Saturday, May 11, 2019

AQWAL-E-SALAF [BIOGRAPHIES & STATEMENTS OF THE PIOUS PREDECESSORS]: 02

continue....


🌟AQWAL-E-SALAF

أقوال سلف
SALAF SAIHEEN KAHA KARTE THE:



🔹Naik Hamnasheen🔹

⭐️Qadadah Rahimahullah Farmate hain:


▶️Agar Koi Musalman Apne Naik Dost Ke Sath Baithne Se Koi Bi Faidah Hasil Na Kar Sake Siwaye Iske ke Uske Sath Bethne Se Gunah Me Waqe Hone Se Bach Jaye ,To Usne Bohat Ziyadah Khairo Bhalai Hasil Karli.

📚Al-Huqooqul-Islamiya (30)


**********************************************************

🔻Bure Hamnasheen Se Doori🔻

⭐️MALIK BIN DEENAR RAHIMAHULLAH FARMATE HAIN

▶️Har Wo Hamnasheen {DOST/SATHI} Jise Tum Ko Koi Khair NA pohnche To Ese Hamnaseen Se Door Hojao.☆

📚[Az-Zuhd-Libne-Abi Aasim {86}]


*******************************************************

🔸NASEEHAT🔸

⭐️Hafiz Ibne Rajab Rahimahullah Farmate Hain:


▶️Or Jis Insan Ke Gunah Or Buraiyan Bohat Ziyadah Houn Yaha Take Ke UsKe Liye Usko Shumar Karna Or Uski Ginti Karna Mushkil Ho, To Usko Chahiye Ke Wo Allah Se ISTIGFAR Kare Jo Allah Uski Sare Gunahoun Ko Janta He, Yaqeenan Allah ko To Har Cheez Ka Ilm He Or Har Cheez Ko Usne Shumar Kar Rakkha He.

📚[Jameul-Uloom {742}]


******************************************************

🔹Salaf Ki Bimari Me Dua🔹

⭐️Hafiz Ibne Rajab Rahimahullah Farmate Hain:


▶️Ba'az Salaf Apne Bimari Me Allah Se Ye Dua Kiya Karte The:

▶️Aye Allah Takleef Ko Kam Karde,Lekin Ajr {Sawab} Me Kami Na Kar.


📚[Majmoo Rasail Ibne Rajab{384}]



****************************************************

♦️Sunnat Ka Martaba♦️

⭐️Sahal Bin Abdullah Rahimahullah Farmate Hain:


▶️Sunnat Ki Misal Dunya Me Esee He Jesee Jannat Ki Misal Aakhirat Me,Jo Jannat Me Dakhil Hogaya Wo Aakhirat Me Mehfooz Hogaya, Or Jo Sunnat Me Dakhil Hogaya Wo Dunya Me Mehfooz Hogaya.

📚Zammul Kalam{4\484}



*****************************************************

⭐️Usman Bin Affan Raziyallahu Anhu Farmate Hain:*

▶️Allah Rabbul Izzat Ne Tumhain DUNYA Isliye Dee He Take Tum Iske Zariye Se AAKHIRAT Talab Karo, Isliye Nahi Dee Ke Tum DUNYA Hi KI Taraf Mayil Hojao.


📚 *[Albidayah Wa Nihaya {7/241}]*


************************************

🔸HIJAB PARDA🔸

⬇️Ek Momin Orat Se Kaha Gaya Tumhara Hijabo Parda Tum Pars bohath Sare Darwaze Band Kardega {Mushkilain Paida Karega}

▶️To Us MOMIN Orat Ne Jawab Diya Mere Liye Yahi Kafi He Ke Wo JAHANNAM Ka Darwaza Band Karde



***********************************************************

🔹SALAM KA MATLAB🔹

⬇️Salam Musalanoun Ka Ek Azeem Sheaar He Jis Sheaar Se Yahoodi Chidte Hain.

⬇️Kiya Aap Salam Ka Matlab Jaante Hain ,Ya Aapki Aadat Ban Gayee He Salaam Karne ki Or Aap Iske Mana Wa Matlab par Gour Nahi Karte.

⭐️Allama Mohammed Bin Saleh Al Usemeen Rahimahullah Farmate Hain:


▶️Salam Ye Dua Ke Mana Me He, Matlab Salaamati Ho Har Aafato Moseebat Se.
▶️Jab Aap Kisi Shakhs Ke Liye Salaam Kahain As-Salamu Alyik-To Iska Matlab Ye Hua Ke Aapne Uske Liye Dua Ki
▶️Ke Allah Usko Salaamat Rakkhe Har Aafat Se, Salaamat Rakkhe Har Bimaari Se, Salaamat Rakkhe Jonoon(paagal Pan)Se, Salaamat Rakkhe Logoun Ki Buraai Se, Salaamat Rakkhe Gunaahoun Se ,Salaamat Rakkhe Dil Ki Bimariyoun Se,Salaamat Rakkhe Jahannam Ki Aag Se,
▶️To Salaam Ye Lafz Aam He Iska Matlab Bohat Kushada He.
Ye Dua He Musalmanoun Ke Liye Har Buri Aafat Se Salamati Ke Liye.


