Sunday, July 14, 2019

MISCELLANEOUS AHADEETH: 01

  1. ▶️⭐️Ilm Ki Fazilath Aur Ehmiyath⭐️◀️


⭐️ILM KI FAZILATH:

📣Muhammed(Salla Allaahu alaikhi Wa Salaam) Farmaay, Abed per Aalim ki Fazilath Aisi hai Jaise Meri Fazilath tumhare ek Adna Admi per, Aur Nabi(Salla Allaahu alaikhi wa salaam) FarmaayBeshak Allahtala Uskay Farishtay aur Asmaan wo Zameen ki Maqhluq Hatta kay Chuntiya apni Bil Mien Aur Machliya takh Pani mein Logou ko Bhalai Sikhanay walou per (Apnay Apnay Andaz mein) Rahemath Bhejtay hai aur Duaain Karte hai.

⭐️[Tirmidi: 2685]

📚♦️Aalim Se Murad Quran o Ahadees ka Aalim Hai Jo Faraiz o Sunnath Ki pabandi kay saath taleem o talam mein Masroof Raheta hai.

🔹Abed se Murad wo Shaqhs hai jo Apna Ziyada Waqt Ibadath-e-ilahi mein guzarta hai. Iskay Nawafil ibadath aur Kasrath se Allahtala kay Zikar ka Faida Chukay Uski Apni Zaath takh mahdood raheta hai.

🔸Jabhkay Aalim kay ilm ka Faida dosre logou takh bhi pohanchta hai isiliye Abed per Aalim Bohath Ziyada Fazilath rakhta hai.

🔵Deen ka Ilm Phelanay walou kay liye Farishtay Maghfirath ki Duaain karte hai, Allahtala Rahemath bhejtay hai, Aur Dosri Maqhluq uskay haq mein Khair ki Duaain karti haiIsme Aalim Ki Fazilath aur Ulema ki touqeer wo takreem ka Bayan hai.


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

2️⃣⭐️ILM KI FAZILATH:


📣Muhammed(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, Jo Shaqhs aise raste per Chalay Jisme Wo (Deen kay) Ilm Talaash kare toh Allahtala Uskay liye Jannath kay raste Asaan kardetay hai aur Farishtay Talib-e-Ilm kay liye Uskay Is Amal se Khush Hokar Apnay par rakhdetay hai, aur Aalim kay liye Asmaan o Zameen ki Har maqhluq Hatta kay Machliya pani mein Maghfirath ki Dua karti hai aur Abed Ki Fazilath Aalim per aisi hai Jaise Chand ko Saray Sitarou per Fazilath hasil hai aur Ulema Ambiya kay Warees hai.
Aur Ambiya Apnay Wirsa mein Dinar aur Dirham nahi chodha Balkay woto (Deen ka) ilm hi Wirse mein Chodhkar jatay hai Chunacha Jisne Wo Ilm Hasil kiya Usne Sharf o Fazal ka Badha hessa hasil karliya.

⭐️[Abu Dawood: 3634]

♦️Farishtou Kay par Rakhdenay ka Matlab hai kay Wo Apnay parou ko Band karkay baithjatay hai Jaise wo Ilm Wo Zikar ki Mehfilou ko gherat hai wo.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


▶️⭐️ILM PHELANAY KI FAZILATH:


📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, Allahtala Us Admi Ko Taro Taza Rakhay Jo Humse koi baath sunnay phir Ussay usi tarha dosrou takh pohanchadien jis tarha usne Suna, usiliye kay Bohath se aise log jinko baath pohanchai jaey.

⭐️[Abu Dawood: 3652; TIrmidi: 2657]

♦️Phela Sunnay Walay se Ziyada Yadh rakhnay walay hotay hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️ILM HASIL KARNA NOHAYATH ZAROORI HAI:


📣Muhammed rasool Allah(Salla Allaahu alaihi wa Salaam) Farmaay, Duniya Maloon hai aur Jo kuch isme hai wo bhi Maloon hai Sivai Allahtala kay Zikar aur Iskay mutaliqath kay Aalim ya muta’Aalim kay.

⭐️[Tirmidi: 2322]

♦️Yani Duniya ka Maal maloon hai Jo insaan ko Allahtala ki tadh se gafil kardien, ye uskay liye maloon hai Jisko Duniya mein Allahtala Yadh hi na ae.

🔹📚Deen Ka ilm Hasil karna Nihayath zaroori hai takay insaan ko ilm hokay Fulah Baath ya Fulah Kaam Allahtala ki Raza ka hai aur Kaunsi baath kaunsa kaam Allahtala ki narazgi ka hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️ILM KA SAWAB O AJAR MOUT KAY BADH BAQHI RAHEGA:


📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Jabh Insaan Marjata hai to Uska Amal ka Silsila Khatam hojata hai mahar 3 Cheezien ka ussay Sawab milta Raheta hai.
1️⃣Sadqa-e-Jariya
2️⃣Ilm Jissay Faida Uthaya Jaey.
3️⃣Naik oulad Jo uskay liye Duaain Khair karti hai.

⭐️[Sahih Muslim: 4005]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


▶️⭐️QURAN O AHADEES KA ILM HASIL KARE AUR TABLIGH KARE:


📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, Meri tarf se logou ko (Ehekaam-e-Ilahai) pohanchado agar chay Ek Aayaath hi ho- Inse Bani Israeel ka bayan karo usme koi Harj nahi aur jo mjhper Jaan bujhkar Jhoot Bandhay wo Apna thekana Jahannum mein banaliya.

⭐️[Sahih Al Buqhari: 3641]

♦️Isme Quran o Ahadees ka ilm Hasil karnay aur agay phelanay ki taqleed haiJisko Thoda ya Ziyada Jitna bhi ilm ho wo iski Tabligh zaroor kare aur logou takh Ehkaam-e-Ilahi Zaroor pohanchaey.

🔹Ye Na Samjha Jary kay tabligh O Dawath toh Sirf Ulema ya Sandyafta(Certified) logou ka hi kaam hai Balkay Har Shaqhs Apnay ilm ki Hadh takh iska Muklaf hai Hatta kay kisi ko Kisi Ek Aayaath hi ka ilm ho, yani kisi Ek Huqm-e-Ilahi se Agaah hai wo toh Uski zemedari hai kay logou ko bhi agaah kare.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


2. ▶️⭐️HUSN AQLAAQ⭐️◀️



▶️⭐️HUSN AQLAAQ SE HI NAIKI HAI:


📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) se Naiki Aur Gunaah kay Mutaliq Suwaal gaya toh Nabi(Salla Allaahu alaihi wa Salaam) Fatmaay, Naiki toh Achay Aqlaaq hai aur Gunaah wo hai Jo tere Dil mein Khatkay aur tujhe ye Nagawar ho kay log Ussay Baqabar ho(yani log ko Maloom na hojaey).

⭐️[Tirmidi: 2389]

♦️Is Hadees mein Ek Ahem Usool ye Bayan kiya gaya hai kay Husn Aqlaaq Naiki aur Khair hai usliye kay Ba Aqlaaq admi Mahsaan aur Afa’al Iqhtiyar karta hai aur Buri Khaslatou se Ijtenab(parhez) karta hai.

🔹Har Buray Kaam per Insaan ka Zameer ussay Malamath karta hai aur Dosre log Malamath kare isse bhi wo Khouf mehsoos karta hai- lekin ye Sirf Us waqt takh hi hai Jabh takh Insaan ki Fitrath Masaq aur Dil Murda na ho ▪️kyun kay Jabh Dil Murda hojaey toh Koi badhay se badha Gunaah per bhi Dil mein koi Khatak paida nahi hoti hai na logou ka koi khouf hi ussay mehsoos hota hai.


