Sunday, July 14, 2019

MISCELLANEOUS AHADEETH: 04

⭐️EMAAN KI EHMIYATH:

📣Jundub Bin Abdullah(Raziyallahu anhu)
bayan Farmaatay hai, Hum Nabi(ﷺ) kay Saath the aur (Bulugath kay khareeb ki umar ko the yani) Taqathwar Naoujawan the, aur Humne Quran Sikhne se phele Emaan ko sikha , phir humne Quran sikha toh ussay humara Emaan aur Ziyada badhgaya.

⭐️[Ibn Majah: 61]


📣It was narrated that Jundub bin 'Abdullah said:
"We were with the Prophet (ﷺ), and we were strong youths, so we learned faith before we learned Qur'an. Then we learned Qur'an and our faith increased thereby."

📣ہم نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کے ساتھ تھے، اور ہم طاقتور نوجوان تھے، ہم نے قرآن سیکھنے سے پہلے ایمان کو سیکھا، پھر ہم نے قرآن سیکھا، تو اس سے ہمارا ایمان اور زیادہ ( بڑھ ) ہو گیا۔

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️ 



⭐️▶️ALLAHTALA KAY ZIKR KI FAZILATH SE QABER ROSHAN KARDI JAEGI:

📣Allah Rabbul Izzath ne Farmaaya! Muhammad rasool Allah (ﷺ) se kay, Apni Ummath se Kahena kay Mera Zikr kar, Apni Ungliyou Per kiya Karo Jabh tum Andheri Qaber mein Tanha hongay toh ye Ungliya Aap ki Qaber ko Roshan Kardingi.

⭐️[Sahih Jamia: 4087; Tirmidi: 3583; Ibn Hibban: 842; Tibraani: 25/73 ; 180]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️




⭐️NAJAATH KIS CHEEZ MEIN HAI:

📣Hazrath Uqbah bin Amair(Raziyallahu anhu) se Marvi hai kay mein ne Arz kiya? Allah kay Rasool (ﷺ) Najaath kis cheez mein hai? Nabi(ﷺ) Farmaay,
▶️Apni Zuban ko Qaboo mein rakh.
▶️Bila Zarurath ghar se bahar na nikal.
▶️Aur Apni Khataou(Gunaahou) per Ansoo bahaa.

⭐️[Tirmidi: 2406]


📣Uqbah bin 'Amir narrated:
"I said: 'O Messenger of Allah! What is the means to salvation?' He said: 'That you control your tongue, suffice yourself your house, and cry over your sins.'"

میں نے عرض کیا: اللہ کے رسول! نجات کی کیا صورت ہے؟ آپ نے فرمایا: ”اپنی زبان کو قابو میں رکھو، اپنے گھر کی وسعت میں مقید رہو اور اپنی خطاؤں پر روتے رہو“ ۱؎۔
امام ترمذی کہتے ہیں: یہ حدیث حسن ہے۔

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️KAMIL MOMIN:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, tum mein se koi Us Waqt takh (kamil) Momin nahi hosakhta Jabh takh kay wo Apnay (Musalmaan) bhai kay liye Bhi wo Cheez Pasand na kare Jo Apnay liye pasand karta ho.

⭐️[Sunan An Nasai: 5020]

♦️Is Hadees Ein bhi Baham Musalmaanou ki khair khaahi ki Fazilath hai aur Iski Targeeb ka bayan hai agar Musalmaan Is Hadees per Amal kare toh Musalmaan Mashere mein Aj Jo Kharaabiya hai Jaise Dhoka, loot, Khayanathdaaro, Jhoot, Fareb, aur Jaal Saazi Wagerah Aam hai aj.
ye sub Khatam Hojaegi agar lig Is Hadees per gour kare aur Samjhlien ye Kitna Zaroori hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️ALLAHTALA SE ACHI UMEED RAKHNE KI FAZILATH:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Allahtala Farmaata hai kay, Ae Insaan! Jabh takh tu Mjhe pukarta Rahega aur Mujhse Achi Umeed Rakhega mein tujhe Baqhsta Rahonga, Chahay tere Amal kaise bhi ho aur mein Parwa nahi karonga, Ae Ibn Adam agar tere Gunaah Asmaan kay bulandiyou takh Pohanch jaey phir tu mjhse Baqshish talab kare mein tujhe Baqhs donga aur mein koi Parwa nahi karonga.
Ae Ibn Adam(Adam Kay Bete) agar tu mere paas Zameen bhar Gunaahou kay saath ae aur tu mjhe is haal mein milay kay tu mere saath kisi ko Sharik na thairaya hoga toh mein tere paas Zameen bhar Baqshish lekar aounga.