📚[Sharah Riyazus Saleheen
{3/119}]


⭐️Or Imaam Nowee Rahimahullah Farmate Hain:


▶️Sahi Muslim Ki Sharah Ke Andar, Matlab Salaamati Tumhaare Saath Laazim He
Humain Ziyada Se Ziyada Salaam Ko Aam karna Chahiye Iska Matlab Jaan Ne Ke Baad Sahi Niyyat Ke Saath Salamti Ki Garz Se Apne Musalman Bhaiyoun Par Salam Karna Chahiye Chahe Ham Usko Jante Houn Ya Na Jante Houn.

Allah Rabbul Izzat Ham Sabko Iski Toufeeq Naseeb Farmaye.


Aameeen ya rabbi.


***************************************************************

♦️IBADAT KE ANDAR LAZZAT KESE HASIL HOGI♦️

⭐️BISHR BIN HARIS RAHIMAHULLAH FARMATE HAIN:


▶️Banda Tab Tak IBADAT Ki Halawat {Chashni/Mithas/lazzat} Hasil Nahi Kar Sakta Jab Tak Ke Wo Apne Darmiyan Or Apni Shahwat {Khahisaht) Ke Darmiyan Lohe Ki Diwar Na Bana Le.

📚[Hilyatul-Awliya{8/345}]


*************************************************************

⭐️SALMAN RAZIYALLAHU ANHU FARMATE HAIN:


▶️QAYAMAT Ke Din Sabse Ziyada Gunehgar Wo Honge Jo Sabse Ziyada Allah Ki Na Farmani Ki Batain karte Hain.

📚[As-Samt libne Abi Dunya 76]


*************************************************************


⭐️ABDULLAH BIN MASOOD RAZIYALLAHU ANHU FARMATE HAIN:


▶️QAYMAT Ke Din Ziyada Khata Kaar Wo Honge Jo Kasrat Se Batil Cheezoun Me Waqt Sarf Karte Hain.



📚[As-Samt Libne Abi Dunya 76]



*************************************************************

♦️NEKIYOUN KO CHUPAYAIN♦️


⭐️SALAMAH BIN DEENAR RAHIMAHULLAH FARMATE HAIN:


▶️Apni NEKIYOUN Ko Ese Hi Posheedah (Chupaya karo) Rakho, Jese Tum Apni BURAIYOUN Ko Chupate Ho.


📚[Seyaro A'alamin Nobala {6/100}]


************************************************************

🔹BID’AT EK MOHLIK MARZ🔹


⭐️Allama Mohammed Bin Saleh Al Usemeen Rahimahullah Farmate Hain:


▶️Bida't CANCER Ki Tarah He Ise Shifa Hasil Karna Mumkin Nahi Illa Ye Ke Allah Shifa De De.


📚[Sharah Safareniyah{183}]


***********************************************************


⭐️ALLAMA IBNE QAYYIM RAHIMAHULLAH FARMATE HAIN:

▶️ILM Ki Mohabbat Or Uski Talab Har Neki Ki Jad [Bunyad] He, DUNYA Or MAAL Ki Mohabbat Or Uski Talab Har Burai Ki Jad [Bunyad] He.

📚[Miftahu Daris S'adah[366]]


************************************************************


⭐️Abu Omar Addani Rahimahullah Farmate Hain:-

▶️Aye Mere Bhai Kiya Tum Jante Ho JANNAT Ka Rasta Kaha He!!!
Uska Rasta "QURAN He, Fir SUNNAT He".


📚[Seyaro A'alamin Nobala [18/81])


************************************************************

⭐️ALLAMA IBNE USEMEEN RAHIMAHULLAH FARMATE HAIN:-

▶️Jab Har Cheez Allah ki He, To Agar Usne Aapse Koi Cheez Le Lee To Wo Uski Hi Milkiyat He, Agar Aapko Koi Cheez De Dee To Wo Uski Hi Milkiyat He, To Tum Naraz Kyu Hote Ho?!!!



📚[Sharah Reyazus Saleheen [1/207]}


*************************************************************

⭐️ALLAMA IBNE QAYYIM RAHIMAHULLAH FARMATE HAIN :-


▶️Amal Karna Ye Kamal Nahi He, Balke Kamal Amal Ki HIFAZAT Karne Me He , Un Cheezoun Se Jo Usko Fasid Kar Deti Hain Or Batil Kar Deti Hain.



📚[Al Wabilus Sayeb[29])


************************************************************

⭐️MALIK BIN DEENAR RAHIMAHULLAH FARMATE HAIN:

▶️SEDEEQEEN Wo Hain Jab Unpar Quran Padha Jaata He To Unke DIL Aakhirat Ki Taraf Mail Hote Hain.


📚[Sifatus-Safwah (3/204)]


************************************************************

⭐️SHAIKHUL ISLAM IBNE TAIMIYAH RAHIMAHULLAH FARMATE HAIN:-

▶️”SUNNAT Ka Hukm Dena Or BID'AT Se Rokna Yhai Amr Bil Maroof Wan Nahi Anil Munkar He (Acchi Baat ka Hukm Dena Or Buri Baat Se Rokna He) Or Yahi Naik A'amal Me Se Sabse Afzal Amal He"



📚{Minhajus Sunnah [5/253]}


***********************************************************

⭐️IMAM HASAN BASRI RAHIMAHULLAH FARMATE HAIN:-



▶️GEEBAT Se Bacho, Qasam He Us Zaat Ki Jiske Hath Me Meri Jaan He,Jis Tarah Aag Lakdiyoun Ko Kha Jaati He Ise Bi Kahi Jaldee Geebat Nekiyoun Ko Kha Jaati He.