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️HUSN AQLAAQ QAYAMATH KAY DIN MEEZAN MEIN SUBSE BHARI CHEEZ HOGI:


📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, Qayamath Walay Din Momin Banday ki Meezan Mein Husn Aqlaaq se Ziyada bhari Cheez koi nahi hogi - aur Yaqeenan Allahtala Badzuban aur Behudgi karnay walay ko Napasand karta hai.

⭐️[Tirmidi: 2002]

♦️Husn Aqlaaq Qayamath kay Din Subse Ziyada Nafa Baqsh Amal hoga kyun kay ye Sub Amalou Se Ziyada Bhari hoga lekin Sirf Usi Shaqhs kay liye Jo Momin hoga, Gair mamnoon kay liye toh Amal ka Wazan hi nahi kiya jaega(Kafirou kay Liye Tarazo hi Qhayam nahi ki jaegi).

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️HUSN AQLAAQ JANNATH MEIN LEJANAY WALA AMAL HAI:


📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) se Suwaal kiya gaya kay, Kaunsa Amal Insaanou ko Ziyada Jannath mein janay ka Sabab Bannega?
Nabi(Salla Allaahu alaihi wa Salaam) Jawab mein Farmaay kay, Allahtala Ka Dar aur Husn Aqlaaq.
Aur Pucha gaya kay Kaunsi Cheez Insaan ko Ziyada Jahannum mein Janay ka Sabab hoga?
Toh Aap(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, Mu aur Sharmgaah.

⭐️[Tirmidhi: 2004]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️KHUSH/HUSN AQLAAQI KAY DARJATH:


📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, Momin Apni Khush Aqlaaqi se Rozedar aur Raath ko Qiyam karnay walay ka Darja paleta hai.

⭐️[Abu Dawood: 4780]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️KHUSH AQLAAQ LOG KAY LIYE JANNATH MEIN EK GHAR KI BASHARATH:


📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, mein Us Shaqhs kay liye Jannath kay andar Ek Ghar ka Zamin hoon Jo ladhai jhagda tark kardien - agar chay wo Haq per ho -
Aur Jannath kay Beachou beach Ek Ghar us shaqhs kay liye jo Jhooth bolna chodhdien agarchay wo Hasi Mazaq mein hi ho -
Aur Jannath ki Bulandi mein ek Ghar ka us shaqhs kay liye jo Khush khalqh (Achay Aqlaaq wala) ho.

⭐️[Abu Dawood: 4782]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️KAMIL IMAAN WALAY WO LOG HAI JO ACHAY AQLAAQ WALAY HO:

📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, Subse Ziyada Kamil Imaan walay wo log hai Jo Musalmaanou mein Subse Ziyada Achay Aqlaaq walay hai - aur Tumme Sub se Bahetar wo log hai Jo Aqlaaq mein apni Aurtou kay haq mein Subse bahetar hai.

⭐️[Tirmidi: 1162]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


▶️⭐️HUSN AQLAAQ KI FAZILATH:


📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, Mere Nazdik tumme se (Duniya mein) Subse Ziyada Khareeb Baithnay Walay wolog hai Jo tum mein Bahetreen Aqlaaq walay hai.
Aur Tum mein Duniya mein Subse Ziyada Qabeel-e-Nafrath aur Qayamath kay din mjhse dur baithnay walay Wolog hai Jo Batooni, Bila Etiyath bolnay walay, Zuban Daraz aur Takabbur karnay walay.

⭐️[Tirmidi: 2018]

♦️Batooni aur taklif se Guftagu karnay wala Jiski Asal ‘Fahaqoon’ hai Jiskay Mainay bharnay kay hai, ye wo shaqhs hai jo Baath kartay huay mu bharleta chuda karleta hai ar Dosrou per apni Burai aur Dosrou per Apni Badhai aur bartari Jatlanay kay liye Mutta kabeerana Andaz se ajib wo gareeb batien karta hai.

🔹Imaam Tirmidhi(rahamatullahi alai) ne Husn Aqlaaq ki Tafseer mein Abdullah bin mubarak(rahamatullahi alai) ka Qawl naql kiya hai kay wo Khandroi, Saqawath se kaam lena aur kisi ko takleef na pohanchana hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

3. ▶️⭐️SALAAM KARNAY KI FAZILATH⭐️◀️


▶️⭐️SALAAM KARNA SUBSE BAHETAR KHASLATH HAI:

📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) se Ek Shaqhs ne pucha Ya Rasool Allah Islam ki Kaunsi Baath Ziyada bahetar hai? Nabi(Salla Allaahu alaihi wa salaam) Farmaay, Bhukay ko khana khilaou aur Har Shaqhs ko Salaam Karo Chahay tum ussay Pahechantay ho ya nahi.

⭐️[Sahih Al Buqhari: 12]

♦️Masakeen, gurba wagerah ko khana khilana Acha hai lekin isme Zarurath mandou ki Zarurath pori kardena bhi Shamil hai.
Isi Tarha har ek ko Jissay jantay ho aur jissay nahi jantay ho unko bhi Salaam karna bhi bohath Achi Siffath hai.

🔹Ye Dono Kaam aise hai kay inse mohabbath paida hoti hai aur nafrath aur kadwahath dur hoti hai lekin yadh rakhay kay Salaam “As salaamu alaikum “ hi hai. Namaste ya Adab ya Shaba khair ya Good morning wagerah wagerah kahena nahi hai ye sub galath hai, Inse na sirf Salaam nahi hota balkay Gunaah hota hai kyun kay ye Dosrou ki (Gair musalmaanou ki naql hai) aur Allahtala kay Huqoom kay khilaf amal mein se hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️SALAAM KA PHELANA JANNATH MEIN LEJANAY WALA AMAL HAI:


📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, Tum Jannath mein Nahi jaougay yahan takh kay imaan laou aur tum Momin nahi hongay yahan takh kay ek Dosray se Mohabbath karo.
phir Farmaaya, kiya mein tumhay aisi cheez na batlaou Jabh tum Ussay karnay lago toh apus mein mohabbath karnay lagogay (Wo ye hai kay) tum Apus mein Salaam ko phelaou aur Salaam ko Aam karo.

⭐️[Tirmidi: 2688; Abu Dawood: 5193]

♦️Is Hadees se ye baath Wazay hai kay Jannath mein Janay kay liye Imaan buniyad hai aur is buniyad ki takmil kay liye Musalmaanou kay darmiyaan mohabbath ko aur mohabbath kay liye Salaam ka phelana Zaroori Qarar diya gaya hai.

🔹Salaam Salaamati se hai Jiska Matlab ye hai kay Salaam karnay wala Apnay musalmaan bhai ko ek toh Ye Dua dera hai kay Allahtala tujhe Apni Hifz o Aman mein rakhay aur dosra ussay ye bhi yaqeen dilaraha hai kay tu mere shar se mehfooz rahega.

🔹Jabh aap Kisi shaqhs kay salaam kahay As salaamu alaikum toh iska matlab ye hua kay Apne uskay liye Dua ki,
Allhatala tujhe Salaamaath rakhay har Afat se Har Beemaari se, Salaamath rakhay Junoon(Pagal pan) se, Salaamath rakhay logou ki Burai se, Salaamath rakhay Gunaahou se, Salaamath rakhay Dil Ki bemariyou se, Salaamath rakahay Jahannum se.
▪️Toh Salaam ka ye lafz aam hai iska matlab bohath kushada hai ye Dua hai Har musalmaan kay liye Har Buri Afat se Salaamati kay liye.

