mein) Jaldi aya paidal chalkar aya, Sawari pe na aya, Imaam kay Khareeb hokar Baitha aur Gour se khutba Sunna aur Laghwiyath se bacha uskay liye har Qadam kay badlay Ek Saal Kay Rozay aur Qiyam ka Sawab hai.

⭐️[Tirmidi: 496]


♦️Zara Gour kare In Aamal ki Pabandi karkay Rk ek Qadam kay badlay Kitna Sawab Milega.
▪️Ek Raath kay Qiyam aur Rozay nahi rk Hafte ya ek maah ka nahi balkay Ek Saal Kay Qiyam o Soum(Roza) ka Sawab Milega.

................................................


⭐️2️⃣Muhammed Rasool (ï·º) Farmaay, O khair(Naiki) ki Baath Sikhne ya Sikhanay Kay liye Masjid gaya Usko Mukamil Hajj ka Sawab milega.

⭐️[Sahih Targeeb: 86]


♦️Jumah Kay Din Masjid mein Akay Jo Khutba Sunte hai Ussay kitni badhi aur ek Fazilath hasil hai dekheye.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️QIYAM UL LAIYL (TAHAJJUD/TARAWEEH) KI NIYATH KARKAY SONE PER QIYAM KA SAWAB:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Apnay Bistar per Niyyath ki kay Raath ko uthkar Tahajjud Padhega Usper Neend ka Galba ho hatta kay Fajr Hogai ho, Uskay liye Wohi Likha Jaega Jiski Usne niyyath ki hogi aur Neend uskay liye Allah Ajwajal ki tarf se Sadqa hogae.

⭐️[Sunan Nisai: 1788]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️RUBAT MEIN HESSA LENA EK MAAH KAY QIYAM AUR ROZOU SE ZIYADA SAWAB:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Ek Din aur Ek Raath Sarhad per pahera dena Ek Maah kay Rozay Rakhnay aur Qiyam karnay (Yani Tahajjud padhnay) se bahetar hai, aur (agar wo Pahera denay wala) Is Amal kay Douran Fout hogaya Iska wo amal Jo wo kar raha tha (Aienda bhi Qayamath takh) Jari rahega aur iskay liye Iska Rizq Jari kiya jaega aur wo Qaberou mein Fitnou (Yani Azmaishou) se mehfooz rahega.

⭐️[Sahih Muslim: 4703]


........................................................
♦️Rubat Musalmaanou kay Ilaqou ki Sarhadou per pahera Denay walay Jihaad ko kahetay hai- Is Amal kay Digar kai Fazaiyl Ahadees mein ae hai Jaise kay “Rubat” Karnay walay per Jahannum ki Aag ka haraam hona.
⭐️▶️Aur Ek Hadees mein bhi yu bhi aya hai kay Jo Log “Rubat” ki khateer Apnay Dairay Sarhadou per Lagatay hai, Un logou ko Qayamath kay din Farishtou kay Salaan kay saath Subse phele Jannath mein Daqil kiya Jaega.

⭐️[Musanad Ahmed: 6570]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️KHANAY KAY BADH SHUKAR ADA KARNE PER ROZOU KA SAWAB:

📣Abu Hurera(r) se Riwayath hai kay, Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Khana khakaar Shukar karne walay ka ajar Saber kay saath Rozay rakhnay Walay ki tarha hai.

⭐️[Ibn Majah: 1864]


⭐️▶️KHana Khanay kay Badh Hun ye Masnoos Dua padhkar Allahtala ka Shukar Ada karsakhtay hai:

“Alhamdulillahil Lazi Aatamana Haza Wa Razaqani Min Gairi Houleen mini Walaqhuwata”.


⭐️Meaning: Har Khism Ki Tareef Allahtala Kay liye hai Jisne mjhe ye Khana khilaya aur meri Kisi bhi koshish aur taqath kay bagair ye Khana ata kiya.

⭐️[Tirmidi: 3458]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️ROZEDAR KO IFTAR KARANAY PER ROZAY KA SAWAB:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jisne Kisi Rozedar ka Roza Iftar Karaya Ussay Us (rozaydar) kay baraber Sawab milega aur Rozedar kay Sawab mein koi Kami na ki Jaegi.