📚[Al Geebah Wan Nameemah *[163]*]


************************************************************


⭐️MALIK BIN DEENAR RAHIMAHULLAH FARMATE HAIN:-


▶️NAIK Log Teen Batoun Ki Wasiyat Kiya Karte The:


1- ZUBAN Ko Qaid Rakhne ki
2- Kasrat Se ISTIGFAR Karne Ki
3- TANHAI [Zuhd] Ikhtiyar Karne Ki.


📚[Hilyatul Awliya *[2/377]*]


*************************************************************

🔹FITNE KO TAQWA KE ZARIYE KHATAM KARO🔹

⭐️Talaq Bin Habeeb Rahimahullah Farmate Hain:-


▶️Jab Fitne Waqe Hojayain To Un Fitnoun Ko TAQWA Ke Zariye Bhuja Do.


.............................................


⭐️Ar-Risalatu-Tabookiya Libnil Qayyim Rahimahullah



▶️Matlab Koi Bi Fitna Ronuma Ho Chota Ho Ya Bada To Uska ilaj Ye He Ke Allah ka TAQWA Ikhtiyar Kiya Jaye To Us Fitne Ki Aag Apne Aap Bhuj Jayegi Or Allah Taqwe Ki Barakat Se Fitnoun Ko Khtam Kardega



♦️SABR KE BEGAIR IMAN KI HALAWAT HASIL KARNA MUSHKIL HE♦️


************************************************************

⭐️Sufyan Al-Sori Rahimahullah Farmate Hain:*


▶️Banda IMAN Ki Halawat (Mithas/Zaiqah) Hasil Nahi Kar Sakta, Yaha Tak Ke Har Taraf Se Uspar Balayain (Museebatain Preshaniyan) Na Aajayain.


📚 [Tareekhe Bagdad: (545/7)]




************************************************************


 📌 DIL KI BIMARI KA ILAJ ZAROORI
📌 Allamah Ibne Usemeen Rahimahullah Framate Hain:-

 
💠 Jab Insan Apne DIL Ki Bimari Ke Ilaj Ki Fikr Nahi Karta To Saza Ke Tour Par Uski Bimari Me Or Ziyadati Kar Dee Jatee He
Allah Ka Irshad He Surah Baqarah Aayat No 10
💠 (Unn kay dilon mein beemari thi Allah Taalaa ney unhen beemari mein mazeed badha diya)
💠 Is Baat Me Koi Shak Nahi Ke DIL Ki Sakhti Ki Saza BACCHE Ke Bichadne Or Ahlo Ayal Ke Zaye Hone Or Maal Ke Khatam Hone Se Badi Saza He

 
📚 [Ahkamul-Quran(1/87)] 


****************************************

💠 MASAIB WA PARESAHNI ME ALLAH KI HIKMAT

📌 Allma Ibne Qayyim Rahimahullah Farmate Hain:-


🍃 Masaib Wa Preshaniyan OR Mushaqqatain Ya To Insan Ke Liye Allah Ka Ehsan Or Rahmat Hoti Hain,
🍂 Ya To Adl Or Hikmat Hoti Hain,
🍃 Ya To Insan Ki Islah Ka Sabab Hoti Hain,
🍂 Or Tayyari Ka Sabab Hoti Hain Us Khair Ke Liye Jo Uske Baad Hasil Hone Wala He,
🍃 Ya To Kisi Takleef Ko Talne Wali Hoti Hain Jo Use Bi Badi Or Mushkil Ho.

📓 [Shifaul-Aleel (1/250)] 


********************************************

📌 ALLAH KE ZIKR KI AHMIYAT

📍 Allamah Ibne Tayimiyah Rahimahullah Farmate Hain:-


💠 Zikr Ki Misal DIL Ke Liye Esee He Jese MACHLI (Fish) Ke Liye Pani, MACHLI Ka Kiya Hal Hoga Jab Wo Pani Se Juda Hojaye

📓 [Majmooul-Fatawa (10/75)] 


**********************************************

📌 AAMAAL KA SILSILA KABI KHATAM NAHI HOTA

📌 Allamah Ibne Usemeen Rahimahullah Farmate Hain:-


💠 A'amaal Ka Silsilah Uske Mosam Khatam Hone Se Khatam Nahi Hote
💠 Balke A'amal Ka Sisilah Zindagi ke Khatam Hone Par Khatam Hota He

📒 [Leqaul-Baab-Al-Maftooh 51] 


***********************************************

📌 ISTIGFAR KI AHMIYAT

📌 Hasan Basri Rahimahullah Farmate Hain


💠 Kasrat Se ISTIGFAR Kiya Karo
💠 Apne GHAROUN Main
💠 Or Apne DASTAR KHANOUN Par
💠 Or Apne RASTOUN me
💠 Or Apni BAZAROUN me
💠 Or Apni MAJLISOUN me
💠 Tum Jaha Kahi Bi Raho ISTIGFAR Karte Raha Karo
💠 Isliye Ke Tum Nahi Jante Kab ALLAH Ki MAGFIRAT Nazil Hojaye