⭐️[Sharaah Riyaz us Saliheen:3/119]

♦️⭐️Humay Ziyada Se Ziyada Salaam ko Aam karna chaheye Iska matlab (Maine) Jannay kay badh Sahih niyyath kay Saath salamati ki garz se Salaam karna chaheye na kay Adath ki tour per.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️As salaamu alaikum = 10 Naikiya,

▪️As salaamu alaikum wa rahamatullah = 20 Naikiya,
▪️As salaamu alaikum wa rahamatullahi wabarakatuhu = 30 Naikiya.

📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) ki Qidmath mein Ek Shaqhs Hazir hua aur usne kaha!
As salaamu alaikum aur Wo baithgaya toh Aap(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Salaam ka Jawab diye aur Farmaay, iskay liye 10 naikiya hai.
Aur Ek Admi aya aur Usne Kaha As salaamu alaikum wa rahamatullah toh Phir Aap(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) ne uskay Bhi Salaam ka Jawab Diya Aur Farmaay, iskay liye 20 Naikiya hai,
Aur Ek Shaqhs Aya aur Usne Kaha “As salaamu alaikum wa rahamatullahi wabarakatuhu” toh Aap(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) ne Uskay bhi Salaam ka Jawab diya aur Farmaaya kay iskay liye 30 Naikiya hai.

⭐️[Abu Dawood: 5195; Tirmidi: 2689]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️SALAAM KARNE MEIN PAHEL KARNE KI FAZILATH:


📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, Beshak Logou mein Allahtala kay Subse Nazdik Wo hai Jo Salaam mein Pahel kare.

⭐️[Abu Dawood: 5197]


...........................................................

📣📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) se Ek Shaqhs se Suwaal kiya, kay Jabh 2 Shaqhs Apus mein milay aur Unme phele Kaun Salaam kare? Nabi(Salla Allaahu alaihi wa Salaam) Farmaay wo Jo Allahtala kay Ziyada Khareeb hai.

⭐️[Tirmidi: 2694]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️ZIYADA SE ZIYADA SALAAM KARNAY KA HUQOOM:

📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, Jabh tum me se koi Shaqhs Apnay Bhai se milay toh Ussay Salaam kahay, agar Unkay Unkay Darmiyaan Koi Daraqath ya Dewar ya pathar Haryl hojaey aur phir Ussay milay toh Ussay Chaheye kay Phir Ussay Salaam kahay.

⭐️[Abu Dawood: 5200]

♦️Salaam Karna Naiki Hai aur Naiki Kamanay ka koi Mouqa Zayan Nahi karna Chaheye, Bar Bar Naiki ka Mouqa milta hai toh Ussay Faida uthana chaheye.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️SALAAM KA KARNA BAYES-E-BARAKATH HAI:

📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, Jabh tum Apnay ghar walou kay paas jaou toh Salaam karo ye tumhare liye aur tumhare ghar walou kay liye Bayes-e-Barakath hoga.

⭐️[Al Adab Al Mufrad: 1095]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️MAJLIS MEIN AE WAQT AUR JATAY WAQT DONO WAQTOU MEIN SALAAM ZAROOR KARE:


📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, Jabh tum mein se koi Shaqhs majlis mein Pohanchay toh Salaam kare Aur Jabh Uthkar janay lagou toh. tabhi Salaam kare isiliye kay Pehela Salaam Dosray se Ziyada Faiyq nahi hai.

⭐️[Abu Dawood: 5208]

♦️Matlab ye hai kay Dono Waqt mein Salaam kiye Jaey Dono Salaam Zaroori hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

4. ⭐️▶️QURAN-E-KAREEM KI TILAWATH KI FAZILATH◀️⭐️


⭐️▶️QURAN-E-KAREEM KI TILAWATH KI FAZILATH:

📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, Quran-e-Kareem (Kasrath se) Padha karo Usliye kay Qayamath Walay din ye Apnay(Padhnay Walay) Saathiyou kay liye Sifarish Bankar aegi.

⭐️[Sahih Muslim: 1757]

♦️Isme Quran-e-Kareem ki Tilawath aur Isper Amal karnay ki Fazilath Ka bayan hai, kyun kay Amal kay Bagair Mahez Khush Alhani se Padhlenay ki Allahtala kay yahan koi Kheemath nahi hogi.
Sifarish Ka matlab hai kay Allahtala Quran-e-majeed ko Gawaahi kay tour per Bulaega aur Apnay Padhnay Walay (Qari) aur Amal karnay Walay (Aamil) kay liye Maghfirath ka Allahtala Se Suwaal karega Jissay Allahtala Qubool Farmaaega.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️QURAN-E-KAREEM KI WAJHESE KUCH LOGOU KO SAFARAZI AUR KUCH LOGOU KO ZILATH MILEGI:


📣📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, kay Allahtala Is kitaab (Quran-e-Majeed) ki Wajhese Bohath se Logou ko Sarfaraz Farmaaega aur Isi Wajhese Dosrou Ko Zalil Karega.

⭐️[Ibn Majah: 223]

♦️Sarfaraz(Kamyaab) Wohi hoga jo Quran-e-Paak Kay Ehekamath per Amal Karingay aur Iski Haram (Manna) ki hui Cheezou se rukhjaengay aur Jo log Amal nahi karingay, Jo Allahtala ne Huqoom diya hai aur ussay parhez nahi karingay Jo Allahtala ne Manna kiya hai Haram Qarar diya hai wolog BilAqhir Zillath wo Ruswai Uthaengay.

🔹Isi Wajhese Musalmaanou ko Allahtala ne Ibtedai Chand Sadiyou mein Har jaga Sar khuroo kiya aur Unhay Sarfaraziya ata kiye kyun kay Wo Quran kay Hamilbaur Aamil the, Isper Amal ki Barakath se Wo Deen wo Duniya ki Sadatou se Bahere hogai.
Lekin Jabhse Musalmaanou ne Quran-e-Kareem kay Ehekam wo Khawaneen per Amal karnay ko Apni Zindagi se khareej kardiya tabhi se Unper Zilath wo Ruswai ka Azab Musalath hai.
Kash! Musalmaan dobara Quran-e-Kareem se Apna Rishta Joday takay Uski Azmath Rafta Bahal Hosakhay.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️QURAN-E-KAREEM KA EK HURF KI TILAWATH KAY BADLAY 10 NAIKIYOU KA SAWAB HAI:


📣Ibn Masood(ra) se Riwayath hai kay Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, Jis Shaqhs ne Allahtala ki Kitaab (Quran-e-Majeed) ka Ek Hurf padha uskay liye Ek Naiki hai aur Ek Naiki 10 naikiyou kay barabar hai.
Mein nahi kaheta kay Aleef Laam Meem ek Hurf hai Balkay Aleef Ek hurf hai aur Laam Ek Hurf hai aur meem Ek Hurf hai yani ye 3Hurf hai aur (10 Zarb 3 10x3 yani 30 Naikiya padhnay Walay ko Milengay.

⭐️[Tirmidi: 2910]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️JITNA QURAN-E-KAREEM HIFZ HOGA UTNAY JANNATH MEIN DARJATH BULAND HOGE:


📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, (Qayamath kay Din) (Quran Padhnay walay ko aur Ussay Hifz Karnay Walay ko) Unse Kaha Jaega kay Quran Padhta Ja aur Darja Chadhata ja (Badhata ja).
Aur Isi tarha Ahista Ahista tilawath kar Jaise tu Duniya mein tarteel se padhta tha Chunacha tera muqam wahan hoga Jahan teri tilawath ki Aqhir Aayaath hogi.