⭐️[Tirmidi: 3540]

♦️Iska Matlab ye nahi kay Insaan Gunaah aloda ko Apni Zindagi banalien, kyun kay Aisa Shaqhs phir Allahtala ki Tauba aur Rahemath se mehrum hojaega.
Iska Sahih matlab ye hai kay Insaan se Nadani aur Gaflath mein kitne bhi Gunaah hojaey Hatta kay Uskay Gunaah Asmaan ki Bulandiyou takh pohanchjaey lekin Ussay Allahtala ki Rahemath se Naumeed nahi hona Chaheye.
Balkay Khalus Dil se Tawba karkay Agar wo Allahtala se Maghfirath talab karega toh Allahtala ki rahemath Apnay liye Paega.
Shirk Na Qabeel-e-maafi hai, Shirk kay Elawa kaise bhi kitne bhi gunaahou ki maghfirath ki umeed ki jasakhti hai.
🔹Allahtala chahega toh Phele hi marhele mein Maaf kardega warna kuch saza kay badh Maafi Hojaegi.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️KISI KI TAKLIF PER KHUSHI NA MANNAEY:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Apne Musalmaan bhai ki taklif per Khushi ka Izhar na kare (Kahin aisa na ho) Kay Allahtala isper rahem Farmaadien aur tumhe Azmaish mein daldien.

⭐️[Tirmidi: 2506]

♦️Imam Novi(rh) Farmaatay hai kay Har Musalmaan ka dosre musalmaan per Iska Khoon, Maal, Aur Izzath Haraam hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️MUSALMAAN AUR KAFIR KAY BECH KA FARQ NAMAAZ HAI:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, (Wo Farq Karne Wala) Ahad Ji Humare aur Un (Kafirou) kay Darmiyaan hai wo “Namaaz” hai- pus Jisne Namaaz Chodhi wo yaqeenan kafir hogaya.

⭐️[Tirmidi: 2621]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️ALLAHTALA KAY HUQOOQ MEIN SUBSE PHELE NAMAAZ KA HESAB LIYA JAEGA:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Beshak Wo Amal Jiskay Mutaliq Qayamath kay Din Subse phele Bande se Hesab liya Jaega Uski Namaaz hai- agar Wo Durust hui toh Yaqeenan wo Kamyaab aur Surq raah hoga.
aur Agar Namaaz Kharab hui toh Bilashuba wo Naa kaam wo Na Murad hoga- pus agar Uskay Faraiz mein koi Kami hui toh Allahtala Farmaega Dekho Mere Bande kay Namay Aamaal mein Kuch Nawafil hai kiya Uskay Zariye se Faraiz kami ko pori Karfiya jaey? phir Uskay Saray Amal ka Hesab usi tareeqay per hoga.

⭐️[Tirmidi: 413]

♦️Huqooq Allah mein Subse Phele Allahtala Kan Hesab Namaaz ka hoga warna Huqooq-ul-Ibad mein Subse phele Khoon ka Faisla hoga Jo Bandou ne Bandou ka Bahaya hoga.
Isme Ek Toh Faraiz ki Adaigi ki takeed hai Dosra Wo unhay Sahih tareeqY se ada karna aur mufsadathbse bachnay ki talqeen hai.
Nawafil ki targeeb hai takay Iskay Zariye se Faraiz mein ki hae Kotahiyou ka Azlaa hosakhay.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️MAAL AUR ILM KI FAZILATH AUR USKA WABAAL:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Mein teen batou per Kasam khata hoon aur ek baath tumhe batata hoon Issay yadh rakho! Kisi Bande ka Maal Sadqa karne se kum nahi hota aur Jisper Zulm Kiya jaey wo isper Saber kare toh Allahtala Zaroor Uski Izzath mein Izafai Farmaata hai aur Jo Shaqhs mangnay ka Darwaza kholta hai toh Allahtala isper Faqeer o Mohtaji ka Darwaza kholdeta hai,
phir Nabi(ﷺ) Farmaay, mein tumhe Ek Baath batata hoon kay pus tum ussay yadh rakho Duniya mein 4Khism kay log hai:
1️⃣Ek Wo Banda Jissay Allahtala ne Maal aur Ilm ata kiya phir wo unkay baray mein Allahtala se Darta hai aur Rishtedarou se Husn Saluk(Sila Rahemi) karta hai aur Unme Jo Allahtala ka haq hai Ussay pohanchata hai (Aur Ussay Ada karta) hai toh ye Shaqhs Jannath kay Subse Afzal Darjou mein hoga.
2️⃣Dosra admi Wo Banda hai Jissay Allahtala ne Ilm diya magar maal nahi diya Pus Wo Sachi niyyath rakhta hai aur kaheta hai agar mere paas maal hota toh Yaqeenan mein bhi Fulah Admi ki tarha Amal(Kharch) karta pus Jabh Uski niyyath ye hai toh Uska aur phele shaqhs ka ajar Barabar hai.
3️⃣Tesra Banda wo hai Jissay Allahtala ne maal diya aur ilm nahi diya pus wo bagair ilm kay Andhadhun Kharch karta hai- aur na usme wo Rishtedarou ka huqooq ada karta hai aur na koi Allahtala ka koi haq isme pohanchata hai ye Subse Battareen Martabay wala hai.
4️⃣Aur Choutha(4th) Wo Banda hai Jissay Allahtala ne maal diya na Ilm Lekin wo kaheta hai kay agar mere paas maal hota toh mein fulah Admi ki tarha Amal(Andhadhun) kharvh karta pus Jabh uski niyyath ye hai toh Un Donou (Tesra Banda ki tarha) ka Gunaah barabar hai.