📒 [At-Toubatu Libne Abi Dunya 151] 


***********************************************

📌 ISTIGFAR KI AHMIYAT
 
📌 Luqman Ne Apne Bete Se Farmaya:-

 
💠 Aye Mere Piyare Bete Apni Zuban Ko ISTIGFAR Ka Aadi Bana Le
💠 Isliye Ke ALLAH Ke Liye Kuch Ese Awqaat (Lamhat) Hain Jisme Kisi Sawal Karne Wale Ke Sawal Ko Rad Nahi Kiya Jaata

📜 [LataaiFul-Ma'aarif Libne Rajab 291]


*************************************************

📌 MUSEEBATOUN KA SABR OR SAWAB KI NIYAT SE MUQABLA KARNA
📌 ALLAMAH IBNE USEMEEN RAHIMAHULLH FARMATE HAIN:-


💠 MUSEEBATOUN Ka Jab Insan SABR Se Muqabla Karta He Ajro Sawab Ki Umid Kiye Begair To Ye Uske GUNAHOUN Ke Liye Kaffare Ka Sabab Hoti Hain
💠 Or Agar Usne Sabr Kiya Ajro Sawab Ki Umid Ke Sath To Ye Uske GUNAHOUN Ka Kaffarah Bi Houngi Or Uske Liye Ajro Sawab Ka Zariya Bi

📚 At-Taleequ Alaa Sahi Muslim page No342 


***************************************************

📌 HAQ KHALIS SONE (GOLD) KI TARAH HE

📌 ALLAMAH IBNE TAIMIYAH RAHIMAHULLH FARMATE HAIN:-


💠 HAQ Khalis SONE Ki Tarah He Jab Jab Uska Imtihan Liya Jayega Wo Or Ziyada Roshan Hota Jayega
💠 Or BATIL Jhoothe Chirag Ki Tarah He Jab Uska Imtihan Liya Jaayega To Uska FASAAD Zahir Hojayega

📚 [Al-Jawabus-Sahi (1/88)] 


***************************************************

📌 NAIK LOGOUN KA RAASTA

📌 ALLAMAH IBNE TAIMIYAH RAHIMAHULLH FARMATE HAIN:-


💠 Naik Logoun Ka Rasta Ye He ke
💠 ALLAH Or Uske Rasool صلى الله عليه وسلم Ki Itaa'at Ki Jaye Or Kitabu Sunnat Ko Lazim Pakad Liya Jaye

📚 [Jameul Masail (5/225)] 


****************************************************

📮 SABR KE BEGAIR IMAN KI HALAWAT HASIL KARNA MUSHKIL HE
Sufyan Al-Sori Rahimahullah Farmate Hain:


💠Banda IMAN Ki Halawat (Mithas/Zaiqah) Hasil Nahi Kar Sakta, Yaha Tak Ke Har Taraf Se Uspar Balayain (Museebatain Preshaniyan) Na Aajayain.

📚 [Tareekhe Bagdad: (545/7)]
 
 


****************************************************

📮 EK HAQEEQAT

Abdullah Bin Masood Raziyallahu Anhu Farmate Hain:


💠 《Nazar Ki Hifazat Karna Zuban Ki Hifazat Se Ziyada Sakht(Mushkil) He!!》

📚 [Ibnu Abi Dunya:{204/1}]


***************************************************

♦️Sunnat Ka Martaba♦️

⭐️Sahal Bin Abdullah Rahimahullah Farmate Hain:


▶️Sunnat Ki Misal Dunya Me Esee He Jesee Jannat Ki Misal Aakhirat Me,Jo Jannat Me Dakhil Hogaya Wo Aakhirat Me Mehfooz Hogaya, Or Jo Sunnat Me Dakhil Hogaya Wo Dunya Me Mehfooz Hogaya.

📚Zammul Kalam{4\484}


***************************************************

📌 ALLAMAH IBNE USEMEEN RAHIMAHULLAH FARMATE HAIN:-

🍃WAQT Insan Ke Liye MAAL Se Bi Ziyadah Qeemti He, Or Ye Insan Ko Pata Chal Jayega Jab MOUT Ka Waqt Hazir Hoga Tab Wo Jaan Lega WAQT MAAL Se Ziyada Aham He.

📓Al-Fatawa 26/271📓




**************************************************



📌 ALLAMAH IBNE QAYYIM RAHIMAHULLAH FARMATE HAIN:-

🍃 *Har Wo RASTA Jiske Sath QURANO SUNNAT Ki DALEEL Na Ho Wo JAHANNAM Ke Rastoun Me Se He Or SHAITANE MARDOOD Ka RASTA HE.*🍂

📓 *[MADAREJUS-SALEKEEN {2/439}]*📓 



**************************************************

📌 MUSEEBAT KE BAAD SABR IBADAT HE

📌 Hafiz Ibne Rajab Rahimahullah Farmate hain:-


💠 MUSEEBAT Ke Bad Sabr Ke Sath Raahat (Sokoon) Ka intizar Karna IBADAT HE
💠 Isliye Ke Balayain (Museebatain) Hamesha Nahi Rehti

📚 [Majmoo Rasaile Ibne Rajab (3/155)]



**************************************************

ALLAH KA MEHBOOB WO BANDA HE JO GUNAHOUN SE APNE APKO BACHA LE

Sahal Bin Abdullah Tustari Rahimahullah Farmate Hain:


(ALLAH Ka Pasandeedah Bandah Wo Nahi Jo Sirf Allah Ki Ita'at Kare, Lekin ALLAH Ka Pasandeedah Banda Wo He Jo Un Kamoun Se Ruk Jaye Jinse Allah Ne Roka He.