⭐️[Tirmidi: 2914]

♦️Isme Quran-e-Kareem kay Hafiz aur Kasrath se Tilawath aur iskay Ehekamath per Amal Karne Walou ki Fazilath ka Zikar hai.
▪️Chadhne se Murad Jannath kay Darjath hai.
▪️Quran Ki Tilawath aur Hifz karnay ki targeeb hai takay Jannath mein Hifz Quran ki BaDoulath Ziyada se Ziyada Buland darjath hasil kare.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

5. ⭐️▶️ZUBAN KI HIFAZATH KARNE KA BAYAN◀️⭐️


⭐️▶️ZUBAN KI HIFAZATH KARNE NIHAYATH ZAROORI HAI:

📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, Admi Allahtala ki Raza mandi ki Baath karta hai Isko Guman bhi nahi hota kay ye Kahan takh pohanchegi- Allahtala iski Wajhese Uskay liye Qayamath kay din takh Apni Razamandi Likhdeta hai, aur Admi (Baaz Dafa) Allahtala ki Narazgi ka Koi Bol Boldeta hai, Ussay Guman bhi nahi hota kay ye Kahan takh pohanchega, Allahtala iski Wajhese Iskay liye Apni Mulaqath takh kay Din Apni Narazgi Likhedeta hai.

⭐️[Tirmidi: 2319]

♦️Baaz Dafa Admi Zuban se Aisa kalma khair ada karta hai Jissay kisi ka Dil Khush hojata hai ya uski Islaah hojati hai ya Zulm o Masiyath kay irade se Baaz Ajata hai toh Yaqeenan ye Kalma, Allahtala kay yahan badhe Ajar o Sawab ka Bayes hai- ▪️aur usi tarha Baaz Dafa insaan ki Zuban se aisa kalma Zuban se Nikaldeta hai kay Usko uski Tabha kaari wo Hashar Samani ka Andaza nahi hota lekin uska Kalma kisi kay Fil Azaru ya Gumraahi ya Zulm o Masiyath ka Ba’as banta hai toh Allahtala Ussay Naraz hojatay hai.
Matlab ye hua kay Zuban ki Hifazath Uska Sahih Istemal Nihayath Zaroori hai warna Insaan ko Tabhai kay Gaday mein daldegi.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️ALLAHTALA KA ZIKAR KASRATH SE KARO:

📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, Allahtala kay Zikar kay Elawa Batien Ziyada na karo isiliye kay Allahtala kay Zikar kay Elawa Digar Ziyada batien Dil ki Saqhti hai- Aur Logou mein Allahtala se Subse Ziyada Dur Saqth Dil ( wala admi) hai.

⭐️[ Tirmidi : 2411]


♦️Dil kay Saqth honay ka matlab hai kay Halath wo Waqhiyath se Ibrath wo mo’azzath na pakday aur Wa’az o Nasiyath se koi asr Qubool na kare.
Allah kay Zikar kay Bajaey Fizul batou se qulub Insaani (Yani Insaan ka Dil) Saqth hojata hai Jo nihayath Bad baqhti ki Alamath hai.
Isiliye Insaan ko Allahtala ka Zikar hi Kasrath se karna chaheye.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️ZUBAN AUR SHARMGAAH KI HIFAZTH SE JANNATH:

📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, Allahtala Jisko us Zuban kay Shar se Bachaliya aur Us Sharmgaah kay Shar se Bachaliya ho toh Wo Jannath mein Jaega.

⭐️[Tirmidi: 2409]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️NAJAATH KIS TARHA MUMKEEN HAI:

📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Se Pucha Gaya kay, Ya Rasool Allah(Salla allaahu alaihi wa Salaam) Najath Kis Tarha mumkeen hai? Nabi(Salla allaahu alaihi wa Salaam) Farmaay, Apni Zuban Ko Qabo Mein rakho, tumhara ghar tumhe Apnay Ander Samalien (Tumhara Farigh Waqt Ghar kay ander hi Guzre) aur Apni Galtiyou per Khoob ro.

⭐️[Tirmidi: 2406]


♦️Logou Se Ziyada Mil jul aur Unse Gupchup(Gossip) mein Insaan kay Deen ko bohath Qatra layeq raheta hai isiliye Ziyada iqhtilath kay bajaey Ghar mein Allahtala ki Ataat aur Zikar o Fikar aur Tilawath Wagerah mein Apnay Farigh Ouqath (Free time) Sarf karna Bohath Bahetar hai.
Isi Tarha Tanhaiyou mein Apni Khataou aur Laghzashou per Rona bhi Allahtala ko Bohath Pasandida hai.
Is Hadees mein Zuban ki Hifazath kay Elawa Un Do Batou ki bhi Takeed hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️ZUBAN KA SOCH SAMJHKAR SAHIH ISTEMAL KARNA ZAROORI HAI:

📣Muhammed Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi Wa Salaam) Farmaay, Jabh Insaan Subha Karta hai toh Uskay Jism kay Tamaam Aaza Zuban se Nihayath ajizi se Arz karte hai ‘Kahetay’ hai: toh Humare Baray mein Allahtala Se Darna Isiliye kay Humara Mamla tere Saath Wabasta hai ‘Agar tu Sidhi Rahegi toh hum bhi Sidhay Rahingay Agar tu ne Kuji Iqhtiyar ki toh Hum bhi Tedhay Hojaengay.

⭐️[Tirmidi: 2407]


♦️Zuban kay Samnay Ajizi aur Khushoo khazoo se Arz karte hai
Is se Wazay hai kay Zuban ko Soch samjhkar Istemal Karna Kitna Zaroori hai kay Zuban ki Zara si Be Itedadi poray Jism Insaani ko Bhugatni padhti hai.
Ladhai Jhagday hotay hai toh Sara Jism hi ko Bardasht karna padhta hai.
Tedhay Honay ka Matlab yehi hai kay Zuban ki teday pan ki zaad poray Jism per padhti hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️ZUBAN KI WAJEHE SE LOG JAHANNUM MEIN JAENGAY:

📣Maaz(ra) Se Riwayath hai kay Mein ne Arz kiya: Ae Allah kay Rasool Mjhe Aisa amal Batlaeye Jo mjhe Jannath mein lejaey aur Jahannum se Dur kardien.
▪️Nabi(Salla allaahu alaihi wa Salaam) Farmaay, tu ne bohath badhi baath ka Suwaal kiya hai, Lekin ye iskay liye Asaan hai Jisper Allahtala Isko Asaan Farmaadien(Toufeeq Amal Dien Dien) toh Allah Ki Ibadath Kar Uskay Saath kisi ko Sharik math thaira, Namaaz Qhayam kar, Zakath dien, Ramzaan kay Roze rakh aur Baitullah ka Hajj kar (Agar Iski tarf Raste ki Taqath rakhay).
▪️phir Farmaaya, Kiya mein tujhe bhalai kay darwazay na batlou?
-Roza Dhaal hai, Sadqa Gunaah ko Buja deta hai (Uskay Asr ko dur kardeta) hai Jaise pani aag ko Bujhadeta hai aur Admi ka raath kay pichlay paher (Darmiyaan) mein Namaaz Padhna.
▪️Phir Nabi(Salla allaahu alaihi wa salaam) Farmaay, mein tujhe Deen ka Sar uska Satoon aur Uskay Kohan ki Bulandi na batlou?
Mein ne Kaha kyun nahi Allah kay Rasool (Zaroor Batlaeye): ▪️Aap(Sallaam) Farmaay, deen Ka Sar Islam hai Iska Satoon Namaaz hai aur iskay Kohan ki Bulandi Jihaad hai-
▪️Phir Farmaaya, Kiya mein tujhe Aisi baath na batlou Jisper un subka Daromadar hai? Mein ne Arz kiye Kyun nahi Ae Allah kay Rasool!
▪️Phir Nabi(salla allaahu alaihi wa salaam) ne Apni “Zuban” pakdi aur Farmaay, Isko Rokh kay rakh- Mein ne Arz kiya: kiya hum zuban kay Zariye se Jo Guftagu karte hai isper bhi Humari Girf hogi?
▪️Nabi(Salla allaahu alaihi wa salaam) Farmaay, teri maa tujhe Gum paey! Jahannum mein Logou ko Unki Zubanou ki Kati hui khetiya hi ondhay mu guraegi.