⭐️[Tirmidi: 807]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️JIHAAD FI SABILLILLAH KAY ZARIYE QIYAM O SOUM KA AJAR:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Allahtala Ki Raah mein Jihaad karnay walay Munahaid ki Misaal - Aur Ye toh Allahtala Hi janta hai kay Allah ki raah mein Jihaad kaun karta hai?
(Misaal): Is Rozedar ki tarha hai Ji Raath bhar kay Qiyam mein Masruf raheta hai- Aur Allahtala kay Raste mein Jihaad karnay walay kay liye Allahtala ne Zamanath Di hai kay Ussay Mout detay hi Jannath mein Daqil kardega ya ajar o Ganimath samait wo ussay salamati se zinda (Ghar) wapis loutaega.

⭐️[Sahih Buqhari: 2787]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️HAJJ AUR UMRA KAY BARABER SAWAB WALAY AMAL◀️⭐️


⭐️▶️NAMAAZ-E-ISHRAQ KAY ZARIYE SE HAJJ O UMRAH KA SAWAB:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jisne Fajr ki Namaaz Bajamath ada ki phir Allah kay zikar mein mashghul raha, yahan takh kay Suraj tulo hogaya- phir
2 Rakaath Namaaz ada ki toh Uskay liye Mukamil Hajj aur Umrah kay baraber Sawab hai, Mukamil Hajj aur Umra kay baraber Sawab hai (Ye Alfaz Nabi(Salla allaahu alaihi wa salaam) teen martaba Farmaay).

⭐️[Tirmidi: 586]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️BA JAMATH NAMAAZ KAY LIYE CHALKAR MASJID JANAY PER HAJJ AUR UMRA KA SAWAB:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Admi Ba Jamath Farz Namaaz kay liye (Masjid ki tarf) nikalta hai toh Usko Sawab Hajj ki tarha hai aur Ji Nafil Namaaz kay liye Nikalta hai toh Ussay Mukamil Unrah ka Ajar o Sawab milta hai.

⭐️[Sahih Jamia Sageerah Albani(r): 6154]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️MASJID-E-QUBA MEIN NAMAAZ PADHNE PER UMRAH KA SAWAB:

Muhammed Rasool (ï·º) Farmaay, Jo Shaqhs Apnay ghar mein Wadu kare , phir Masjid-e-Quba mein Akar Namaaz Padhay toh Ussay Umrah kay Baraber Sawab milta hai.

⭐️[Ibn Majah: 1477]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️MASJID MEIN DARS, ILMI MAJALEES YA KHUTBA JUMAH KAY ZARIYE HAJJ KA SAWAB:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Masjid ki tarf khair (Naiki) ki baath Sikhne ya Sikhanay kay liye nikalta hai toh ussay Mukamil Hajj kay Baraber Sawab milta hai.

⭐️[Sahih Targeeb: 86]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️NAMAAZ KAY BADH ZIKAR AUR AZKAAR KAY ZARIYE HAJJ AUR UMRA AUR JIHAAD O SADQA KA SAWAB:
📣Muhammed Rasool (ﷺ) , kay Paas Sahaba ae aur kahenay lagay kay Ya rasool Allah Maal Walay toh Buland Muqam aur Daemi Aish legae kyun kay wo Humari hi tarha Namaaz Padhtay hai aur Roza rakhte hai- ar unkay liye maal ki Wajhese Fazilath hai, Maal se Hajj karte hai, Umra karte hai, Jihaad karte hai aur Sadqa detay hai- toh Nabi(ﷺ) Farmaay, kay kiya mein tumhay aisi baath na batlou Jiski Wajhese tum phele walou kay Darja pasakho
(yani Jo maal Kay Zariye se Hajj, Umra aur Jihaad Jaisi naikiya karre unkay baraber) aur koi tumhe tumhare badh na pasakhay aur tum Apnay Bech Subse Achay Banjaougay Sivai Us Shaqhs kay Jo Aisa amal kare (Wo tumhare baraber hosakhega) wo ye hai kay Har Namaaz Kay badh:
▶️SubhanAllah 33 Martaba
▶️Alhamdulillah 33 Martaba
▶️Allahuakbar 33 Martaba.