Or Gunahoun Se Wahi Bach Sakta He Jo ALLAH Ka Saccha Muqarrab Banda Ho, Jaha Tak Rahi Nek A'amal Ki Baat To Ye To Naik Insan Bi Karta He Or Fajir(Ziyada Gunehgar) Insan Bi Karta He!)

📚[Hilyatul Awliya:1570]



************************************************** 

📌Allamah Ibne Qayyim Rahimahullah Farmate Hain:-
▶️Agar Logoun Ko Maloom Hojaye Ke QURAN Majeed Par Tadabbur (Samajh kar Padhna) Ki Kiya Fazeelat He To Har Kam Chod Kar Yahi Kaam Karte.

📕[Miftahu Daris Sa'adah (187/1)]

****************

📌Hafiz Ibne Rajab Rahimahullah Farmate Hain:-

《Jis Par Ramazan Me Raham Kar Diya Jaye Wo Marhoom He, Or Jo Ramazan Ke Khair Se Mehroom Kardiya Jaye Wo Mehroom He, Or Jo Ramazan Main Apne Aakhirat Ke Tikhane Ke Liye Tosha Tayyar Na Kar Sake To Wo Maloom (Molamat Zadah) he.》

📒[Lataeful Ma'arif (148)]

***************

📌Allamah Ibne Qayyim Rahimahullah Farmate Hain:-

《Intehayee Be Waqoof He Wo Insaan Jo Safar Ke Aakhir Main Bhatak Jaaye Jabke Manzil Bohat Hi Qareeb Ho.》

📔[Fawaidul Fawaid:(107)]

(Ramaza ke Ikhtimam Par Apne Aapko Bhatakne Se Bacha Lain)
*****************

📌Kisi Salaf Ne Apne Students Se Kaha:


🛑Kiya Tumko Quran Yaad He❓


Usne Jawab Diya: Nahi

❄️To Salaf Ne Kaha: Esa Momin Jise Quarn Ko Hifz Na Ho!
❄️To Wo Kese Aasooda Haal Reh Sakta He!
❄️To wo Kese Gun Gunayega!
❄️To Wo Apne Rab Se kese Sargoshi Karega!
**************

📌Allamah Ibne Qayyim Rahimahullah Farmate Hain:-

🌙 《Jiska Ramazan Sahi Salamat Guzar Jaye Uska Baqee Saal Bi Salamati Ke Sath Guzar Jayega.》

📗[Zadul Ma'ad (389/1)]

**************

📌*Imam Hasan Basri Rahimahullah Farmate Hain:-*

《Har Wo Din Jisme Allah Ki Na Farmani Na Ki Jaaye To Wo Eid He.》

📕*Lataiful Ma'arif*


*****************

📌Momin ke Liye 5 Eid*


📌*Imam Malik Rahimahullah Farmate Hain:-*
❄️ Momin ke Liye 5 Eidain hain
✨ 1) Har Wo Din Jo Momin Par Guzarta He Or Uspar Koi Gunah Na Likha Jaye To Wo Eid He.
✨ 2) Wo Din Jis Din Momin Is Dunya Se Eeman Ki Halat Me Rukhsat Ho To Wo Bi Momin Ke liye Eid He.
✨ 3) Or Wo Din Jis Din Wo Pul Serat Ko Paar Karlega Or Qayamat Ke Din Ki Sakhtiyoun Se Mehfooz Hojayega To Wo Din Momin Ke Liye Eid He.
✨ 4) Or Wo Din Jismain Wo Jannat Main Dakhil Hoga To Wo Din Bi Momin Ke Liye Eid He.
✨ 5) Or Wo Din Jis Din Wo Apne Rab ka Deedar Karega To Wo Din Bi Momin ke Liye Eid He.
***************


Eid Ke Talluq Se Salaf Ke Aqwaal*

● ‏قال الحافظ ابن رجب - رحمه الله - :

《 ليس العيد لمن لبس الجديد ، إنما العيد لمن طاعاته تزيد ، ليس العيد لمن تجمل باللباس والركوب ، إنما العيد لمن غفرت له الذنوب 》.

📓📔 |[ لطائف المعارف (277) ]|

▶️Eid nayein kapdey pehaney ka naam nahi hai, eid sirf uss k liye hai Jo(Allah) ke ita'att zyada karta ho, eid uss k liye nahi hai jiss k pass khubsurat libaas aur ghadiya ho, eid uss k liye hai jiss k gunnah Bakhsh diye gaye ho.


● قال الحافظ ابن حجر - رحمه الله - :

《 إظهار السرور في الأعياد من شعار الدين 》.