⭐️[Tirmidi: 2616]


♦️Teri Maa Tujhe Gum Paey “ ye Bad Dua nahi hai Balkay Arabi Muhawera hai.
Is Hadees mein Har Rukan Islam ki Ehmiyath kay Elawa wo Zuban kay Qatrath ki Nishandai ki gai hai.
Agar Zuban ki Hifazath na ki gai toh Saray Aamaal barbad hosakhtay hai.
Insaan Jannath mein Janay kay Bajaey Jahannum Mein Jasakhta hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️ZUBAN KI BE ATIYATI GAZAB-e-ILAHI KA SABAB BANSAKHTA HAI INSAAN:

📣Sufyan Bin Abdullah(ra) ne Arz kiya Ya Rasool Allah(Salla Allaahu alaihi wa Salaam) Mjhe Aisi Baath batlaeye Jisko Mein Mazbooti se Pakadlo, Aap(Salla Allaahu alaihi wa Salaam) Farmaay, tum kaho Mera Rab Allah hai phir Usper Jam jaou- Mein ne Arz kiya ‘Ae Allah kay Rasool(Salla allaahu alaihi wa Salaam) Subse Ziyada Qatre Waali Cheez Jiska apko Mjhse Andesha ho kiya hai? Nabi(salla allaahu alaihi wa Salaam) ne Apni Zuban pakdi phir Farmaaya ‘Ye Zuban’ .

⭐️[Tirmidi: 2410]


♦️Is Hadees mein bhi ye Baath Wazay tour per bayan ki gai hai kay Zuban ki Hifazath ki Takeed isiliye hai kay Zuban ki
Be atiyati se Insaan Gazab-e-Ilahi ka Sabab Na Banjaey.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


6. ⭐️▶️GEEBATH KARNA AUR SUNNA DONO BHI HARAAM HAI⭐️◀️


⭐️GEEBATH YE HAI:

📣Muhammed Rasool (ï·º) Farmaay, Kiya tum Jantay ho kay Geebath kiya hai ‘Sahaba ne Arz kiya Allah aur Uskay Rasool hi bahetar Jantay hai, Nabi(ï·º) Farmaay, tere Apnay bhai ko aise andaz mein Zikar karna Jissay Wo Pasand na kare- Aap(ï·º) se pucha gaya kay agar agar mere Bhai mein wo cheez moujud ho jiska mein zikar karo?
Nabi(ï·º) Farmaay, agar isme wo Cheez moujud ho Jiska zikar toh kare toh yaqeenan tu ne Uski Geebath ki aur agar Usme wo Baath nahi hai toh Jo tu Uskay babeet bayan kare toh phir tu ne Usper Bohtaan(Tohmath) bandhti hai.

⭐️[Sahih Muslim: 6265]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️GEEBATH KARNE KI SAZA:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jabh mjhe Mehraj Karai gai toh Mein ne Us Raath Kuch Logou ko dekha Jinkay Naqoon tambay kay the wo (Unse) Apnay Chaherou aur Seenou ko Noch rahay the, toh mein ne Pucha Jibraeel(as) se kay ye Kaun log hai? Unho Ne Farmaaya ye wolog hai Jo logou ka Gosht khatay hai (Yani Geebath karte hai) Aur Unki Izzathou ko Paa Maal karte hai.

⭐️[Abu Dawood: 4860]


♦️Geebath karna Yani goya logou ka Gosht khana, Izzath Paa Maal karne se Murad logou kay Samnay Butai bayan karkay Unki Sakh aur Waqar ko Kharab karna hai ye Sub batien Haraam aur Saqth Mamnoo hai.
Aur Saza se ye Kitna Badha Gunaah hai ye bhi Wazay hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️HARAAM UMOOR:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Har Musalmaan ka Khoon Uski Abroo aur Uska maal Har Dosre Musalmaan per haram hai.

⭐️[Sahih Muslim: 6219]


♦️Is Hadees e Mubaraka Se bhi ye baath Wazay hai kay Islam mein Khoon’ Izzath aur Maal in Subki Hifazath per Zor diya gaya hai aur Kisi Musalmaan kay liye Jayez nahi kay wo Kisi bhi Musalmaan ki Izzath O Abroo per Hamla kare ya uska Maal Hatiyalien ya Ussay Nahaq Qatl kare/Geebath se Bhi Insaan Ki Izzath Kharab Hoti hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


▶️⭐️GEEBATH SUNNA BHI HARAAM HAI:


1️⃣Aur jab bey huda baat kaan mein parti hai to uss say kinara ker letay hain aur keh detay hain kay humaray amal humaray liye aur tumharay amal tumharay liye tum per salam ho hum jahilon say ( ulajhna ) nahi chahatay.

⭐️[Sura Qasas: 28: 55]
2️⃣Jo laghwiyaat say mun mor letay hain.


⭐️[Sura Al Mominun:23: 03]
3️⃣Jiss baat ki tujhay khabar hi na ho uss kay peechay mat parr. Kiyon kaan aur aankh aur dil inn mein say her aik say pooch gooch ki janey wali hai.


⭐️[Sura Bani Israeel:17: 36]
4️⃣Aur jab aap unn logon ko dekhen jo humari aayaat mein aib joee ker rahey hain to inn logon say kinara kash hojayen yahan tak kay woh kissi aur baat mein lagg jayen aur agar aap ko shetan bhula dey to yaad aaney kay baad phir aisay zalim logon kay sath mat bethen.

⭐️[Sura Anam: 06: 68]
▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️
In Aayaath se Ye Baath Wazay hai kay Jhoot, Makroo wo Faraib, Behaiyai, Behuda aur layani batou se kinara kash rahena Ahel imaan ka Aur Unko in batou se Bachnay ka Huqm hai, Issay Bhi maloom hua kay Geebath ka Sunna bhi haram hai kyun kay Wo bhi Laghwo mein Shamil hai, Isiliye aise Majlis ka Bycod(Alag rahena) Zaroori hai. Jahan Allah aur Uskay Rasool kay Ehekam kay khilaf Amal hota hai.
Yani Ehekam-e-Illahi ki Sarahi Muqhalifath ki jarai ho toh aisi jaga se alag rahena chaheye.