⭐️[Tirmidi: 2325]

♦️Isme Achi ya Buri Niyyath se Murad pokhti niyyath Yani Pakka Azm pakka irada hai, Niyyath hi per Azab ya Sawab hai, Isme Maal ki Fazilath bhi hai Bashartay Kay Sharai Hudood ka Khayal rakha jaey aur Maal ki Mazamath aur khatarnaaki ka bhi bayan hai Jabh isme Allahtala ki Hidayath aur Raza ko Malhoz na rakha jaey.
Isi Tarha Ilm Sharaiyath ki Fazilath hai agar Iskay mutaliq Amal Kuya Jaey aur Jahalath ka Nuqsaan kay Insaan ko Gunaahou mein mubtela kardeta hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

▶️⭐️SADQA KARNE KI FAZILATH:


📣Ayesha(r) se Riwayath hai kay Unho ne Ek Bakri Zabaq ki toh Nabi(ﷺ) Ne unse pucha; Iska Kitna hessa Baqhi hai? Ayesha(r) Farmaati hai kay mein ne Kaha Sirf Ek Dasti hi baqhi hai , Nabi(ﷺ) ne Irshad Farmaaya Subhi Baqhi hai Sivai Ek Dasti kay.

♦️Iska Matlab ye hai kay Unho ne Dasti kay Elawa Sub Sadqa Kardiya tha toh Nabi(ﷺ) Farmaay Sadqa Shuda (Jo Sadqa kiya Jachuka) Sara Hessa Humare liye Baqhi Raha Aqhirath mein Iska Ajar milega.

⭐️[Tirmidi: 2658]

🔹Aur Dasti Baqhi nahi rahi kyun kay Ussay Khud Khaya Jisper Aqhirath mein Ajar Nahi milega.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️NARMI SE KAAM LENE KI FAZILATH:


📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Kiya Mein tumhe Aise logou ki Khabar na do Jo Jahannum ki aag per ya Jahannum ki aag unper Haraam hai, ye Har Us Shaqhs per Haraam hai jo Logou kay Khareeb Rahenay Wala, Asaani karne Wala, Narmi karne wala aur Naram khoo hai.

⭐️[Tirmidi: 2676]

♦️Khareeb Se murad Apne Aqlaaq aur Husn Mamlay Se Logou kay Dilou mein Basne Wala Shaqhs hai, Usi Tarha Asaani aur Narmi karne Se Murad bhi Duniyavi Mamlath mein Narmi, isme bhi Husn Aqlaaq ki Fazilath hai Jo Insaan ko Jahannum ki aag se Bachanay wala hai.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

⭐️▶️MOMIN KA QATL KARNA GUNAAH-E-KABEERAH HAI:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Agar Asmaan aur Zameen walay (Sub kay Sub) Ek Momin ka Khoon Bahanay mein Sharik hojaey toh Allahtala Unsub ko Jahannum mein daldega.

⭐️[Tirmidi: 1398]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️RIYA KAARI KA WABAAL:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Mjhe tumper Subse Ziyada Khouf Shirk Azghara ka hai, Sahaba ne pucha Shirk Azgara kiya hai? Nabi(ﷺ) Shirk Azgara Se murad Riya Kaari hai, Allahtala Qayamath kay din Jabh logou ko Unkay Amal ka Badla dega toh riya kaari karne walou se kahega, tum unlogou kay paas chalejou jinkay liye Ria kaari kiya karte the phir dekho kay kiya wo tumhe koi badla dete hai.
Aur Abu Anamah(r) bayan karte hai kay Ek Shaqhs Nabi(ﷺ) kay paas aya aur kahene laga :
Apka Kiya Khayal hai kay Jo Shaqhs Jung mein Isiliye Sharik huay kay ussay Ajar o Sawab bhi milega aur Shahurath bhi, toh Ussay kiya milega?
Nabi(ﷺ) Farmaay kay Ussay kuch bhi nahi milega.

⭐️[Saheehatul Albani:951]


♦️Wo Shaqhs Teen martaba yehi Suwaal kiya toh Nabi(ﷺ) Har martabayehi Farmaay kay ussay kuch bhi nahi milega.

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️


⭐️▶️JIS MEHFIL MEIN ALLAHTALA KA ZIKAR NAHI KIYA JATA USKA WABAAL:

📣Muhammed Rasool (ﷺ) Farmaay, Jo log Aiis Mehfil mein baithay hai kay Usme na Allahtala ka Zikar karte hai aur na hi Apne Nabi(ﷺ) per Darood Bhejtay haitoh wo Majlis Unkay liye Qayamath kay roz Nuqsaan aur Hasrath wo Nadamath ka Bayes banegi agar Allahtala Chahega toh Unhay Maaf kardega aur agar Chahega toh Unki giraft Karega.

⭐️[ Musand Ahmed: 10282]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️



No comments:

Post a Comment