📓📔 |[ فتح الباري (٢/٤٤٣) ]|


▶️Eid ka izhaar karna deen ke alamaton ya nishaniyon mai se hai

*************

📌Masaib Momenon Ke Liye Rehmat*


✍🏻 Shaikhul Islam Imam ibn e Taimiyah Rahimahullah Farmate Hain:-


《Museebatein Momenon Ki Buraiyon Ko Khatam Kar Deti Hain, Or Museebaton Par Sabr Karna Momenon Ke Darajat Ko Buland Karta He.》

📚 [Majmoo' ul Fatawa (255/14)]


***************

📌Sabe Nafa Bakhsh Giza Wa Dawa*


✍🏻 Allamah Ibne Qayyim Rahimahullah Farmate Hain:-


《Sabse Ziyada Nafa Bakhs Giza "EEMAN" Ki Giza He, Or Sabse Ziyada Nafa Baksh Dawa "QURAN" Ki Dawa He.》

📒[Igasatul-Lehfan:(70/1)]*


*************

📌*Tawheed Hee Deen He*


✍🏻 Imam Ibne Taimiyah Rahimahullah Farmate Hain:-


《Tawheed Hee Deen Ka Awwal Wa Aakhir Or Zahir Wa Batin He.》

📓 *[Minhajus Sunnah:(249)*]


**************

📌*Allamah Ibne Usemeen Rahimahullah Farmate Hain:-*


《A'amal Mousam (Season) Ke Inteha Ke Sath Khatam Nahi Hote, Balke A'amal Ka Silsila Khatam Hota He Zindagi Ki Inteha Hone Par.》

*************

📌*JAHALATH EK KHATARNAAK BEEMARI HAI:


▶️ÅŁŁÅMÅ İBŃƏ QÅÝÝÍM ŔÅHÌMÅHŮŁŁÅH FÅŔMÅȚƏ HÅÌÑ:


➡ (Jihalat: Ek Esi Bimari He Jo Dil Ko Shadeed Takleef Pohnchati He,

Logoun Me Se Kuch Ese Hain Jo Is Bimari ka Ilaj Ese Oloom (Ilm) Se Karte hain Jo Nafa Nahi Dete,

Haqeeqat Me Ese Uloom Bimari Ko Or Ziyadati Ki Taraf Le Jaate Hain.)

📚 [Egasatul-LAhfan:(1/19)]


************

📌*BENAMAZI SALAF KI NAZAR MAIN*


▶️*Imam Laalkai Rahimahullah Farmate Hain:*


💫 《BENAMAZI Ki Zillat Ke Liye Yahi Kafi He Ke Ahle Ilm Ne Uske Bare Main Ikhtilaf Kiya Ke Kiya Wo MUSLIM Ya KAFIR He》.

📕[Sharhu Osoole E,ataqado Ahlus Sunnah Wal Jama,h(204)]*


**************

📌Hamain kiya Hogaya Hamari Duaain Qabool Q Nahi Hoti​❓*


▶️Ibrahim Bin Adham Rahimahullah Ka Guzar Basrah Ki Bazar Se Hua


To Log Unke Ird Gird Jama Hogaye Or Sawal Karne Lage Ke Hamari Duaain Qabool Q Nahi Hoti❓

To Aap Rahimahullah Ne Farmaya Isliye Ke Tumhare Dil 10 Cheezoun Ki Wajah Se Murda Hogaye Hain❗

Logoun Ne Poocha Wo Kiya Hain❓


▶️Aap Rahimahullah Ne Farmaya


1⃣ -Tum Logoun Ne Allah Ki Ma,rifat {Jaankari/Pehchan} Hasil Karli Lekin Uska Haq Ada Nahi Kiya

2⃣ -Tum Logoun Ka Dawa He Ke Tum Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Se Mohabbat Karte Ho Fir Bi Tumne Unki Sunnatou Par Amal Karna Chod Diya

3⃣ -Tum Quran Padhte Ho Or Uspar Amal Nahi Karte

4⃣ -Tum Allah Ki Nematain Khate Ho Or Allah Ka Shukr Ada Nahi Karte

5⃣ -Tum Kehte Ho Ke Shaitan Tumhara Dushman He Or Uski Mowafiqat Karte Ho

6⃣ -Tum Kehte Ho Ke Jannat Haq He , Tum Uske Liye Amal Nahi Karte

7⃣ -Tum Kehte Ho Ke Jahannam Haq He , Or Use Bhagte Nahi Ho

8⃣ -Tum Kehte Ho Mout Haq He , Uske Liye Tayyari Nahi Karte

9⃣ -Tum Neend Se Bedar Hote Ho , Or Logoun Ki Ayeb Jooyee Me Mashgool Ho Jaate Ho ,Or Apne Ayeboun Ko Chod Dete Ho

🔟 -Apne Murdoun Ko Dafnate Ho , Or Unse Ibrat Hasil Nahi Karte

{جامع بيان العلم وفضله-(2/12 )}

************

📌*Shaikh Muqbil Rahimahullah Farmate Hain:-*


《Allah Par Eaman Laane ke Baad Is Zamane Main Sabse Behtreen Cheez Jise Banda Rahat (Sokoon) Hasil Karta He Wo He ILM Ka Hasil Karna Or NEK BIVI.》

📓 [الإمام الألمعي: (253)]