▪️Aur Jaise Aj kal Rusumath wagerah, Mangni, Mahendi, Sanchak, Manjay, Shadi Beeha kay mouqoubper honay walay Bidathi Rusumath aur Khatna ka phool wagerah kai aise Taqreebaath hai Jinme Behaiyai bepardagi , Tasveer Saazi, Nach gana mard aur aurath ka Bebakpana.
Is Khism Ki Taqreebath se bhi Parhez karna chaheye aur Allahtala ki Ataat karna chaheye.
⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️
 


⭐️▶️APNAY BHAI KI IZZATH KI DIFA KARNE KI FAZILATH:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jis Shaqhs ne Apnay Musalmaan bhai ki Izzath ka Difa kiya, Allahtala Qayamathh kay Din Uskay Chaheray se Jahannum ki aag dur kardega.

⭐️[Tirmidi: 1913]

♦️Izzath ki Difa ka matlab ye hai kay koi Shaqhs Kisi majlees mein kisi ki aib joey karkay Uski toheen wo tanqees kar raha ho toh Uska difa kiya jaey aur Ahel Majlees ko batlaya jaye kay Iski babeet ye batien Sahih nahi hai, Iska Damaan in cheezou se paak hai.


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


7. ⭐️▶️HASAD KARNA HARAAM HAI◀️⭐️


⭐️▶️HASAD SE ,GUMAN SE, JASUSI AUR JHOOTH SE BACHOU :
📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, tum Guman se Bacho isisliye kay Guman Subse Jhooti baath hai, tum Apus mein Hasd na kiya karo, Jasusi na kiya karo, Bogzh na rakha karo Ek dosre se, aur Raho Allahtala kay banday Bhaiyou ki tarha.

⭐️[Sahih Muslim: 6265]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️HASAD NAIKIYOU KO KHAJATI (BARBAD KARDETI) HAI:
📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Hasd naikiyou ko Is tarha khajati hai Jaise aag Lakdiyou ko khajati hai aur Sadqa Gunaahou ko Aise mitadeta hai Jaise pani Aag ko bujhadeti hai.

⭐️[Abu Dawood: 4903]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


▶️⭐️KISI SE HASD SUR BOGHZ RAKHNAY KAY NUQSANAATH:

📣Hazrath Zubair bin Awam(ra) kahetay hai kay Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, tumme Guzashtay Aqwam(pichli qoum) ki Bemariya Daraengi, Jin mein se Hasd aur Boghz bhi hai aur Ye mondh denay waali hogi, Ye Baal nahi Balkay Deen ka Safaiya Kardenay waali hai.

⭐️[Tirmidi: 2434]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


▶️⭐️NAZAR BAD BHI HASD KI EK KHISM HAI:

📣Ulema Ikram ne Nazar bad ko bhi Hasd ki hi Ek Khism Qarar diya hai, Nazar bad laganay Wala Hasid hota hai- isiliye kay wo Jissay Hasd karta hai Ussay boghz ya Na pasandigi ki nazar se Dekhta hai aur Dekhtay huay Mashallah ya Alhamdulillah Jaise Alfaz nahi kaheta, Jissay Wo Shaqhs musibath mein Mubtela hojata hai.
Ye Baath Musananad Abu Nateem Se Sabith hai kay Nazar-e-Bad Ek Achay Bhalay Jawan Ko Qaber mein Pohanchadeti hai aur Sahet mand Ount ko Bandi mein.


⭐️📣Muhammed Rasool (ï·º) Farmaay, Kay Nazar ka Lagna Haq hai agar koi Cheez Taqdeer se phele Asar andaz hoti toh Wo Nazar hoti, isiliye Jabh tum Mein se Kisi Shaqhs se Ghusl karnay kay liye Kaha jaey toh Wo Ghusl Kare.


⭐️[


♦️Yani agar Kisi Shaqhs kay mutaliq ye pata Chalhaey kay Ussay Fulah Shaqhs ki Nazar lagi hai toh Ussay Kisi Tub ya Bartan mein Wadu ya Ghusl Karwakar Wo pani Mutasir Shaqhs per Uski pichli Janib se Phenkdiya jaey toh Allahtala Ussay Shifa Ata Farmaaega.
▪️Agar Kisi Shaqhs se iski Nazar ki Wajhese Wadu ya Ghusl karnay kay liye Kaha jary toh Ussay Karna Chaheye.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️WO SHAQHS JAHANNUM MEIN NAHI JAEGA JISKAY ANKH ALLAHTALA KAY KHOUF SE ROYE:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Wo Shaqhs Jahannum mein Nahi Jaega Jo Allahtala kay Dar se roye, yahan takh kay Dudh thanou Mein Wapis Chala Jaey,aur Allahtala kay Raste Ka Gubar aur Jahannum Ka Dhuva Ekhatta nahi hoga.

⭐️[Tirmidi: 1633]


♦️Zahir Baath hai Jis Shaqhs kay Dil mein Allahtala ka itna khouf ho kay Wo Uski bina per Rota hai, toh wo Kabh Allahtala Ka Nafarmaan hosakhta hai- yaqeenab Uski Zindagi Bil Umoom Allahtala ki Ataat mein aur Gunaahou se Ijtenab karte huay hi Guzregi, isisliye Aise Shaqhs kay baray mein ye Kahena Bilkul Sahih hai kay Iska Jahannum mein Jana aise hi Namumkeen hai Jaise Than Se nikala huay dudh than mein Wapis Jana namumkeen hai.
Isi Tarha Allahtala ki Raah mein Jihaad ki badhi Fazilath hai- Mujahideen Fi Sabeelillah per Bhi Jahannum haraam hai kyun kay Us Raah mein Mujahid per Jo Gard o Gubar padhta hai Uskay Saath Jahannum ka Dhuva Jama nahi hosakhta- Bashartay kay Kabeerah Gunaahou se Bachay Raha ho.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️ALLAHTALA KO MEHBOOB WO ANSU JO ALLAH KAY KHOUF SE NIKLAY AUR JIHAAD MEIN NIKLAY JO KHOON AUR LAGAY JO ZAKHM AUR FARAIZ KI ADAIGI MEIN LAGNAY WALAY ZAKHM:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Allahtala Ko Do Qatrou aur Do Nishaanou se Ziyada koi Cheez mehboob nahi, Rk Anso kay Wo Qatre Jo Allahtala kay khouf se niklay aur Dosra wo Qatre khoon kay Jo Allahtala ki raah mein bahaya jaey.
Rahay Do Nishaan toh Unme se Ek Nishaan Toh wo hai Jo Allahtala kay raste me ladhtay huay lagay aur Disre Nishaan wo hai Jo Allahtala kay Faraiz mein se Koi Faraiz ada karte huay lagay.

⭐️[Tirmidi: 1669]


♦️Isme Khouf-e-Illahi se Ronay ki, Jihaad Fi Sabeelillah mein Bahenat walay Khoon ki, aur usi tarha Jihaad mein Lagay huay Zakhmou kay baqhi Rahejanay walay nishanaath ki aur Faraiz ki adaigi mrin lagnay walay Nishaanaath ki Fazilath hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️MUHAMMED ï·º ALLAHTALA KAY KHOUF SE ROYA KARTE:
📣Abdullah bin Shikhkhir(ra) se Riwayath hai kay mein Muhammed Rasool (ﷺ) ki Kidmath mein Hazir hua Jabhkay Aapﷺ Namaaz Padhrai the (Mein Ne Dekha kay) Nabiﷺ kay Seenay se Ronay ki Wajhese is tarha Awaz nikalrai thi jaise Chulay per Rakhi hui Handiya se Nikalti hai.