⭐️[Sahih Buqhari: 843]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️RAMZAAN MEIN UMRA KARNE PER HAJJ KA SAWAB:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Ramzaan Ka Umra Hajj kay Baraber hai.

⭐️[Sahih Buqhari: 1863]


...............................................

⭐️Muhammed Rasool ï·º Farmaay Ramzaan Mein Umra Karna Mere Saath Hajj karnay kay baraber hai.

⭐️[Sahih Buqhari: 1863]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️JIHAAD FI SABILLILLAH KAY BARABER SAWAB WALAY AMAL◀️⭐️


⭐️▶️YATEEMOU AUR MISKEENOU KAY LIYE DODH DHOP KARNE PER JIHAAD KA SAWAB:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Baiwa Aurath aur amiskeenou kay liye Koshish Karnay wala Allahtala kay Raste mein Jihaad Karnay walay ki tarha (Sawab ka Haqdar) hai aur wo Kay Jo na Waqfa Karta hai na Thakta hai aur Rozedar ki tarha hai kay Jo Roza nahi Chodhta.

⭐️[Sahih Muslim: 7107]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️NAMAAZ WAQT PER ADA KARNE PER JIHAAD SE ZIYADA AJAR O SAWAB:

📣Abdullah bin Masood(r) Farmaatay hai kay Muhammed Rasool (ﷺ) Se Suwaal kiya gaya kay? Allahtala Kay yahan Subse Ziyada Mehboob amal (Ziyada ajar o sawab wala amal m) Kaunsa hai? toh
📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Namaaz Uskay Waqt per ada karna, Unho ne Pucha? Uskay Badh?
toh Nabi(ï·º) ne Jawab diye “Walidain se Acha Saluk Karna” pucha gaya Uskay badh Kaunsa?
toh Nabi(ï·º) Farmaay,
“Jihaad Fi Sabillillah”.

⭐️[Sahih Buqhari: 527]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️ASHRA ZILHJJA MEIN NAIK AAMAAL PER JIHAAD SE ZIYADA AJAR:

📣Muhammed Rasool (ï·º) Farmaay, Koi Deen Aisa nahi Jinme Kiya hua Amal Allahtala ko In Dinou(Mein kiye huay kisi Amal) se Ziyada Mehboob ho “Yani Zilhajja kay phelay 10 Dinou mein- Sahaba Ikram ne arz kiya “Ae Allah kay Rasool Allahtala kay raste mein Jihaad bhi nahi? toh Nabi(ï·º) Farmaay Jihaad Fi Sabillillah bi nahi lekin Jo Shaqhs Apne Maal aur Jaan lekar (Jihaad mein) nikla aur kuch bhi wapis na laya (Yani Allahtala kay raste mein wo Shaheed hojaey toh Ajar Ussay bhi Ziyada hai.

⭐️[Sahih Buqhari: 969]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️SADQA KA MAAL IQHATTA KARNAY PAR JIHAAD KA SAWAB:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Sachay Dil se Allahtala ki Raza kay liye Sadqath ka Maal Ikhatta karnay walay Shaqhs ka ajar Mujahid fi sabillillah ki tarha hai, Hatta kay wo Apnay Ahel (yani ghar) ko lout ae.

⭐️[Ibn Majah: 1809]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️WALIDAIN AUR OULAD KAY LIYE DODH DHOP KARNAY PER JIHAAD KA SAWAB:

📣Muhammed Rasool (ï·º) kay paas se ek shaqhs guzra toh Sahaba Ikram(r) ne Uska Jassa aur pharti dekhi (Jo unhay Achi lagi) toh wo Kahenay lagay Ae Allah kay Rasool agar ye shaqhs Allahtala kay Raste mein Jihaad mein hota toh? Nabi(ï·º) Farmaanay lagay Kay “Agar ye Apnay Chote Chote Bachou kay (Rizq kay liye) Koshish kararaha hai toh ye Allahtala kay raste mein hai, aur agar Ye Apnay Budhay Walidain kay liye Koshish kararaha hai takay Afal aur paak Damani iqhtiyar karsakhay toh ye Allahtala kay raste mein hai, aur agar Saari Koshish Riya kaari aur Faqar kay liye hai toh phir ye Shaitaan kay raste mein hai.