*************

📌▶️ILM OR JAHL KA PAIMANAH*


📌Masrooq Rahimahullah Farmate Hain:-*


《Kisi Shaks Ka Apne Ilm Par Naaz (fakhr) Karna Us Shaks Ke Jahil Hone Ki Daleel He, Isi Tarah Kisi Shaks Ka Allah Se Darna Uske Aalim Hone Ki Daleel He.》

📌Shaikh Abdur Razzaque Al Badr Hafizahullah Farmate Hain:-*


《Ilme Deen Ki Bunyad Khashyate Elahi Or ALLAH Ke Khouf Par He Agar Kisi Ke Andar Allah Ka Khouf Nahi He To Uske Paas Ilme Deen Bi Nahi He.》

📓 [التحف بالمأثور عن السلف الصالح: (14)]


****************


DUNYA AMAL KA GHAR AAKHIRAT KA BADLE KA GHAR*

📮 Imaam Ahmed Rahimahullah Farmate Hain:-


《Dunya Amal Ka Ghar Aur Aakhirath Jazaa (Badle) Ka Ghar Hai, Jo Yaha Amal Nahi Karega Wo Waha Naadim (Sharamsar) Hoga.》

📚 [Az-Zuhd Lil Bayhaqee (282)]


************************

📮 SABR BHALAI KE KHAZANOUN ME SE EK KHAZANA HE


📌*Imaam Hasan Al-Basri Rahimaullah farmate Hain:-*


《Sabar Bhalai Ke Khazanou ME Se Ek Khazana He ,Allah Ta'ala Ye Khazana Sirf Us Banday Ko Ata Karta hai jo Uske Pass unche Qadar Wala Ho.》

📚 [As Sabro libne Abi Al-Dunya (27)]


**************************

📮 AGAR ULAMA NA HOTE TO TAMAM LOG TABAH HOJATE


📌*Allamah Ibne Hazm Rahimahullah Farmate Hain:-*


《Agar Ulama Na Hote Jo Ilm Ko Naql Karte Or Nasl Dar Nasl Logoun Ko Taleem Se Aarasta Karte Hain To Yaqeenan Tamam Log Tabah Hojate-

Isiliye Ulama Ko Nabiyoun Ka Waris Kaha Gaya He》

📓 [Rasaile Ibne Hazm:(152/3)]


************************

📌*SALAF KE RASTE OR TAREEQE KI AHMIYAT*


➡️ Shyakh Muhammed Bin Saleh Al Uthymeen Rahimahullah Farmate Hain:-


《Yaqeenan ALLAH Ki Ibadat Or ALLAH Ke Taqarrub Hasil Karne Ka Har Wo Rasta Jo Salaf Saleheen Ne Ikhtiyar Nahi Kiya, Wo Yaqeenan Bid'at He.》

📓 (إجابات مفيدة وتوجيهات سديدة:19)


*************************

📌*Qabile Tawajjuh Baat*


▶️Umar Bin Abdul Azeez Rahimahullah Farmate Hain:-*


《Murda Log Qabroun me Qaid Hain Or Jo Wo Dunya me Gunah Kar Gaye Uspar Sharminda Hain,Or Zinda Log Dunya Me Unhi Cheezoun Me Jhagda Kar Rahe Jispar Qabar Wale Sharminda Hain Na Qabr Wale In Logoun Ki Taraf Palat Sakte Hain Or Na Hi Ye Log Unse Ibrat Hasil Karsakte Hain.》

📓 Al-Hikam Wal-Mawaiz

***********************

📌*TOBA MAIN TAKHEER NA KARAIN*


▶️*Luqmane Hakeem Ne Apne Bete Ko Naseehat Karte Hue Farmaya:-*


🔻 Aye Mere Bete Touba Main Takheer Na Kar Isliye Ke Mout Achanak Aagai

📓 At-Tabserat Libne Jawzee Rahimahullah:34


*************************

📌*ILM KI KHOOBSOORATI*

▶️*Allamah Ibne Qayyim Rahimahullah Farmate Hain:-*


《Agar ILM Ki Tasweer Lee Jaati (Ya Tasweer Hoti) To ILM Ki Soorat Chand Or Sooraj Se Bi Ziayda Khoobsoorat Hoti.》

📓 [روضة المحبين:301]


************************

📌*Abu Huryrah Raziyallahu AnhuFarmate Hain:*


Jab Kisi Insan Ka Intiqal Hota He:
To Farishte Kehte Hain Isne Aage Ke Liye Kiya Bheja❓
*Or Log Kehte Hain Isne Kiya Choda❓*》

📓 إبن أبى شيبة:127/7


**************************

📌*KONSI NEMAT OR GAM BAQEE REHNE WALE HAIN*

▶️*Hasan Basri Rahimahullah Farmate Hain:-*

《JANNATIYOUN Ki Nemat Ke Elawa Har Nemat Khatam Hone Wali He, Or JAHANNAMIYOUN Ke Gam Ke Elawa Har Gam Khatam Hone Wala He.》

📓 [المجالسة وجواهر العلم:(1591)]


*************************

📌*SABSE BADI MUSEEBAT DIL KA SAKHT HOJANA HE*


▶️*Huzyefa Bin Qatadah Rahimahullah Farmate Hain:-*


《Sabse Badi Museebat Dil ka Sakht Hona He.》

📓 [سير أعلام النبلاء:(284/9)]