⭐️[Abu Dawood: 903]

♦️Is Hadees se Wazay hai kay Nabiï·º Namaaz mein Allahtala Kay khouf se Kis Tarha roya karte the- Allahtala se Manajath kay Waqt aur Allah ki bargaah mein Hazri kay Tasawur se Rona Badhi Sa’adath ka Ba’as hai magar Jisko Allahtala issay Nawaz dien.
🔹Humare pyare Nabiﷺ An khata, Jannath mein Ghar dikhaya jachuka apko Apka, Aur Allahtana ne Sura Fatha mein aayaatien Nazil Farmaay Kay Ae Muhammed ﷺApki Agli pichli Tamaam Khataien Maaf kardi hae hai Aise Pyare iskay Bawajud - Nabiﷺ Qayamath ki Houlnaakiyou se Ro Padhtay the.
⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


8.▶️⭐️ALLAHTALA KAY KHOUF SE RONE KI FAZILATH◀️⭐️

⭐️▶️WO SHAQHS JAHANNUM MEIN NAHI JAEGA JISKAY ANKH ALLAHTALA KAY KHOUF SE ROYE:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Wo Shaqhs Jahannum mein Nahi Jaega Jo Allahtala kay Dar se roye, yahan takh kay Dudh thanou Mein Wapis Chala Jaey,aur Allahtala kay Raste Ka Gubar aur Jahannum Ka Dhuva Ekhatta nahi hoga.

⭐️[Tirmidi: 1633]


♦️Zahir Baath hai Jis Shaqhs kay Dil mein Allahtala ka itna khouf ho kay Wo Uski bina per Rota hai, toh wo Kabh Allahtala Ka Nafarmaan hosakhta hai- yaqeenab Uski Zindagi Bil Umoom Allahtala ki Ataat mein aur Gunaahou se Ijtenab karte huay hi Guzregi, isisliye Aise Shaqhs kay baray mein ye Kahena Bilkul Sahih hai kay Iska Jahannum mein Jana aise hi Namumkeen hai Jaise Than Se nikala huay dudh than mein Wapis Jana namumkeen hai.
Isi Tarha Allahtala ki Raah mein Jihaad ki badhi Fazilath hai- Mujahideen Fi Sabeelillah per Bhi Jahannum haraam hai kyun kay Us Raah mein Mujahid per Jo Gard o Gubar padhta hai Uskay Saath Jahannum ka Dhuva Jama nahi hosakhta- Bashartay kay Kabeerah Gunaahou se Bachay Raha ho.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️ALLAHTALA KO MEHBOOB WO ANSU JO ALLAH KAY KHOUF SE NIKLAY AUR JIHAAD MEIN NIKLAY JO KHOON AUR LAGAY JO ZAKHM AUR FARAIZ KI ADAIGI MEIN LAGNAY WALAY ZAKHM:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Allahtala Ko Do Qatrou aur Do Nishaanou se Ziyada koi Cheez mehboob nahi, Rk Anso kay Wo Qatre Jo Allahtala kay khouf se niklay aur Dosra wo Qatre khoon kay Jo Allahtala ki raah mein bahaya jaey.
Rahay Do Nishaan toh Unme se Ek Nishaan Toh wo hai Jo Allahtala kay raste me ladhtay huay lagay aur Disre Nishaan wo hai Jo Allahtala kay Faraiz mein se Koi Faraiz ada karte huay lagay.

⭐️[Tirmidi: 1669]


♦️Isme Khouf-e-Illahi se Ronay ki, Jihaad Fi Sabeelillah mein Bahenat walay Khoon ki, aur usi tarha Jihaad mein Lagay huay Zakhmou kay baqhi Rahejanay walay nishanaath ki aur Faraiz ki adaigi mrin lagnay walay Nishaanaath ki Fazilath hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️MUHAMMED ï·º ALLAHTALA KAY KHOUF SE ROYA KARTE:

📣Abdullah bin Shikhkhir(ra) se Riwayath hai kay mein Muhammed Rasool (ﷺ) ki Kidmath mein Hazir hua Jabhkay Aapﷺ Namaaz Padhrai the (Mein Ne Dekha kay) Nabiﷺ kay Seenay se Ronay ki Wajhese is tarha Awaz nikalrai thi jaise Chulay per Rakhi hui Handiya se Nikalti hai.

⭐️[Abu Dawood: 903]


♦️Is Hadees se Wazay hai kay Nabiï·º Namaaz mein Allahtala Kay khouf se Kis Tarha roya karte the- Allahtala se Manajath kay Waqt aur Allah ki bargaah mein Hazri kay Tasawur se Rona Badhi Sa’adath ka Ba’as hai magar Jisko Allahtala issay Nawaz dien.
🔹Humare pyare Nabiﷺ An khata, Jannath mein Ghar dikhaya jachuka apko Apka, Aur Allahtana ne Sura Fatha mein aayaatien Nazil Farmaay Kay Ae Muhammed ﷺApki Agli pichli Tamaam Khataien Maaf kardi hae hai Aise Pyare iskay Bawajud - Nabiﷺ Qayamath ki Houlnaakiyou se Ro Padhtay the.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️KHATAA TALUQ KARNA HARAAM HAI◀️⭐️

⭐️▶️APUS MEIN MUSALMAAN BHAIYOU SE KHATTA TALUQ JAYEZ NAHI:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Kisi Musalmaan kay liye ye Jayez nahi kay Wo Teen Din se Ziyada Apnay bhai se taluq Manqatta rakhay, Chunacha Jo Shaqhs Teen din kay Uppar taluq Manqatta kiye rahega aur Usi Halath mein Ussay mout agae toh Wo Jahannum Mein jaega.

⭐️[Abu Dawood: 4914]


♦️Jahannum mein Dala Jana ye Battour e Saza hoga, Saza Bhugatnay kay Badh Ussay Jahannum se Nikalkaar Jannath mein Daqil kardiya Jaega kyunkay Humesha Jahannum Sirf Kafirou kay liye hai taham Iskay ye Matlab nahi kay Musalmaan Jo Chahay karlien Wo Battour Saza bhi Jahannum mein nahi jaengay aisa samjhna bhi galath hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️SAAL BHAR QATA TALUQ KA WABAL:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Shaqhs Apnay Musalmaan Bhai se Ek Saal takh taluq Manqataa rakhega toh Uske ye amal Uska Khoon Bhanay kay barabar hai.

⭐️[Abu Dawood: 4897]


♦️Tark Taluq bhi Ek Tarha se Manwi Qatl hai, Jissay Dosre Musalmaan ko Saqth Zaheni Aiziyath se Guzarna padhta, isliye Ussay Qatl kay Mutradaf qarar diya.
Bol Chaal ya tark taluq Sirf AllahtaIa ki Raza kay liye ho Maslan koi shaqhs Biddath ya Fasq o Fojor se Baaz na ae toh Aise shaqhs se Allahtala ki Raza kay liye Bol chaal band kardena ya taluq Manqataa kardena Jayez hai Balkay Mustajab hai takay Ussay Ibrath o Nasiyath ho Aur Us Tarha Shayed wo Baaz ajaey, Lekin Mahez Duniyavi ranjishou ki Wajhese teen din se ziyada taluq manqataa karnay ki Ijazath nahi hai.
Jisne Apnay Musalmaan bhai ko Ek saal takh chodhdiya goya Usne Uski Khoon Raizi ki.


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️3 DIN SE ZIYADA QATTA TALUQ MANAA HAI:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Kisi Momin kay liye ye Jayez nahi kay Wo kisi Momin se teen din se Uppar taluq Manqataa Kiye Rakhay Chuncha agar isi halath mein teen din Guzar jaey toh Chaheye kay Ussay mulaqath karkay ussay teen martaba Salaam kare aur agar wo ek bar bhi salaam ka Jawab na dien toh wo Apne Gunaah lekar loutega.