⭐️[Sahih Targeeb: 1692]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️HAJJ AUR UMRA KAY ZARIYE SE JIHAAD KA AJAR:

Ek Din Ek Admi Muhammed(ï·º) kay paas aya aur kahenay laga: Mein Allahtala kay Raste mein Jihaad karna Chahata hoon toh Nabi(ï·º) Farmaay mein Tujhe aisa Jihaad na batou Jisme koi taklif nahi? Mein ne Kaha kyun bahi Ya Rasool Allah, Nabi(ï·º) Farmaay Wo Hajj Baitullah hai.

⭐️[Tibraani: 20285]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️NAFSAANI KHAAHISHATH PER QABO PAKAR JIHAAD KA AJAR:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Afzal Jihaad ye hai kay Insaani Apni Nafsaani khaahishath ko Apnay Upar Hawi na honay dien.

⭐️[Sahih Jamia Sageerah: 1099]


♦️Shaitaani Hatkandou se Apnay Nafs ko Bachakar rakhna Bohath Mushkil kaam hai aur ye kaam karnay wala Yaqeenan Allahtala ka Wali hai Iski Bohath Fazilath hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️FITNE KAY ZAMANAY MEIN SUNNATH SE TAMSIK PER SHAHADATH KA AJAR:

Abdullah bin Masood(r) Se Riwayath hai kay Beshak tumhare badh Saber Ka Zamana Aega, Isme Meri Sunnathko Mazboothi Se Pakadnay walay ko tumse 50 Shaheedou ka Sawab milega, toh Umar(r) ne pucha Ae Allah kay Rasool(ï·º) (Ye 50 Shaheed) Unme se ya Hum mein se, Nabi(ï·º) Farmaay tum mein se.

⭐️[Sahih Jamia Sageerah Albani: 2232]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️ZALIM HUKOOMRAAN KAY SAMNE KALMA HAQ KAHENA PER JIHAAD KA AJAR:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Allahtala Kay yahan Subse Pasandida Jihaad Zalim Hukumraan kay Samnay Haq baath kahena hai.

⭐️[Ibn Majah: 4011]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


▶️⭐️MASJID-E-NABVI MEIN KHAIR KI BAATH SIKHNE YA SIKHANE PER JIHAAD KA AJAR:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Shaqhs Meri Is Masjid Mein Sirf Khair(Naiki) Sikhne Ya Sikhanay kay liye Ae toh wo Allahtala kay raste mein Jihaad Karne Walay kay Darjay mein hai, aur Uskay Elawa Kisi aur Maqsad kay liye ae toh Wo Us Shaqhs Kay Darjay mein hai Jiski Nazar kisi aur kay Maal pe ho.

⭐️[Ibn Majah: 232]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️EK NAMAAZ KAY BADH DOSRI NAMAAZ KAY INTEZAR PER JIHAAD KA AJAR:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, kiya mein tumhe aisi cheez na batlou Jiskay Zariye Allahtala Gunaah Mitadeta hai aur Darjath Buland Farmaata hai ? Sahaba Ikram(r) ne kaha kyun nahi ya rasool Allah(ﷺ) Zaroor bataeye, toh Nabi(ﷺ) Farmaay, Napasand hotay huay bhi Achi tarha Wadu karna, Masjid ki tarf Ziyada Qadm Chalkar jana aur Ek Namaaz kay badh Dosri Namaaz ka intezar karna yehi Rubat (Sarhad pahere Daari wala Jihaad ) hai yehi Rubat hai.

⭐️[Sahih Muslim: 486]


♦️Napasandgi kay badh Wadu karna yani Sardi kay mausum mein Subha Fajr kay waqt uthkar wado karna Shaq guzarta hai ya Bemari kay ouqat mein taklif mein honay kay bawajud wadu karna.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️GAZI KO SAMAN JIHAAD YA SHAHEED KAY GHAR KI KAFALATH KARNE PER JIHAAD KA AJAR:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jis Shaqhs ne Allahtala kay raste mein Jung karnay walay ko Samani Jihaad muhiya kiya toh yaqeenan Usne bhi Jihaad kiya aur Jisne Gazi kay ghar bar ki khabar rakhi usne bhi Jihaad ka Sawab kamaya.

⭐️[Sahih Muslim: 4669]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

No comments:

Post a Comment