************************

📮 ILM SE MOHABBET


📌 Imam Shafayee Rahimahullah Farmate Hain:-


《Jo (Deeni) Ilm Se Mohabbet Nahi Karta Usmain Koi Khair Nahi.》


📓 [تاريخ دمشق:(407/51)]

***********************


*HAQEEQAT MAIN MAYYIT KON*

▶️*Ibnul Jawzee Rahimahullah Farmate Hain:*


《Mayyit Wo Nahi Jiski Rooh Parwaz Kar Gayee, Mayyit To Wo He Jo Samjhta Hi Nahi Uske RAB Ke Usapr Kiya Hoqooq Hain❓

📓 (التذكرة :18)


********************
🌟📌TASBEEH KA ESTEMAL BIDA'AT HE 📢Shaikh Albani Rahimahullah Farmate Hain: 《Tasbeeh Ka Estemal Soofiyah Ki Bidat He.Hamare Liye Ungliyoun Par Ginna Kaafi He. Jesa Ke Hamare Rasool صلی اللہ علیہ وسلم Ne Hamare Liye Bayan Kiya Bata Kar Bi Or Amal Karke Bi.》 📚 [فتاوى جدة (33)] **************
🌟📍TASBEEH SOOFIYAH KI ALAMAAT MAIN SE HE. SUNNAT NAHI. 📢Shaikh Saleh Al Fawzan Hafizahullah Farmate Hain:- 《TASBEEH SOFIYAH ki Alamaat (Nishaniyoun) Me Se He. Or Tumhare Liye Tumhari Ungli Par Ginna Kafi He.》
📚📓 شرح إغاثة اللهفان ھ١٤٣٦ *************** 🌟Ranj Or Gam Or Pareshani Do Wajah Se Aati Hain. 📢Ibn Qayyim(Rahimullah) Farmaay: 📌Ghum aur Pareshaani Do Wajhe se Ati hai:📌 1) Dunya Ki Hirs(Lalach) Wa Hawas Ke Sabab. 2) Neki Or Ibadat Me Kami Or Kotahi Ke Sabab [عدہ الصابرین ص٢٥٦] **************

🌟: ILM E NUJOOM KI SHARA'EE HASIYAT:


📢: Sahih Buqhari me Qatadah (RA) ka qaul hai ke Inn sitaarou ko Allah Ta'ala ne 3 maqaasid ke lie paida kia hai: 

▶️ "Asmaan ki zeenat ke lie,
▶️Shiyaateen ko maarney aur bhaganey ke lie,
▶️Bahr o bar me raah maloom karney ke lie,

Jo Shaqhs Innke ilaawa kuch aur samajhta hai uss ne ghaltee ki aur har qism ki bhalaee se khud ko mehroom kar lia. Aur uss me aisay amar ka takaluf kia jiska ussey kuch ilm nahi."


⭐️
⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

🌟SALAAM SE PEHLEY GUFTGOO KARNA NA PASANDEEDA AMAL HAI;

▶️Rasool, Allah (ﷺ) se marwi hai ke

▶️ Joo koi salaam se pehley guftgoo shuroo kar
de ussey jawab na do.

📓 [Sahih ul jamia:6144]


⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️
📮Aqwale Salaf

💫Ibrahim Al Khawwas Rahimahullah Farmate Hain:

✨Dil Ki Dawa (Ilaj) 5 Cheezoun Main Hai:

✨1)Ghouro Fikr Ke Saath Qur'an Ki Tilawat Karne Main.
✨2)Pait Ko Khaali Rakhne Main.
✨3)Raat Ko Qayaam Karne Main.
✨4)Raat Ke Aakhri Hissey Main Dua Karne Main.
✨5)Aur Naik Logoun Ki Sohbat Ikhtiyar Karne Main.

📓 رسائل ابن رجب (263/1)


⭐️

✨◇ Ibn Al-Qayyim Rahimahullah Farmate Hain-: ✨ 《NAIK log Nematoun Main Honge, Agar Che Unki Zindagiyoun Main Kitni Hi Preshaniyan Kyun Na Houn, Or Dunya Unpar Kitni Hi Tang Kyun Na Hojaye. Or FAJIR Log Jahannam Main Honge Agar Che Dunya Unpar Kitni Hi Kushada Kyun Na Ho.》

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

✨□ Ibn Al-Qayyim Rahimahullah Farmate Hain-:

✨ 《Taqdeer Par Razi Ho Jana Sa'adat Ke Asbab Main Se Hai, Or Tadeer Par Naraz Hona Badbakhti Ke Asbab Main Se Hai.》

📓[Madarijus-Salekeen (202/2)]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

✨📝HAQEEQAT📝 ✨ Kuch Log Pani Ka Ek Qatrah (Bound) Halaq Ke Andar Le Jane Se Darte Hain Ke Roza Kharab Na Hojaye. ✨ Jabke Logoun Ke Hoqooq Dakar Jate Hain Or Unhain Apni Aakhirat Ki Tabahai Ka Dar Nahi Hota. 📝Manqool

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

💫Imam Mujahid Rahimahullah Farmate Hain:- 《Do Aadatain Esee Hain Jo Inse Mehfooz Hogaya Uska Roza Mehfooz Hogaya: GEEBAT OR JOOTH.》 📓 [Musannaf Ibne Abi Shaibah(8887)]

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️




⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️