⭐️[Abu Dawood: 4895]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️



⭐️▶️JADUGAR AUR NUJUMI KAY PAAS JANA HARAAM HAI◀️⭐️

⭐️▶️KAHAAN KAN JANAY WALA ISLAM SE BAHAR:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Shaqhs Kisi Araf (Yani koi poshida Cheez ki Itelaah Denay walay, Mustaqbil ki Qabrien aur Kismat kay Baray mein agaah karne walay Shaqhs aur Kahaan kay paas gaya aur uski Batou ki tasdiq ki toh Usne Muhammed(ﷺ) per utari gai Sharaiyath ka inkaar kiya.

⭐️[Sahih Jamia: 5939]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


▶️⭐️ARAF (KAHAAN) KAY PAAS JANAY WALAY KI 40 DIN KI IBADATH QUBOOL NAHI HOGI:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Shaqhs kisi Araf kay paas gaya, Phir Ussay Kisi Cheez kay Mutaliq suwaal kiya toh Uski 40 Raathou ki Namaazien Qubool nahi ki jaegi.

⭐️[Sahih Jamia Sageerah: 5940]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️GUNAAHOU KO MITANAY WALAY AMAL◀️⭐️


⭐️▶️TAWBA KARNE KI FAZILATH:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Momin Jabh Gunaah karta hai toh Uskay Dil per Ek Siya Nuqhta padhjata hai- pus agar wo Tawba karleta hai us gunaah ko chod detahai aur Maafi Mangleta hai toh Uskay dil ko Dhodiya Jata hai- aur agar wo Gunaah per Gunaah kiye Jata hai toh Wo Siyahi badhti Jati hai yahan takh kay Uskay Dil per Chajati hai.

⭐️[Tirmidi: 3334]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


▶️⭐️ASTAGHFAR KI FAZILATH:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Bashaarath hai unkay Liye Jinkay Sahefay mein (Yani Amal Namay mein) Kasrath se Astaghfar paaya gaya.
[Jannath Ki Khair ki Basharath hosakhti hai]

⭐️[Ibn Majah: 3093]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️ASTAGHFAR KAY BAHETAR ALFAZ:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Shaqhs ye Dua Padhay toh Ussay Maaf kardiya Jata haiagar chay wo Maidan-e-Jung se bhagkar kyun na aya ho.

“Astaghfirullahil lazi Lailaha illa huwal Hayyul Qayyum Wa aatubu ilaihi”


⭐️Meaning: Mein Us Allah se Maafi Mangta hoon Jiskay Sivai koi Mabood Barhaq nahi aur Wo Zinda aur Khayam rahenay wala hai aur mein usi ki tarf tawba karta hoon.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️HADEES-E-QUDSI:
ALLAHTALA KI RAHEMATH APNE GUNAAHGAR BANDOU PER:


📣Ae Ibn Adam! Agar tu Sirf mjhe pukarta rahay aur Tamaam Umeedien mjhse wabasta rakhay toh khawa tumse Jo bhi Gunaah Sarzad huay ho mein tumhe maaf karta rahunga aur mein koi parva nahi karonga.
Aur agar tere Gunaah Asmaan takh pohanch jaey phir tum mjhse maafi talab karlo toh mein tumhe Maaf kardonga aur mein koi Parwa nahi karonga.
Aur agar tu mere paas Zameen kay Barabar gunaah lekar ae, phir tumhari mjhse Mulaqath is haal mein ho kay tum mere saath kisi ko Sharik nahi banatay the toh mein Zameen kay Barabar tujhe maghfirath se nawaz donga.

⭐️[Tirmidi: 3540]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️GUNAAHOU KO MITANAY WALAY KALIMATH:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Zameen per Jo Shaqhs bhi ye Kalimath kahay:

“Lailaha illallahu Wallahu Akbar, Subhanallahi Wa Bi Hamdihi Wala howla Wala Qu wata Illah billah”


toh Uskay Gunaah mitadiye Jatay hai chahay Samunder kay Jhag kay barabar bhi kyun na ho.

⭐️[Tirmidi: 3460]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️NAIKIYA BURAI KO MITADETI HAI:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Abu Zar(r) Se kay tum Jahan kahin bhi raho Allahtala se Darte rahena aur Burai kay badh Naiki karna Jo Ussay Mitadegi- aur logou se Achay Aqlaaq kay Saath ghul mil kar Rahena.

⭐️[TIRMIDI: 1987]


............

📣Allahtala Ka Farmaan: Beshak “Naikiya Buraiyou ko Khatam kardeti hai”

⭐️[Sura Hud: 11: 114]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️GUNAAH HOJAEY TOH USKAY BADH 2RAKAATH NAMAAZ PADHKAY ALLAHTALA SE MAGHFIRATH MANGAY:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jabh Koi Shaqhs Kisi Gunaah ka Artekab kare, phir Khada hojaey aur Wadu karkay Namaaz padhay, phir Allahtala Se Maghfirath talab kare toh Allahtala Ussay Yaqeenan Maaf Kardeta hai.

⭐️[Tirmidi: 406]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️MUSAFAH(HAATH MILANA) KARNE KI FAZILATH:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Do Musalmaan mulaqath kay Waqt Musafah kare toh Unkay Juda Honay se phele Unki Maghfirath kardi jaati hai.

⭐️[Tirmidi: 2727]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️MUSAFAH(HAATH MILANA) KARNE KI FAZILATH:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Do Musalmaan mulaqath kay Waqt Musafah kare toh Unkay Juda Honay se phele Unki Maghfirath kardi jaati hai.

⭐️[Tirmidi: 2727]


.................................

2️⃣📣Muhammed Rasool (ï·º) Farmaay, Jabh Do Musalmaan mulaqath kay waqt (Musafah) Haath pakdhta hai , Allahtala per unka Haq hai kay Wo Unki Duain Qubool kare aur Unkay Haath Alag alag honay se Qabal Unki Maghfirath kardien.

⭐️[Musand Ahmed: 12474]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️KAFFARA MAJLIS:

▶️MAJLIS SE UTHKAR JATAY WAQT YE DUA PADHNI CHAHEYE:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Douran-e-Majlis Jo Gunaah hojatay hai Unhay maaf kardiya jata hai:

“Subhanaka Allahumma Wa Buhamdika Ashaduan Lailaha illa Anta Astaghfiruka Wa aatubu ilaka”



⭐️Meaning: Ae Allah tu paak hai aur Apni tareef kay saath, Mein Gawaahi deta hoon kay tere Siva koi Sacha Mabood nahi mein tujhse Maafi Chahata hoon aur teri tarf Rujo karta hoon.

⭐️[Abu Dawood: 4841]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️SALAM KO PHELANA AUR ACHI GUFTAGU KARNA:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Maghfirath ka Majob(zariya) Bannay Walay Amwar mein se Salaam ka phelana aur Achi Guftagu karna bhi hai.

⭐️[Sahih Targeeb: 2699]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️NABI(ï·º) PER DAROOD BHEJNAY KI FAZILATH:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo Shaqhs Mjhper Ek Martaba Darood bhejta hai Allahtala Usper 10 Rahematirn Nazil Farmaatay hai Aur Uskay 10 Gunaah Mitadetay hai aur Uskay 10 Darjath Buland karte hai.

⭐️[Sahih Jamia: 6359]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

No comments:

Post a Comment